Forex Trading Plan

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading Plan
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Trading Plan


    Forex trading jaise risky business main kaam karte howe jahan zaati ya inferadi faisele munafa ya nuqsan me tabdeel hote hen, to aik asaan aur behtareen trading plan kamyabbi aur nakammi k darmeyan faraq kar sakta hai. Zindagi k kisi bhi shobey me kaam karne ka jahan bhi koshash ki jatti hai, wahan pe planning ki zarorrat parti hai, lekin bagher kisi planning k forex trading ya kisi dosre financial market main karne ka matlab nakammi hai. Forex trading me kamyabbi k leye take profit, stop loss, entry aur exit point ko pehle se tay karna aur is k baare me janna bohut zarorri hai. Munafa k leye trading ko khatam katna bhi bohut aham hai. Financial markets main taqreeban har ek trader appni kamyabbi k leye kisi na kisi plan ya guidline par munhasir hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1705).png
Views:	10
Size:	16.8 کلوبائٹ
ID:	12514839

    Advantages of Forex Trading Plans


    Forex trading ko shoro karne se planning karnna aisa hai, jaisa k saffar shoro karne se pehle apne pass naqsha rakhna hota hai. Kia aap ye janne bagher safar karengay k aap kahan ja rahen hen? Yahan tak k aggar aap k pass demo account ka tajrubba bhi ho, lekin trading Plan k bagher forex trading main trading karna, aik baar real money pe trading karna aik challenging experience ho saktta hai.
    Basically, trading plan rakhne se traders ko forex trading ko ek karobbar ki tarah samajhne main madad melti hai. Forex trading main dilshasppi rakhne wale ziada tar log pehle hi jante hen, k karobbar ko chalane wale ko aam tawar par aik trading plan ki zarorrat hotee hai, takeh aik mazbot basic ho jis se ziadda kamyabbi hasil ki ja sake.
    Forex trading me traders k leye trading plan ka sab se bara faida ye hai k achahy confidence k sath kam emotional ho kar apna trading maqqsad hasil kia jaye. Risky karobbar jaise forex trading me aik trader ko jazbaati tawar par financial loss hone k baad bhi kafi had tak pur-aitemad hona kamyabbi aur nakammi k darmeyan aik aham ansar ho sakta hai.

    Forex Trading k waqat Jazbati hona bohut Nuqsan deh hai



    Trading plan k rules traders ko trading psychology aur trading k jazzbaat ko kam karrrne me maddad detee hai. Aik kamyyab trader ko market ki semat ya us ki kami ka khouf bulkul nahi hotta hai. Yani aik successful traders ko market k up-down harkat se koi maslla nahi hota hai.
    Aam trader jazzbaat jaise lalach, khouf aur umeed trading k dauraan sangeen pareshanni ka bahes bann sakte hen, lehaza in massayel par qabbo pane k leye ek achcha trading plan aap ko forex trading k bohut se aam nuqsannat par qabbo panne main maddad kar saktta hai.
    Bohut sare traders apnne trading plan par amal karne k leye discipline ki kammi ki waja se apnna pora account zayya ya wash kar jate hen. Trading k dowran discipline khatam hone k baad, trader k jazzbatti tawar par trading karne ka immkaan bohut ziada ho jate hen, aur us k nateejay me mumkinna tawar par bohut zyada loss ho jatte hen.
    Isi waja se trading karrte waqqat kamyyabi k chances ko ziadda karne k leye apnne trades ki proper plan karke trading shoro karne se pehle apne aapko ko tayyar rakhen aur pher jitna mumkin ho sake sakhti aur pur-sakoon tareeqay se appne plan ko trading k leye azmayen.

    Aik Achah trading plan appka darjazzel awamel me madad detta hai;

    • Aap ko ahdaf ko malom karne me maddad deta hai.
    • Aap k market ki analysis aur trading activities me maddad karta hai.
    • Aap ko batati hai k kis waqqat market main entry karni hai aur kis semat me karnni hai.
    • Jab bhi Aap trade shoro karen to ye aap k jazzbaat aur trading risk ko manage karta hai.



    Trading Plan ki Ahmeyyat


    Trading plan trader k leye aik road map ka kaam karta hai, jis se wo apni manzil tak jata hai, traders k trading plan un k trading strategy k mutabiq hote hen. Jab bhi aap kisi dosre trader ki trading plan ko follow katna chahay to ye dekh kar ghabrana nahi chaheye, k trading plan bohut mushkil ya samajh se balatarr hai. Hamesha wo trading plan follow karen jo aap ko easy lagay aur us pe proper discipline se kaam bhi ho.
    Trading plan me mukhtalif qissam k elements ho sakte hen, jis se trading plan ki afadeyyat me izafa hota hai, aur ye trading plan ka aik lazmi juzz bhi hote hen. Trading plan k mutabiq market ki strategies set karen aur market ki conditions ko lazzmi samjhen. Kuch trading plan k zarori elements ye hen;
    • Munafa bakhsh maqased
    • Trading me lot size ko muntakheb karne ka tareeqay kar
    • Trade ko entry karne k leye market me apni position ko mustehkam kaese karna hai.
    • Market analysis karna
    • Risk management se trading karna
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex Trading Plan

    Dear mer trading plan trltad in forex sclping and ap ko gab bai sclping akrt ah to ap ko market ki har tra ki movment ko gan ho ga or market my buyer and seller ki tadad ko gana
    hot ha gas ap ko market ka good enlcess karn me asni ho sagti ha forex market ko ap dak ka sclping ak bhot moskal hati ha lak ko bi kam ager pa kart ha to ap ko expriness brta
    ha bas apko bhot fada ho sagta ha or ap forex merket me kamgabi hasail kar sagta ha.

    اب آن لائن

    Working...
    X