Parabolic SAR Indicator
Parabolic Stop and Reverse indicator jiss ko aam tawar par "Parabolic SAR," or "PSAR" bhi kaha jatta hai, aik trend-following indicator hai, jiss ko J. Welles Wilder ne bannaya tha. Ye indicator aik single line jesse "Parabolic Line" ya "Parabolic Dots" kaha jatta hai bannata hai, jo k uptrend main prices k nechay aur downtrend main prices k upper display hotta hai.
Parabolic SAR Indicator ki sab se bari hasseyat ye hai k ye indicator strong trend line main bohut positive reponse deta hai, jiss se market main trades k successful honne k chances bohut achahy hotte hen. Parabolic SAR indicator ka sab se bara drawback sideways trend main hai, k ye indicator bagher trend k achah result nahi detta hai. Sideways trend main dots prices k up down hotte rehtte hen, jiss se market ki koi clear direction nahi mel rahi hotti hai.
Parabolic SAR Functions
Basically parabolic SAR indicator teen tarrah k kaam sar anjaam de raha hotta hai, jiss ki tafseel darjazzel hai;
1. Trend Direction:
Parabolic SAR indicator basic aur aham kaam trend k direction k baare main bohut wazeh information detta hai, jab bhi iss indicator ki dots prices k nechay hongi to ye aik bullish trend ki nishani hoggi, jab k dots ka prices se upper honna bearish trend ki nishan-dahi hotti hai.
2. Entry Point:
Parabolic SAR indicator ka dosra kaam market main entry ki position ya point k bare main battana hotta hai, ye indicator dots ki maddad se trend line ki mazbotti ki nishan-dahi karrti hai, jiss se trader market main entry kartte hen.
3. Exit Point:
Parabolic SAR indicator ka teesa kaam market se exit honne k baare main information denna hotta hai, ye indicator uss waqat humen dots ki maddad se aik clear message detta hai, jiss waqat trend reversal ya trend ki position kamzzor parh rahi hotti hai.
Parabolic SAR Calculation
Parabolic SAR indicator acceleration factor (AF) k sath maojooda extreme price (EP) ka estemal kartta hai, takeh ye tayyun kia ja sake k ishare k nuqtay kahan zahir hinne chaheye.
Parabolic SAR Indicator ki calculation darjazzel tareeqay se ki jatti hai;
- Uptrend: PSAR = Prior PSAR + Prior AF (Prior EP - Prior PSAR)
- Downtrend: PSAR = Prior PSAR - Prior AF (Prior PSAR - Prior EP)
- EP = Highest high for an uptrend and lowest low for a downtrend, updated each time a new EP is reached.
- AF = Default of 0.02, increasing by 0.02 each time a new EP is reached, with a maximum of 0.20.
Mandarja-bala calculation ki maddad se indicator dots create kartta hai, jiss ki maddad se price direction ka paata chal jatta hai. Indicator k dots har waqat prices k sath hottie hen, aur sath hi uss k move bhi kar rahe hotte hen. Aggar prices uptrend main hon to ye dots nechay se upper ki taraf prices k nechay se ja rahe hotte hen, jab k prices k downtrend main honne par dots prices k sath sath upper se nechay ki taraf move kar rahe hotte hen. Prices k trend change honne par dots bhi trend k mutabiq apnni semat badal dette hen.
Trade With the Parabolic SAR Indicator
Parabolic SAR Indicator ka basically kaam market main buy ka signal denna hotta hai, jab bhi dots prices k nechay chal rahe hotte hen, jo k uptrend ki indication hotti hai. Indicator sell k signal tab denna jab bhi dots prices k upper move kar rahe hotte hen, yahan par indicator down-trend ki taraf ishara detta hai.
Jab bhi prices tez harkat main ho to indicator signal ka reponse bhi ziadda behtar hotta hai, lekin small movement ki waja se indicator k signal false signals bhi bohut ziadda peda kartta hai, jiss se trades ko loss ka ziadda hadsha hotta hai.
Pattern par trading se pehle lazmmi trend confirmation prices se zarror karen, jo trend k uptrend ya downtrend ki wazih ishara de. Is k alawa dosre indicators jaise moving averages ya trend line ko bhi iss k sath istemal kia ja saktta hai, jo k overall trend ki direction k semat ka pata den. Aggar trend Parabolic SAR indicator k sath sath dosre indicators se bhi confirm ho to uss waqqat trend k direction main trade lagayen. Aggar maojjoda trend bullish ho aur indicator k dots bhi prices se nechay ho to market main buy ki entry karen, lekin aggar dots prices k nechay se upper shift ho jatte hen to uss waqat market se exit karen.
Issi tarrah downtrend ya bearish trend main aggar dots prices k upper sode par hon aur to uss waqqat sell ki entry karen aur market se uss waqqat exit karen jab bhi dots prices k nechay shift ho jayen.
Stop loss ko Parabolic SAR indicator k sath lazzmi put karren, q k baaz daffa ye fake signals bhi de jatta hai, lekin aggar trend ko strong position par indicator ko set kia ho to uss waqqat ye ziadda reliable hotta hai. Stop loss ko indicator k sath zarror set karen, aur sab se achah hai k trailing stop loss ko indicator k sath lagga den. Aggar indicator trade k opposite direction main teen dots bannata hai, tab bhi market se exit karnna chaheye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим