Important information, and trading guide with hammer candles.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Important information, and trading guide with hammer candles.
    INTRODUCTION:


    Dear friends!
    Price chart pattern par baaz auqat single candles bhi dusre candlestick charts pattern ki tarah k asraat rakhte hen, jab bhi ye candles prices k top ya bottom par bante hen. Hammer candle bhi aik single candle pattern hai, jo k prices k bottom ya bearish trend main banti hai. Hammer candle k aik small real body hoti hai, jiss ka lower side par aik lon shadow banti hai. Ye shadow hammer candle ki real body ka taqreeban dugna ya uss se ziada hota hai. Hammer candle ki real body k upper side par koi wick ya shadow nahi banta hai, yanni candle ki real body ka upside aik "Bozu'' candle hoti hai, lekin agar aik small wick ban bhi jaye to bhi acceptable hai, lekin bohut ziada lamba na ho jis se candle ki khsuseyat tabdeel ho jaye.


    Click image for larger version

Name:	hammer1.png
Views:	2
Size:	16.8 کلوبائٹ
ID:	12514580


    Explanation of hammer candle:


    Dear!
    Hammer single candle honne ki waja se ye zarori nahi hai, k dosre patterns k tarah ye candle lazmi kisi aik color main ho. Hammer candle bearish trend main ya low price main banti hai, jis ki information darjazzel tarah se hoti hai. Hammer candle jo k prices k bottom aur bearish trend k baad banne par bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai, umbrella family se taluq rakhni wali aik single pattern candle hai. Ye candle aik small real body, jiss ka open aur close same nahi hona chaheye, k sath lower side par aik long shadow rakhti hai. Candle ka shadow real body ka taqreeban dugna ya uss se ziada hota hai. Candle k real body k upper side par aik small si wick to acceptable hai, lekin ziada lengthi nahi hona chaheye, jiss se candle ki hososeyat par faraq par jata ho, lekin bagher upper shadow ki ye candle ziada perfect hoti hai. Hammer candle ki real body bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai, issi waja se candle k leye color ka hona zarori nahi hai.


    Trading with hammer candkes:


    Dear!
    Hammer candle jo dekhne mein aik T jaisi lagti hai, prices k bottom ya bearish trend main banne par bullish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Ye candle bullish trend ya top prices par banne wali Hanging Man candle ki tarah hi hoti hai, lekin prices ki position change hoti hai. Hammer candle ki inverse Inverted Hammer candle hoti hai, jo k same bearish trend main bullish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Hammer candle par trade entry se pehle iss ki bearish trend ya bottom prices position ka hona bohut ziada zarori hai. Ye aik single pattern candle hone ki waja se trade k liye bahut risk hai, iss waja se aik bullish confirmation candle ka hona zaroori hai, trader next bullish candle par market main buy ki entry kar sakte hen. Stop loss candle ki sab se lower position ya candle ki shadow k bottom se two pips below set karen.


    Click image for larger version

Name:	trrade1.png
Views:	2
Size:	78.5 کلوبائٹ
ID:	12514582

    Shukrya.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Important information, and trading guide with hammer candles.

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Hammer Candlestick


    Hammer candlestick aik bullish trend reversal candle hai, jo prices ya bearish trend k akher main namudar hoti hai. Candle ka open, close aur high price aik dosre k qareeb hote hen, jiss se candle ki aik small real body banyi hai, lekin candle ka lower prices bohut zyada nechay hone ki waja se candle k lower side par aik lamba shadow ban jata hai. Candle k upper side par aik small si wick acceptable hai, jo bohut ziada lamba nahi hona chaheye, jiss se iss candle ki shape change hone ka khadsha ho, lekin agar upper side par shadow ya wick nahi banta hai, to uss waqat ye aik strong candle react karti hai. Ye candle bullish trend main banne wali hanging man candle jaisi hoti hai, lekin dono ka banne wala prices zone change hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (19).png
Views:	77
Size:	14.5 کلوبائٹ
ID:	12446097

    Candles Formation


    Hammer candlestick candle prices k bottom main supply aur demand k radu-badal k natijay main wajood main ati hai. Ye candle aik strong reversal k leye jani jati hai, jo k downward side main kisi bhi color ki real body main ho sakti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se ho sakti hai;

    Click image for larger version

Name:	hammer-1024.jpg
Views:	37
Size:	51.1 کلوبائٹ
ID:	12446098

    Hammer Candle: Hammer candlestick agar prices k bottom main banti hai, to ye bullish ya bearish dono main se jiss color main bhi ban jaye, lekin essey aik bullish candle hi tasawar ki jati hai, q k ye point trend reversal ki position ho sakti hai. Candle k leye prices k position zarori hai, color nahi hai.

    Explanation

    Hammer candlestick aik strong bullish trend reversal candle ka kaam karti hai, agar ye candle bearish trend k baad banti hai. Ye candle aik timeframes k dowran prices ka apne aghaz wale position se pehle lower jana aur baad main wapis higher ja kar apne aghaz wale price k qareeb band hota hai, iss amal se candle k lower side par aik lamba shadow ban jata hai, jab k candle ki aik small real body banyi hai. Candle ki real body lazmi honi chaheye, yanni candle k open aur close prices same price par nahi hone chaheye, jiss se ye candle dragonfly doji candle main bandalne ka khadsha ho. Ye candle prices k bearish trend ka khatma karti hai, jiss se prices new bullish trend par move karna shoro karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (21).png
Views:	83
Size:	5.2 کلوبائٹ
ID:	12446096

    Trading

    Hammer candlestick price chart par selling pressure ko khatam karta hai, jahan se market buyers k control main chala jata hai. Low prices area aur long timeframes main ye candle aik positive response deti hai. Candle par market main sell ki entry ki ja sakti hai, lekin single candle hone ki waja se trend confirmation ka hona zarori hai. Candle k baad aik bullish candle ka hona zarori hai, jo k candle k top par close honi chaheye. Lekin bearish candle banne ya bullish candle agar iss candle k lower par close hoti hai, to uss sorat main entry nahi karni chaheye. Hammer candle ki confirmation indicators jaise, CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Stop Loss candle k sab se lower price se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	45
Size:	13.1 کلوبائٹ
ID:	12446095

    اب آن لائن

    Working...
    X