Bullish Harami A Trend Reversal candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish Harami A Trend Reversal candlestick Pattern
    IMPORTANT THING
    Dosto bohat se profational trader market main candlestick pattern ke buniyad par he trade karte hain or maret main intre dalte hain or akasar is strategy ke sath market se munafa hasil karne main kamyab bhe hote hain is liye pattern ka knowledge hona zarore hay is he bat ko made nazar rakhte hoe hum jis mozu par guftgu karne wale hain us ko bullish harami candlestick pattern kahte hain

    BULLISH HARAMI CANDLESTICK PATTERN
    Dosto Jab market long time sy continue down trend main movement ker rehi ho tou same Trend main jab market main aesi bearish candle creat ho ky usky bahd next bullish candle kuch gap ky sath uptrend main open ho aur isterha sy close ho ky bearish candle ka yeh fourth part tak ho lekin jahan per bearish candle close hui ho us sy kuch upside gap ky sath yeh bullish candle creat ho tou aesy pattern ko bullish harami pattern ka name dia gia hai tou jab aesa pattern complete hota hai to trend revarsal hone ke chancis barh jate hain
    Click image for larger version

Name:	download.jpeg
Views:	1
Size:	4.0 کلوبائٹ
ID:	12514598

    IDENTIFICATIO OF BULLISH HARAMI
    Bullish harami pattern ky jesa bullish harami cross bhi hota hai ky jab down trend main continue movement kerty huey aik bari Bearish candle ky bahd aik aesi doji candle creat ho jo bearish candle ky centre main cross ki sign creat kery tou aesy pattern ko bullish harami cross kehty hain aur is per market ka trend change hona confirm hota hai ky wahan sy uptrend start ho jata hai

    HOW TO TRADE WITH THIS PATTERN
    Dosto Jis terha bullish harami pattern hai isi terha agar market continuously uptrend main movement kerty huey bullish candle ky bahd same pattern main bearish candle creat kery tou yeh bearish harami pattern hota hai aur isi terha agar second candle Doji ho tou bearish harami cross banta hai aur market wahan sy apna trend change kerty huey downtrend main chalna shoru ker deti hai tou aesy jab bhi pattern creat ho tou hamain isi ky mutabiq trade open kern chahye
    Click image for larger version

Name:	bullish-harami-pattern_body_GBPUSDforextradingexample2.png.full.png
Views:	1
Size:	18.4 کلوبائٹ
ID:	12514599
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bullish Harami A Trend Reversal candlestick Pattern

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Harami Candlestick Pattern


    Bullish harami candlestick pattern prices k bottom main banta hai, jahan par sellers ki ziada selling ki waja se market main bohut low area main trade kar rahi hoti hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle ziada selling ki waja se bari black candle hoti hai. Pattern ki dosri candle aik small real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k real body main banti hai, yanni iss candle ka open aur close dono pehli candle k andar hote hen. Pattern ki dosri candle lazmi aik to bullish honi chaheye aur dosra ye candle real body main bhi honi chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (6).jpeg
Views:	29
Size:	24.0 کلوبائٹ
ID:	12446145

    Candles Formation


    Bullish harami candlestick pattern two days candles par mushtamil hota hai, jo k bearish trend k baad prices ko bullish trend reversal main tabdeel karte hen. Ye pattern prices k bottom main banne par ziada asar dekhata hai, jiss main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	harami-bull-1024.jpg
Views:	13
Size:	56.6 کلوبائٹ
ID:	12446146

    1. First Candle: Bullish harami candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices main maojood bearish trend ki alamat hoti hai. Ye candle black ya red color main hoti hai, jiss ki aik long real body hoti hai. Bearish candle sellers ki mazboti dekhati hai.

    2. Second Candle: Bullish harami candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, lekin ye candle aik small real body main hoti hai. Ye candle aik to bullish candle hoti hai, dosra ye candle pehli candle k andar open aur close hoti hai. Dosri candle ki real body white ya green color main hoti hai, jo k bearish trend reversal ka sabab banti hai.


    Explanation

    Bullish harami candlestick pattern price chart par selling k baad prices k bottom ya bearish trend k baad banne par bullish trend reversal ka kaam karta hai. Ye pattern dekhne main Homing Pigeon Pattern se melta julta hai, lekin dosri candle ki color ya format change hone ki waja se ye pattern uss se mukhtalif dekhta hai. Pattern two days ka mukhtalif colours par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k long real body main banti hai. Pattern ki dosri candle aik small real body main hoti hai, lekin ye candle bullish candle bhi hoti hai aur pehli candle k andar open aur close bhi hoti hai. Dosri candle ka open aur close same point par nahi hona chaheye, warna ye pattern bullish harami cross pattern ban sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (5).png
Views:	40
Size:	2.7 کلوبائٹ
ID:	12446144

    Trading

    Bullish harami candlestick pattern par market main traders k leye buy k signals hote hen. Pattern par trading se pehle market main prices ka low area ya bearish trend main hona chaheye, jab k pattern k baad aik bullish confirmation candle ka hona bhi zarori hai. Pattern ki trend confirmation technical indicators jaise CCI aur Stochastics oscillator se bhi ki ja sakti hai, jo k oversold zonr main hona chaheye. Pattern k baad bearish ya black candle k baane se pattern pqr trading se ihtiat karen, q k prices trade k bar akas bhi move kar sakti hai. Stop Loss pattern k leye zarori hai, jo k pattern k sab se lowest ya pehli candle k bottom price se two pips below set karna chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (6).png
Views:	24
Size:	12.3 کلوبائٹ
ID:	12446143

    اب آن لائن

    Working...
    X