Lot size kya hota ha?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Lot size kya hota ha?
    What is lot size:

    Assalam-o-alaikum dosto aj jis topic pa ham bat karein ga wo ha lot size Lot Forex mein aapki trade ka size batata Hai. Lot directly aapko profit or loss per asar -andaaz hota hai agar Lot ka size thora zaida Hai ya saada alfaaz mein aapki trade choti hai to aapko loss ya profit market ki movement se kam hoga, ISI tarah agar aapki Lot ka size bada hai to usse market ki movement ka aapko loss or profit bhi jyada hota hai, to is baat se aapko idea ho sakta hai ki lot size kitni jyada important hai aur yah aapki trade per bahut effect dalti hai isliye aapko detail se samajhna bahut jyada important hai.



    TYPES OF LOT SIZE :

    STANDARD LOT:

    1 standard lot 1 lakh units ke volume per mushtamil hoti hai .agar aap kisi currency pair ko 1 standard lot se kharide Hain To iska matlab hai ki aap 100000 unit US currency ke khareed rahe hain. for example agar aap Euro USD pair ki ek standard lot buy karte Hain To iska matlab hai aap 100,hazar khareed rahe hai aur agar use time Euro khareed rahy Hain. Aur ager us timeEUR USD ka rate1.2000 chal raha hai to 1 lakh 20 hazr Dollars se 1lakh EUR khareedty hain. lekin agar aap leverage use karte hain to aap 1 lakh 20 hazr dollar nahi dene padty. maslan agar aap 1:100 ki istemal karte hain to aapko 1200 dollar mein ek lakh Euro mil sakte hain.

    Mini lot:


    Mini lot main 10,100 units hoti hain our ya standard lot ka 10% hoti Hai.Standard lot 1 lakh units hote Hain magar Mini lot 10,000 units per Mushtamil hoti Hai. jaise ke standard lot mein aapane dekha yahan bhi same issue hai ke Euro USD ko 1.2000 ke price se one Mini lot se buy karenge to aap 10,000 EUR khareedty Hain aur aapko 12000 dollar Dena padhte hain aur leverage agar 1:100 ki istemal karte hain 120 dollers main aap 12000 Euro khareed sakte hain.

    Micro lot mein 1,000 units or a standard lot ka 1% banata hai agar ek trader 0.01 ke lote se trade open karta hai to uska matlab hai ki yah wo 1 micro lot trade kar raha hai .Mini lot aur micro lot choti lots hoti hai aur jab traders ne forex market to join karta hai to usko ya he mishwara dana chahy Hai ki wo yah lots istemal Karen tak unko lot size ke bare mein experience bane aur loss Na Ho.

    NANO LOT:

    Nano lot Forex main 10 ya 100 units per hoti Hai. units mein difference isliye hai ki kuch broker 10 unit se consider karte hain aur kuch 100 units Jo bilkul new Kamar hote Hain unke liye good hai.

اب آن لائن

Working...
X