Reversal Patterns
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Reversal Patterns
    Reversal Patterns


    Reversal Japanese candlesticks patterns market k maojooda trend k reversal janne ki indication detti hai. Bullish trend main reversal pattern sell ka signal detta hai, jabb bhi qeematen resistance levels main ruk chukki hon, aur iss ko mazzeed upper janne main dushwaree a rahee ho aur dosra ya qeematen bohut ziadda high par cahli gayye ho. Jab k iss k bar-akss bearish trend main reversal pattern buy ka signal detta hai, jab bhi qeematen support level main ruk chukki hon, jese mazzeed nechay janne main dushwaree hon aur ya ye bohut ziadda lower par trade kar rahee ho.
    Yahan par ye baat note karen k ye reversal pattern market main 50% tak hi kamyyab rehtte hen. Jab k bohut sarre trend reversal pattern ko to neutral (indecision) pattern bhi shummar kia jatta hai. Yahan tak k "Steve Neson" ne appni kattab "Japanese Candlestick Charting Techniques" main reversal pattern par trading ko bohut ziadda riski bataya hai. Issi sabbab ki wajja se Japanese candlesticks main trend reversal pattern par trading se pehle mukamal tareeqay se technical analysis karen, aur stop loss ka sahi position aur zarror estemal karren. Reversal pattern ki trend identification karnna k baad confirmation k leye mukhtalif tools jaise; chart pattern, candlestick, technical indicators aur price action ka lazzmi estemal karen, ye market main sab se ziadda safety k leye zarrori hai.
    Japanese candlesticks k reversal pattern main wrong ya fake signal se bach kar aur appni input point yanni entry position ko behtar banna kar aap k signal mayyar ko behtar bannane ka pehla aur aham tareeqa hai. Forex trading main aam tawar par istemal honne wale kuch trend reversal pattern darjazzel hen;

    Click image for larger version

Name:	images (1506).png
Views:	1
Size:	21.2 کلوبائٹ
ID:	12512603

    Bullish Engulfing Pattern


    Bullish Engulfing Candlestick Pattern prices k bottom par vanne wala aik strong two days candlestick pattern hai, jo k prices ko bullish trend reversal main badal detta hai. Bullish engulfing pattern main shmail pehlee candle aik real body wali bearish candle hotti hai, jo k prices k downtrend ki mazbotti ki alammat hotti hai, lekin dosre din ki candle aik long real body wali bullish candle hotti hai, jo open to pehlee candle se lower par hotti hai, lekin close uss se above hotti hai. Pehlee bearish candle dosree bullish candle k real body k lapait main a jatti hai, jis ko "Engulfing" kaha jatta hai.

    Bullish Belt-Hold Pattern


    Bullish Belt-Hold pattern two days candle par mushtamil hai aik bullish trend reversal pattern hai, jisbko aam tawar par single pattern bhi tasawar kia jatta hai, q k pattern ki pehlee candle aik bearish trend ki strong real body wali long black ya bearish candle hotti hai. Pattern ki dosree candle aik strong bullish candle hotti hai, jo k open pehlee candle k below gap main hotti hai, lekin open bearish candle k real body main hotti hai. Bullish candle aik Marubozu ya Bozu candle hotti hai, q k is k down side par koi bhi shadow ya wock nahi hotti, jab k upward side par shafow acceptable hai.

    Tri Star Candlestick Pattern


    Bearish Tri star candlestick pattern baqqi normal candlestick pattern se bohut mukhtalif pattern hai, jo teen musalsal doji candles par mushtamil hota hai. Pattern k teeno doji candles aik dosre se up air down gap main open aur close hotte hen. Ye pattern prices k top trend main to bannta hai lekin sath hi sath bullish trend ki kazzorri aur bearish trend main prices ka reversal honne ka bhi sath ishrra detta hai. Pattern k darmeyyan main banne wali doji candle ziadda tar star doji candle hotti hai, jo pattern k sab se top par bannti hai.

    Piercing Line Pattern


    Piercing two days candlestick pattern hai, jo prices k downtrend k baad bantta hai. Pattern ki pehlee candle aik bearish trend k tasalsul ko zahir karne wali candle hotti hai. Jo k aik long real body main bantti hai. Dosrre number par banne wali candle bhi aik real body wali strong candle hotti hai, lekin ye candle aik bullish candle hotti hai. Piercing line pattern dekhne main "Meeting Line Pattern" jaisa hibdekhaye detta hai, lekin bullish candle k bearish candle k midpoint se upper close honne par us se mukhtalif ho jatta hai.


    Decending Hawk Candlestick Pattern


    Decending Hawk Candlestick Pattern aik bearish trend reversal pattern hai, jo k prices k uptrend main bantta hai. Ye pattern aam tawar par two days candles par mushtamil hota hai, jo k "Homing Pigeon Pattern" ka opposite hai. Decending Hawk Candlestick Pattern shap main "Bearish Harami Pattern" se meltta jullta hai, lekin last candle bullish hone ki waja se ye bearish harami pattern se mukhtalef ho jatta hai. Ye pattern bhi bearish harami pattern ki tarrah bearish reversal k leye estemal hotta hai, jab bhi ye bullish trend main bantta hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Reversal Patterns

    TREND REVERSAL PATTERN



    Reversal Patterns aik waqate maqarara k dowran trend tabdeel honi ka signal de raha hota hai. Reversal ka matlab hai trend k "semat ki tabdeeli " aur pattern ka matlab howa chart ki formation. Isi tarah reversal pattern chart ki mukhtalif shaklen hen jo market ki maojoda trend k semat me tabdeeli ki nishan-dahi karti hai. Ye patterns hourly, daily, weekly ya monthly charts pe dekhen ja sakte hen. Technical patterns tamam time frame pe lago hote hen.
    Reversal Patterns kisi bhi semat me ho sakti hai, yani uper se nechay (bearish ya downward) aur nechay se uper (bullish ya upward). Patterns dono soraton me chart par aik khas shakal ikhteyar kar lete hen, jis se traders k kamyab hone ka imkan zyada hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (434).jpeg
Views:	1
Size:	33.1 کلوبائٹ
ID:	12375903

    Reversal patterns banne me waqat lagta hai, jaisa k aam tawar natural reversal cheezon ka hota hai. Trend jab bhi aik khas semat me chal raha hota hai, to is k rukne ya wapis ane me waqat zaror lagta hai. Traders ko market me pehle se chal rahe trend k kam se kam qeemat ko bhi dekhna chaheye aur ziada se ziada qeematon ko bhi. Kam se kam qeemat market k bearish qeematon k leye aur ziada se ziada market k top qeematon ko samajhne k leye.
    Traders ko hamesha market me khareed-wa-ferokht chart pattern ki karkardagi ki bunyad pe karna chaheye, jab k security se jazbati tawar par munsalik hone se ijtenab karna chaheye.
    Market me aam tawar par wajood me ane wale kuch reversal patterns me head and shoulders pattern, inverted head and shoulders pattern, double bottom pattern, double top pattern, basing formations aur broadening formations waghera shamil hen.

    Click image for larger version

Name:	images (1513).png
Views:	4
Size:	23.3 کلوبائٹ
ID:	12375899

    Reversal Pattern ki Aam Khususiyat



    Wo chand aham points jo k tamam reversal patterns mein moshtaraka taur per paye jaate hen, darja-zel hen;

    Peshgi trend (Prior Trend) ka wajud


    Kaye baar chart par aik aisa pattern mel sakta hai jo aik reversal pattern se melta julta hai. Lekin agar is tarah k pattern se pehle koi bara jari trend nahi tha to ye pattern mashkok ho jata hai. Aik aham trend line ka totna aksar ane wale trend k reversal jane ka pehla signal hota hai.
    Barhti howi (up-trend) trend line ki khilaf warzi rujhan ki semat ko tabdeel karne aur sideways ya nechay ki taraf jane ki imkan ki nishan-dahi karti hai.
    Gerti howi (down-trend) trend line ki khilaf-warzi rujhan ki semat ko dabdeel karne aur sideways ya uper ki taraf jane ka imkan ki nishan-dahi karti hai.

    Pattern ki Lambai aur Chaudai ki Ahmeyat



    Reversal Patterns ki lambaye aur churaye jitni ziada hogi, pattern se breakout k bad natija utna hi ziada taqatwar hoga.

    Topping aur Bottoming Patterns



    Topping Patterns


    Click image for larger version

Name:	images (1512).png
Views:	2
Size:	7.1 کلوبائٹ
ID:	12375900

    Topping patterns uper (top) ki tashkeel ki nishan-dahi karte hen. In patterns ki takmeel par qeemat nechay ki taraf jane ki tawaqa kar sakte hen. Topping patterns ka duraneya aam tawar par chota hota hai aur in patterns me qeematon ki tabdeeli bohut teezi se aur mutehkam hoti hai.

    Bottoming Patterns



    Dosri taraf bottom pattern nechay ki taraf jane ki nishan-dahi karte hen, aur in patterns k banne k bad qeematen uper jane ki tawaqa kar sakte hen. Bottom pattern aam tawar par topping patterns k muqabele me ziada waqat lete hen, aur qeematen aik choti range me barhti hai.

    Volume



    Agar bottoming pattern se qeemat ka breakout ausat volume k sath ziada nahi hai, to is k ghalat breakout hone k imkan ko kafi ziada samajhna chaheye.
    Lekin topping breakdown k sath volume ziada aham nahi hai. Q k aisi bohut sari misalen maojod hen jahan market ne bare volume k bagher semat ko tabdeel kar deya hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X