Important pattern shooting star in fore x trading

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Important pattern shooting star in fore x trading
    AOA

    INTRODUCATION


    Friends kia hall hn ap ky main ummid karta hun aap thik Honge aur Forex trading Mein acchi kamyabi Hasil kar rahein hon gy aap sunao aap kaise hain, ummid hai ki aap sab khairiyat se honge forex ke member aaj ham jas toppic par baat karna chahte hain, ummid hai kh vah topic aap ko bahut zada Pasand aaega, Aur iske sath sath aapki knowledge or experience may be improe ho ga or aj ka topic hy shooting star candle sticks pattern es pattern ky bary mein sey apna knowledge share karna or ye b batna hy es pattern sey kase trading karne or kese trah profit hasil karna hy







    DEFINITOPN OF SHOOTING STAR PATTERN

    Es pattern mein ak breash candlestick hote ha jis ka ak bara sa shadow bhi hota ha. Is ka shadow bahot he chota ha yani is ka shadow small sa bhi small ha. Is pattern ke ya small candel is pattern ka end day par bante ha. Or ya huma tab dakhna ko milte ha jab market uptrend par ho. Ya shooting star pattern huma tab dakhna ko milta ha jab candlestick security sa open hote ha yani start point sa. Or ya pattern waha ja kar close hota ha jaha sa ya pattern start hoa tha.forexample jb market kese volitaty kysorat mein taze up ya down hote or phere market utne he taze sey retrace kar jate hy








    HOW TO WORK SHOOTING STAR PATTERN

    Shooting Star candle bullish ya bearish dono formate main ho sakta hai. Ye candle kisi bhi color main ho skty hn black or red main ho kaam is ka bearish trend reversal ka hotta hai. Candle ki real body small aur upper side par aik long wick zarorr hona chaheye. Sgooting star candlestick pattern top trend par bearish trend reversal ka kaam to karta hai, lkn important nahi hai, ky ye candle bearish hi ho. Candle ky leye top position zada important hai. Candle ki formate oper zekar kar dia hy





    TRADING WITH SHOOTING STAR PATTERN


    Shooting star candlestick aik trend reversal candle hai, aur ye ziada tar bullish trend k bad banti hai, is waja se ye candle aik bearish trend k tawar pe dekhi jati hai Shooting star candlestick aggar long timeframe pa ho to bearish trend reversal ziadda mazzbot hogga. Pattern k upper sidebpar long wick prices ka resistance level show kartti hai, jiss se prices ka downward fall ziadda mustahkem hotta hai. Shooting star candle shape main inverted hammer candle jaisa hi hai, lekin prices k top par honne ki waja se difference bann jatta hai. Shooting star candlestick pattern par entry karne se pehle prices ka top area honna zarrori hai, dossra pattern k baad confirmation candle ya koi relaible indicator se help bhi zarror lenni chaheye. Aggar shooting star candle k baad aik long real body wali bearish candle bannti hai to ye aik strong trend reversal aur market main sell ki entry ki position ho ge Or stoploss or takeprofit apne marze sey use karna chahey
















    Shooting Star Candlestick bullish trend k bad banti hai, lekin ye zarori nahi hai k shooting star se pehel wali candle white hi ho, lekin ye candle ziada qeematon wale area me banni chaheye
    Candle ki real body se shadow ya wick size me double hona chahey
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Important pattern shooting star in fore x trading

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Shooting Star Candle


    Shooting star candle uss waqat banti hai, jab bullish trend k dowran security open hone ke baad numaya tor par upper chali jati hai, lekin din k ahtetam par prices bearish close ho jate hen, iss prosses mein anay wali candlestick aik lambi ooper saye (upper shadow) ke sath murabba ulta lollypop ki tarah dikhaye deti hai. Mandarjabala candlestick agar bullish trend ya high price area main banta hai, to iss ko shooting star candlestick kehte hen, jo k bearish candle ki hososeyat rakhti hai aur bearish trend reversal ka sabab bhi banti hai. Shooting star candle ka taluq ulta umbrella family se hai, jiss main candle ki lower par small real body hoti hai, jab k upper side par aik long shadow hota hai. Candle k real body k lower side par shadow nahi hona chaheye, lekin aik small wick acceptable hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1342).png
Views:	69
Size:	3.9 کلوبائٹ
ID:	12375102

    Candle ki Formation


    Shooting star candle aik single candle pattern hai, jiss ka pattern bullish ya high prices area main ziada moasar hota hai. Ye candle baqi umbrella aur inverse umbrealla candles ki tarah trend reversal ka sabab banti hai. Prices main candle ki formation darjazzel tarah se hoti hai:

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220306_143125.png
Views:	1
Size:	6.6 کلوبائٹ
ID:	12375103

    Shooting Star Candle: Shooting star candlestick bullish trend main bulterteeb buying aur selling pressure ki waja se banti hai, jiss main candle ki ziada tar hososeyat bearish trend ki hoti hai. Ye candle small real body main hoti hai, jiss ka upper side par aik long shadow hota hai. Candle ki real body bullish aur bearish dono ho sakti hai, lekin ye candle bearish candle hi shumar hoti hai.

    Explaination

    Shooting star candle aik bearish trend reversal ka single candle patteren hai, jo iss baat ki nishandahi karti hai, k stock apni top level tak pahonch gaya hai, aur prices trend tabdeel karne ki position mein hai. Shooting star candle khaas tor par, yeh ishara karta hai, ke sellers market mein ziada active ho chuke hen. Candle k ibdeda main buyers prices ko bullish trend par continue karne ki koshash karte hen. Lekin baad main market main sellers ki pressure ya tadad main izafa hone ki waja se prices din k akhtetam tak wapis nechay chali jati hai. Prices k aghaz main buying aur baad main selling pressure ki waja se candle k upper side par aik long shadow banta hai, jo k arzi tawar par prices ka consolidation time hota hai, jiss ka baad ye candle prices k bearish trend reversal ka zarya banta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (515).jpeg
Views:	8
Size:	14.6 کلوبائٹ
ID:	12375104

    Trading

    Prices chart k top area main ulta lollypop shakal ki banne wali aik single pattern candle jiss k lower side par aik small body hoti hai, aik Shooting star candle hoti hai, jo prices ko mazeed bullish jane se rok kar trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle market main buyers ka ikhtetam aur sellers ka prices ko upward push karne ka ishara hota hai. Candle par trading se pehle trend confirmation k leye aik to prices ka top hona chaheye, jab k dosra aik bearish real body wali candle bhi honi chaheye. Lekin Shooting star candle k baad bullish candle k banne se ye candle invalid ho jayegi. Ye single candle pattern hone ki waja se trend ki confirmation CCI indicator aur Stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jo k overbought zone main hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se upper side ya candle k shadow k top se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220306_143145.png
Views:	2
Size:	19.5 کلوبائٹ
ID:	12375101

    اب آن لائن

    Working...
    X