Assalam o alaikum Dear Pakistan's Forex forum members and seniors!
Umeed kerta hun aap sab khairiat se honge or forex market se acha profit earn ker rahe honge, dosto pichli post mein main
ne aap ke sath Dragon pattern ko share kiya tha or us ke sath trading kerne ka bhi tariqa samjha dia tha ab mein aap ke sath
us pattern ke ek structure ke bare mein btane laga hun ke hum us mein trading ke sath uska structure kis tarah se create ker
sakte hain...
Structure of Bullish Dragon Pattern
Mein aap ko shuru se bata hun Dragon pattern ek pattern hai jo market ke girne se banta hai, jo hamein buy ki entry lene
ka signal deta hai, or market ke uper ek or pattern hai jo hamein sell ki entry lene ka signal de hai. Ye "W" ke size ke bottom
ki tarah lagta hai iski structure ko mazeed tafseel se dekhte hain....
Bearish Market mein Dragon Pattern ek point se banna shuru hota hai jise Head kehte hain, ye pattern ki current level
se thora down level tak ki pehli movement hoti hai. Bohut jald hi price musalsal down aate hoye upward ko move kerti hai tab wo point pattern ke left paw mein change
hojata hai. jessa ke hum is graph mein dekh sakte h
Price upward ki taraf bounce kerti hai lekin fail hojati hai break kerne mein, ye unchayi Back of the pattern kehlati hai.
Price apni correctional level se cross nahi kerni chahye ager hamare pattern mein kuch irregular ho raha hai tab humein
ise left ker dena chahye. Classical tor per agar dekha jaye to traders ko ye guess kerne ki zaroorat nahi ke choti kahan
bani hai kion ke ye Dragon pattern or double bottom ke darmiyan difference ho sakta hai. jessa hum is chart mein dekh
sakte hain...
Jald hi price second paw se grow kerna shuru ho jaye gi tab hum use keh sakte hain ke Dragon pattern complete ho chuka
hai. Left paw ke bare mein different opinions hain, kuch trader kehte hain ke pattern us waqt behter kaam kerta hai jab
right paw se down hota hai or kuch kehte hain ke right paw se thora uper postion munasib hoti hai .
Right paw se uper ki taraf movement ko Tail kehte hain, wahan traders ko profit lene ke liye points talash kerne honge.
Ye tha hamara aaj ka structure of bullish Dragon pattern jo ke boht dilchasp hai , Umeed kerta hun is post se aap ko
useful information mili ho gi . Thanks for reading.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим