What is Intra daay Trading

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Intra daay Trading
    Introduction:

    Assalamualikum dosto aj ma apko intraday trdaing ka bara ma detail sa batau ga Jab ap ek din ka andar hi Market main kuch bhi kahrid kar bech deta hain usa intraday trading kahta hain Intraday trading karna ka kuch advantages hi hota hain or kuch disadvantages bhi hota hain ayein unko jn leta hain .

    Click image for larger version

Name:	admin-cms$ab_cms$1630326077670.png
Views:	1
Size:	31.4 کلوبائٹ
ID:	12514628

    Advantages:

    Margin .

    Sabsa pala faida yaha ha intraday trading mamargin milta ha margin ko ap saf alfaz ma asa samjh lijie jis share ki price 300 rupa ha wo share apko 3 rupa 50 rupa tak mil jata ha ab sawal ya ha apko 30 rupa ka share 30 rupa ma kun mila ga ,agar apko 300 ka share 300 ma hi mila ga to ap intraday kun kareiin ga kuk iska matlab ha ap aj kharida to aj hi bechna hoga ,or apko loss bhi ho sakta ha is lie ap long term ka lie kharido ga .

    Click image for larger version

Name:	istockphoto-172183278-612x612.jpg
Views:	3
Size:	45.3 کلوبائٹ
ID:	12514629

    Ek Din Ka Andar hi Pasa Kamaty Hain.

    Isma asa hota hai ap ek hi din ka lie pasa kamata hain apko pasa kamana ka lie zyada wat tak intezar nahi karna parta ha ap aj invest karein ga or aj hi profit kamayein ga or kabikabar ap minutesma pasa kama lein ga jasa abi apna koi stock purchase kia 5 min bad uski price barh gaye or apna sell kar diya.

    Click image for larger version

Name:	adx.png
Views:	1
Size:	159.1 کلوبائٹ
ID:	12514630


    Isma asa hota ha ap price up jana ka ilawa price down jab jaye tab bhi pasa kama sakta hain yani ka apko lagta ha aj is company ki price necha gira gi to ap tab bhi pasa kama sakta hain isko short selling kaha jata ha isma jab apko lagata ha jab kisi company ki price gira gi ap sell kar deta hain bhala hi wo share apka pas nahi ap ap usa sell nahi kara ga apka behaf pa koi broker usa sell kar da ga .
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is Intra daay Trading

    price up jana ka ilawa price down jab jaye tab bhi pase karn sakta hain yani ka apko lagta ha aj is company ki price necha gira gi to ap tab bhi pase karna sakta hain isko short
    selling kaha jata ha isma jab apko lagata ha jab kisi company ki price grice gi ap sell kar deta hain bhata hi wo share apko pas nahi ap ap use sell nahi kara ge apko behaf pa koi
    buy ya sell kar sagta ha
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: What is Intra daay Trading

      Assalamu Alaikum Dosto!


      Day Trading


      Day trading forex trading main aik bohut teezi k sath barhta howa rujhan hai, jiss main traders market k daily base par apne trades open aur close karte hen. Day trading long term ya scalping strategy se thora sa mukhtalif hai, q k ye na to bohut ziada short trading yanni seconds ya minutes par mushtamil hota hai aur na hi long term ki tarah weeks ya months par muheet hota hai. Day trading main traders market ki daily base par analysis karte hen aur koshash karte hen k wo apne trades ko same day main close bhi karen, q k ye strategy indicators ya candlestick pattern par munhasir hoti hai, jo long term ki bajaye short term ki technical analysis k base par hote hen.

      Click image for larger version

Name:	images (476).jpeg
Views:	4
Size:	57.7 کلوبائٹ
ID:	12378425

      Day Trading k Zarori Awamel


      Day trading main bhi scalping strategy ya long term trading ki tarah market ki analysis ki jati hai, jiss main market k leye istemal honne wale zarori awamel jaise indicators, oscillators candlestick pattern, charts patterns ya dosre news events ka istemal hota hai. Ye sari chizen long term ya scalping strategy k muqabele main day trading main ziada faida deti hai, aur yahan tak k ye iss ka zarori juzz bhi tasawar ki jati hai. Day trading k kuch zarori awamel darjazzel hen:

      Timeframe

      Day trading main mukhtalif time frame ka mukhtalif situation k analysis k leye istemal kia jata hai. Jaisa k daily demand and supply ya daily high aur low k leye "Daily" ya "D1" timeframe ka istemal kia jata hai. Trend analysis aur take profit ya apne hadaf k hosol k leye 60 minutes, hourly ya "H1" timeframe ka istemal kia jata hai. Jab k trade entry k leye "five minutes (M5)" ya "fifteen minutes (M15)" ka timeframe ka istemal hota hai.

      Currencies Pairs

      EUR/USD, GBP/USD aur AUD/USD currencies pairs main se sirf aik waqat main sirf aik currency pair, q k inn sab ka behaviour American dollar k muqabele main same hota hai, ya ye keh lo k ye pairs apas main positive correlated hote hen. Jab k USD/JPY, EUR/JPY aur GBP/JPY pairs main aik waqat main sirf aik hi pair ka intekhab hai, in ka behaviour bhi JPY k muqabele main same positive correlation wala hota hai.

      Main Strategy

      Currencies pairs k supply zone main sell ki entry kia karen jab k demand zone main buy karen, ye sirf five se fifteen minutes candlestick chart pattern k timeframe main aisa karen. Ye zone sirf uss waqat valid hongay jab bhi ye 40 pips se kam hongay.

      Entry Types
      1. Pending order uss waqat lagayen jab market main daily demand aur hourly demand aik jaisa ho.
      2. Lekin Stop entry uss waqat karen jab market ki demand aur supply zone sirf hourly timeframe k mutabiq hon.
      3. Agar ye zone sirf 5 minuts k timeframe main ho to buy ya sell ki confirm entry karen.


      News Trading

      News k dowran koi trading na karen, agar pending order hen to uss ko close na karen agar cheh prices uss k bohut qareeb q na ho. News k 15 minutes k baad trade entry karen q k iss k baad market main trend ka side confirm ho jata hai.

      Pips Number

      Prices k levels 00 aur 50 k darmeyan kam ya ziada hongay, lekin ye 40 pips se kisi aik side par ziada nahi hone chaheye.

      Lot Size

      Daily ya day trading main maximum aur minimum lots ki tadad do hongay, iss ko increase to hargez na karen, decrease kar sakte hen.

      Sto0 Loss

      Day trading main stop loss technical nahi hoga, bas iss ko pips k mutabiq ya risk k mutabiq set karen. maximum stop loss ko 50 pips par select karen, jab k minimum 20 pips par set karen.

      Pending Orders

      Pending orders ki maximum positions ki tadad 5 se ziada nahi hone chaheye, q k agar ye sare aik hi dafa hit ho gaye to ye over-trading ho jayegi.

      Removal Of Pending Order

      Pending orders agar one week tak ya maximum 10 days tak hit na ho jaye to uss ko remove kard3n, issi tarah se agar prices pending orders se 300 pips door ho jayen to bhi pending orders ko khatam karen.

      Risk

      Trading Account k mutabiq ziada se ziada 3% tak agar pehle se koi order open ho to uss sorat main maximum balance k 3% mazeed risk le sakte hen.

      Reward to Risk Ratio

      Pehle target k leye 1:1 ka ratio set karen jab k dosre target k leye 1:3 ratio set karen.

      Money Management

      Jaisa hi pehla target hasil ho jayen yanni TP1 hit ho jayen to uss sorat main stop loss ko entry point par shift karen, issi tarah se ya to ziada profit hasil ho jayega, warna loss ka chances nahi hongay.

      Trading History

      Jab bhi trade open karen to uss waqat iss ka note apne pass mehfoz karlen, iss k sath sath profit aur loss ko bhi maintain karen, aur weekly ya monthly base par iss ko apne strategy k mutabiq dekhen, k ye kitna fiadamand ya nuqsandeh sabit hota hai, ys strategy ko kahan kahan se tabdeel karne ki zarorat hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X