Assalamu Alaikum Dosto!
Hanging Man Candle
Hanging man candle uss waqat banti hai, jab bullish trend k dowran security open hone ke baad numaya tor par nechay chali jati hai, lekin din k ahtetam par prices bullish close ho jate hen, iss prosses mein anay wali candlestick aik lambi nechay saye (lower shadow) ke sath murabba lollypop ki tarah dikhaye deti hai. Mandarjabala candlestick agar bullish trend ya high price area main banta hai, to iss ko hanging man candlestick kehte hen, jo k bearish candle ki hososeyat rakhti hai aur bearish trend reversal ka sabab bhi banti hai. Hanging man candle ka taluq umbrella family se hai, jiss main candle ki upside par small real body hoti hai, jab k lower par aik long shadow hota hai. Candle k real body k upper side par shadow ka nahi hona chaheye, lekin aik small wick acceptable hai.
Candle ki Formation
Hanging man candle aik signle candle pattern hai, jiss ka pattern bullish ya high prices area main ziada moasar hota hai. Ye candle baqi umbrella aur inverse umbrealla candles ki tarah trend reversal ka sabab banti hai. Prices main candle ki formation darjazzel tarah se hoti hai:
Hanging Man Candle: Hanging man candlestick bullish trend main achanak ziada selling pressure ki waja se banti hai, jiss main candle ki ziada tar hososeyat bearish trend ki hoti hai. Ye candle small real body main hoti hai, jiss ka lower side par aik long shadow hota hai. Candle ki real body bullish aur bearish dono ho sakti hai, lekin ye candle bearish candle hi shumar hoti hai.
Explanation
Hanging man candle aik bearish trend reversal ka single candle patteren hai, jo iss baat ki nishandahi karti hai, k stock apni bottom level tak pahonch gaya hai, aur prices trend tabdeel karne ki position mein hai. Hanging man candle khaas tor par, yeh ishara karta hai, ke sellers market mein ziada active ho chuke hen, jiss se wo prices ko ko akhari bottom level tak push karte hen. Lekin baad main market main buyers ki pressure ya tadad main izafa hone ki waja se prices din k akhtetam tak wapis upper chali jati hai. Prices k aghaz main selling aur baad main buying pressure ki waja se candle k lower side par aik long shadow banta hai, jo k arzi tawar par prices ka consolidation time hota hai, jiss ka baad ye candle prices k bearish trend reversal ka zarya banta hai.
Trading
Prices chart k top area main lollypop shakal ki banne wali aik single pattern candle jiss k upper side par aik small body hoti hai, aik hanging man candle hoti hai, jo prices ko mazeed bullish jane se rok kar trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle market main buyers ka ikhtetam aur sellers ka prices ko upward push karne ka ishara hota hai. Candle par trading se pehle trend confirmation k leye aik to prices ka top hona chaheye, jab k doara aik bearish real body wali candle bhi honi chaheye. Lekin hanging man candle k baad bullish candle k banne se ye candle invalid ho jayegi. Ye single candle pattern hone ki waja se trend ki confirmation CCI indicator aur Stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jo k overbought zone main hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se upper side ya candle k real body k top se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим