Doji Candlesticks
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Doji Candlesticks
    Assalamu Alaikum Dosto!

    DOji Candlestick


    Doji candles market main us waqat banti hai jab bhi kisi makhsos timeframe k dowran candles ka opening price aur closing price aik jaisa ho. Ye candles baghair body walli candles hotti hai, jo kisi khaas trend ki taraf isharra nahi karttee hai. Doji candles main upper, lower ya donno sides par aik chotha ya lambba shadow ya wick ho saktee hai, lekin candles k darmeyyan main banne wali body bulkul ya to zero hoti hai aur ya bulkul chotee see, jiss main opening aur closing price bohut qareeb hon.

    Click image for larger version

Name:	images (1459).png
Views:	5
Size:	17.1 کلوبائٹ
ID:	12512388

    Prices main doji candles k banne ki wajja ya to market main sellers aur buyers ka power k barrabar hone se bantee hai aur ya koi new events k jaree hone k baad ye candles ban jatee hai. Doji candles bhi Spinning top candle ki tarah market main neutrality dekhatee hai.

    Doji Candles Types


    Doji candles ki formation sab ki aik jaisee hi hotee hen, lekin opening aur closing prices ki position sab ki aik jaisi nahi hotee hai, jiss kee wajja se doji candles aik dosrre se mukhttaliff shap me banntee hai. Forex trading market main humen darjjazell panch tarah ki doji candlestick k formates meltte hen;

    a. Star Doji Candle
    b. Long-legged Doji Candle
    c. Gravestone Doji Candle
    d. Dragonfly Doji Candle
    e. Four Price Doji Candle

    Click image for larger version

Name:	images (1458).png
Views:	1
Size:	2.8 کلوبائٹ
ID:	12512389

    a. Star Doji Candle


    Star doji candle ya Doji-Star candle ek standard doji candle hotee hai, jo k prices ki neutrality ko dekhatee hai. Ye candle market me bull aur bear k same pressure ki waja se bantee hai. Candle main prices na to bohut ziadda upward jatee hai aur na hi bohut ziadda downward, bulkeh mamolee si upward aur ussi tarrah se downward jane k baad wapis appne open point pe close hotee hai.

    b. Long-legged Doji Candle


    Long-legged doji candle main prices upper aur lower sides par aik bara shodows (wicks) bannane k baad apnne opening price pe close ho jatee hai. Long-legged doji candle ko "Rickshaw Man Doji Candle" bhi kaha jatta hai. Jab bhi khas timeframe me buying aur selling bohut zyada ban jatta hai to uss waqqat Long-legged doji candle bantee hai. Ye ek neutral candle tasawar ki jatee hai, aur bullish ya bearish trend main sey kisee ki tarafdaree nahi kartee hai.

    c. Gravestone Doji Candle


    Gravestone doji candle prices main uss waqqat bantee hai, jab bhi prices bull pressure ki wajja se upward jane k baad wapis bear pressure se ussi point par bannd ho jatee hai. Gravestone doji candle ko traders ziadda tar bearish candle tasawar karte hen, aggar ye candle top price ya bullish trend main bantee hai. Candle ki format batattee hai k bulls ne prices upper sides pe to push keye lekin wo candle ko band karne tak baqarar nahi rakh paye. Jiss par bears ne prices ko apnne control main le karr candle ko low pe band kar dee.

    d. Dragonfly Doji Candle


    Dragonfly doji candle "Gravestone Doji candle" ki mukhaleff candle hai, jiss me doji candle k open aur close price aik jaise hone k baad, lower side pe ek lambba shadow hota hai. Dragonfly doji market main bullish trend reversal ka kaam kartee hai, lekin uss k leye zarrori hai, k prices bearish trend main hon. Dragonfly doji ki format k mutabbeq jab bhi bear price ko nechay ki tarraf push karne k baad us par control barqarrar nahi rakh pate aur bull prices ko wapis upward dakhel detee hen.

    e. Four Price Doji Candle


    Four price doji bohut unique hone ki wajja se bohut kam hi prices main bantee hai, aur long term k timeframe me to iss ka banna bohut mushkill hota hai. Four price doji candle me prices upward aur downward janne ki bajjaye ek hi position pe munjamed ya stuck rehtee hai. Jiss se ye candle aik line see bantee hai. Four price candle main high, low, open aur close point same eik hi hotti hen. Four price doji market main buyers aur sellers donno ki adam tawajah ya damp market ki waja se bantee hai. Ye candle bhi Doji-Star aur Long-legged candle ki tarrah neutral tasawar hotee hai.

    Trading


    Doji candles baqi dosre real body walee candles k bar akas trading k leye kuch ziadda hi muasar hotee hen, ye candles aggar top price ya low price main ban jaye to trend reversal main bohut ahmeyyat ikhteyyar kar jatee hai. Doji candle k leye long timeframes ka honna bohut aham hai. Small timeframes main doji candles ziadda bante hen, jab k long timeframes jaise D1, W1 main doji candles banne se trend reversal ya trend continuation ka kaam karte hen. Doji candles ka dosrre indicator k sath mela karr estemal karnne par result aur bhi ziadda improve hote hen.

    Click image for larger version

Name:	images (1457).png
Views:	14
Size:	13.1 کلوبائٹ
ID:	12512390
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    DOJI CANDLESTICKS IN FOREX TRADING Forex trading, jahan par currencies ko khareedna aur baichna hota hai, main aik important technical analysis tool hota hai jo "Candlestick Chart" ke zariye istemal hota hai. Candlestick charts par "Doji Candlesticks" aik ahem patli hoti hain, jo traders ke liye kisi bhi trend ke changing points ko samajhne mein madadgar hoti hain.Doji candlestick aik aisi candle hoti hai jo aam taur par kisi bhi trend ke beech ya reversal point par aati hai. Iski pehchan isse hoti hai kyunki ye candle kuch khaas features rakhti hai:Doji candle ka opening price aur closing price aik dosre ke bohot qareeb hoti hain, jisse candle ki body yaad nahi rehti aur ye ek line ya patli candle ban jati hai. UPPER & LOWER WICKS Iske upper aur lower sides par choti choti lines hoti hain jo price ke fluctuations ko darust karti hain. Ye wicks show karte hain ke market mein buyers aur sellers mein kisi bhi taraf ka decisive nahi hota.Doji candlesticks ke different types hotay hain, jinmein se chand ahem hain:Ye candle jab banti hai jab opening price aur closing price aik dosre ke bohot qareeb hoti hain, almost barabar.Isme candle ki wicks (upper aur lower) lambi hoti hain, jo price volatility ko darust karti hain aur indecision ko zahir karti hain.Ye doji candle ke variations hain, jinmein Dragonfly Doji mein price barabar se upper move karti hai jab ke Gravestone Doji mein price barabar se lower move karti hai. CONCLUSION Doji candlesticks market mein uncertainty ya indecision ko darust karti hain. Agar aapko ek trend ke badalte hone ka andesha ho, to Doji candlesticks aapko uski tashreef laga sakti hain. For example, agar ek uptrend ke baad aik bullish Doji candle aati hai, to ye indicate kar sakti hai ke trend tham gaya hai aur reversal hone ke chances hain. Doji candlesticks forex trading mein ahem hoti hain, lekin yaad rahe ke kisi bhi ek indicator par pura bharosa na karein. Doji candlesticks ko dusri analysis tools ke sath istemal karke trading decisions lena behtar hota hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X