How To Identify "Real & Fake Breakout" In Forex Market

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How To Identify "Real & Fake Breakout" In Forex Market
    How To Identify "Real & Fake Breakout" In Forex Market Asslam.o.Aliakum membershan ji dosto umeed krta hn ap sab kheriyat se hon gy dosto aj hum jis topic py baat krne wale hain us topic ka naam hai (How To Identify Real & Fake Breakout) umeed krta hn dosto apko is topic se kafi help mile gi aur ap ki knowledge increase ho gi.dosto market main boht se traders sirf breakout py trading krte hain aur market main kisi b pair par trading krne k liye wo breakout k intzar main hote hain. dosto market main hamain real breakout b mil jata hai lakin market main hamain ziyada tar fake breakout b dekhne ko milta hai is liye hamain market main trading krte hue real breakout ko analyse krna chahiye. isliye tabhi hamain trading krni agr ham fake breakout py trade open kr dain gy to hamari trade loss m chali jye gi. isliye hamain fake aur real breakout ko analyse krna boht important hai.What Is a Breakout?han ji dosto market main kisi b pair ki price jab kisi resistance ya support area se neche ki taraf ya upar ki taraf break hoti hai to ham usy us level ka breakout kehte hain. dosto resistance aur support level k breakout pr hamari trade depend krti hai aur market main ziyada trader only breakout pr he trading krte hain market jab b kisi level ko break kr jati hai dosto tab hamain market main enter hone ka moqa milta hai aur hamain usi trend main apni trade open krni chahiye. market ka breakout hamare liye boht faida mand hota hai.Real Breakout Of Market:han ji dosto jab market kisi resistance ya support area ko break krti hai aur usi trend main agy ki taraf barhti rehti hai to tab hamain market ka pata chal jata hai k market main real breakout ho gya hai aur ab ham market main entry ly sakte hain. dosto market main jab b kisi level ka breakout hota hai tab ham uska intzar krte hain agr market reverse nahi hoti hai to wo market ka real breakout hota hai. dosto hamain market main real breakout ki confirmation krna boht zarori hai tabhi ham market main achi trading kr sakte hain. real breakout ki picture neche dekh kr ap smajh sakte hain. Click image for larger version

Name:	images (1).png
Views:	7
Size:	27.7 کلوبائٹ
ID:	12512993Fake Breakout Of Market:han ji dosto market main hamain ziyada tar fake breakout dekhne ko milta hai. market main price jab b kisi resistance level ya support level ko break krti hai aur kuch der k bad reverse hona shuru ho jati hai to iska mtlb ye hota h k market main fake breakout hua hai. aur kuch der k bad market wapis ana shuru ho jati hai aur agr ham is time trade lete hain to hamain loss ho skta hai qk market hamari trade k khilaf jana shuru kr deti hai isliye dosto real aur fake breakout ki confirmation krne k bad he hamain trade leni chahiye sabar k sath w8 kar k tabhi hamari trading achi ho gi. Click image for larger version

Name:	download (1).jpeg
Views:	5
Size:	7.6 کلوبائٹ
ID:	12512992Confirmation Of Real & Fake Breakout:han ji dosto forex market main real & fake breakout ki confirmation krna boht zarori hai qk dosto jab tk ham real breakout ki confirmation nahi krain gy tab tak ham kabhi b profitable trading nahi kr sakte. market main agr resistance ya support area se price ka breakout hota hai to hamain w8 krna chahiye jab tk market main koi ik candle upr ya neche ki taraf close na ho jye tab tk hamain w8 krna chahiye . agr candle upr ya neche ki taraf close ho jati hai aur next candle pichli candle ko break krti hai to tab hamain dosto market k breakout ki confirmation ho jati hai k market main real breakout hua hai ya fake breakout hua hai. is tareke se ham market main real breakout ki confirmation pr trading kr sakte hain. Reason For Fake Breakout:han ji dosto market main fake breakout q hota hai. market main hamain fake breakout ziyada tar news k time dekhne ko milta hai. qk news k time market main trend nahi hota hai market fundamentally tour pr kisi b side ja skti hai market ki news k time hamain market main aksar fake breakout mil jate hain. is waja se market main hamare sath dhoka ho jata hai. isliye dosto news k time hamain breakout ka dehan rkhna chahiye qk news k time hue breakout aksar fake hote hain.How To Avoid Fake Breakout?han ji dosto hamain koshish krni chahiye k market main hamain without confirmation k koi b trade open nahi krni chahiye. without confirmation k agr koi trade open krain gy to hamain loss ho sakta hai. isliye hamain chahiye k market main hamesha confirmation k sath trade open krni chahiye tabhi ham loss se bach sakte hain. jab tak resistance ya support level k break k upr ya neche koi candle close na ho jaye aur next candle usko break kr na kr ly tab tak hamain w8 krna chahiye. agr ham sabar se kam nahi ly gy to phr ham market main wrong entry ly gain. isliye hamain market ki confirmation krna boht zarori hai.Importance Of Breakout:han ji dosto market main breakout hamare liye boht he important hota hai. qk jab b kisi resistance ya support level se hamain breakout dekhne ko milta hai to us waqt hamain market main good entry lene ka moqa mil jata hai aur ham market se kafi acha profit gain kr sakte hain. isliye hamain breakout ki confirmation krne k bad entry ly leni chahiye agr ham market k breakout ki ache tareke se confirmation kr lete hain to hamain market se kafi acha faida mil sakta hai. isliye dosto breakout boht important aur faida mand hai hamare liye isliye iski confirmation krna b boht zarori hai.

اب آن لائن

Working...
X