Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Doji-Star Candlestick Pattern
Price chart par jab prices buyers k bohut ziada pressure ki waja se bullish jati hai, to wahan par aksar iss ko reversal honne k imkanat hote hen, jiss main aksar kuch aise pattern hote hen, jo do candles par mushtamil hote hen. Bearish doji-star tar pattern prices k top par ya bullish trend main banta hai, jo k do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss k baad aik doji candle hoti hai, jo k pehli candle k top par banti hai. Pattern ki dosri candle umoman doji star candle hoti hai. Pattern ki dosri candle prices ko aik to mazeed bullish jane se rokti hai aur dosra ye candle aik doji hone ki waja se trend reversal ka kaam karti hai.
Candles Formation
Bearish doji-star candlestick pattern prices k top par do mukhtalif candles ka aik bearish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle bullish aur dosri doji candle hoti hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bearish doji-star candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo prices k top par ya bullish trend ki continuation ka kaam karti hai, q k ye aik long real body wali candle hoti hai. Ye candle aik white ya green color ki candle hoti hai.
2. Second Candle: Bearish doji-star Candlestick pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai. Ye candle real body k bagher hoti hai, jiss ka open aur close same position par hota hai. Dosri doji candle bager real body ki waja se colorless hone k sath iss ka high aur low bhi ziada tar equal length k hoti hai.
Explaination
Bearish doji-star candlestick pattern aik bearish trend reversal pattern hai, jo k do candles par mushtamil hota hai. Ye pattern prices k top par ya bullish trend main banne ki waja se prices ko mazeed upward jane se rokti hai. Ye pattern same to same dekhne main aik half "Evening Star Pattern" ki tarah hota hai, lekin teesri candle ka na hone ki waja se ye bearish doji-star pattern ban jata hai. Bearish doji-star pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jiss ka open aur close same point ya price par hota hai. Dosre candle k open aur close same point par hona chaheye, warna same point par na hone ki waja se ye pattern Spining top main badal sakta hai.
Trading
Bearish doji-star candlestick pattern trend reversal ka pattern hai, jiss se market main sell ki entry karte hen. Pattern k top par sellers ziada active ho jate hen. Trend reversal pattern par trading trend continuation patterns ki nisbat ziada riski hoti hai, iss waja se pattern par trading se pehle market main aik bearish ya black candle ka hona zarori hai. Jiss ki real body honi chaheye, jiss main open aur close same point par na ho. Agar pattern k baad bullish candle banti hai, to ye pattern invalid ho jayega, jiss par entry nahi karni chaheye. Stop Loss pattern k sab se top position ya dosri candle k upper price se two pips above par set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим