Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Separating Lines Pattern
Bullish separating line two days candles par mushtamil hota hai, jiss main prices bullish trend k tasalsul ko barqarar rakhte hen. Aik bullish trend k dowran, jiss mein buyers market par control hota hai, sellers aik time par market control haasil karne ki koshash karte hen. Bear ki iss koi koshash main jo candle banti hai, uss mein prices main kami hoti hai, lekin un ka ye control mehdood hota hai. Leki pattern k mutabiq agle din prices teezi k sath se oopar ki taraf barhta hai, aur dosre din ki candle pehle din ki candle k aghaz wali position se open hoti hai, lekin upward ja kar real bullish body main close hoti hai. Iss soratehal main prices apne sabeqa trwnd ko barqarar rakhte hen, jiss se trend buyers ki control ki waja se upward rehta hai.
Candles Formation
Bullish separating line pattern prices ko k bottom jane ki koshash ko khatam karte hen, jiss se bulls market main bears ka control lene ko nakam banate hen. Ye pattern prices k darmeyan bane par prices ko bohut ziada teezi k sath bullish push karte hen, jab k bottom ya top par banne par bullish trend reversal ya continuation ka kaam karta hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazel tarah se hoti hai:
1. First Candle: Bullish separating line pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, lekin iss ka harqez matlab ye nahi hai, k market main pehle se trwnd bearish hi ho. Market main pehle ka trend bullish hota hai, jiss ko ye candle khatam karne ki koshash karti hai, jo k aik normal real body wali bearish candle hoti hai. Candle ka open close se ooper jona chaheye, jab k shadow ka hona ya na hona zarori nahi hai.
2. Second Candle: Bullish separating line pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k pehli candle k same open prices par open ho kar above close hoti hai. Yanni dosri candle ka open, close price se nechay hota hai. Iss candle ki direction pehli candle k opposite side par hoti hai.
Explanation
Bullish separating line pattern aik unique candles k directional bullish trend continuation pattern hai, jo k two days candles par mushtamil hota hai. Ye pattern prices k top par ya bullish trend main banta hai, jiss main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k bearish trend reversal ki koshash karti hai, lekin agli din ki candle bullish hone ki waja se ye pattern prices k uptrend ka signal deti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k open price par open ho kar upward ja k close hoti hai. Pattern ki dono candles ka open price same hota hai, lekin close prices aur direction aik dosre ka opposite hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle se gap up main banti hai, lekin ye gap bearish candle ki real body se cover hota hai, jiss ka normal chart par humen andaz nahi hota hai.
Trading
Bullish separating line pattern traders k leye market main mojoda trend par hi barqarar rehne ka aik strong signal hota hai. Ye pattern wese bhi baqi two days trend reversal pattern se ziada reliable hota hai, jiss k kamyabi k chances bhi ziada hote hen. Bullish separating line pattern par trading se pehle trend confirmation ka hona zarori hai, jo k prices k resistance breakout k leyw ziada zarori hai. Confirmation candle ka real body main bullish hona chaheye aur dosri candle k top par close honi chaheye. CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value 50% level se above honi chaheye, jab k price chart par current resistance level breakout hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se bottom position ya pehli candle k lower se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим