Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Breakaway Candlestick Pattern
Japanese candlesticks patterns main candles ki tadad jitni ziada hoti hai aur jitna ziada timeframe hota hai, utna hi ye aik reliable aur achah leading indicators sabit hote hen. Breakaway candlestick pattern main bhi ziada candles hone ki waja se aik behtar result dene wala pattern hai. Bearish breakaway candlestick pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss main shamil pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss k baad teen small candles bullish aur bearish candles bante hen, jo k pehli candle se upper gap main tarteeb k hisab se bante hen. Pattern ki akhari candle aik bearish candle hoti hai, jo k fourth bullish candle k baad open ho kar pehli aur dosri candle k gap main close hoti hai.
Candles Formation
Bearish breakaway candlestick pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli chaar candles ziada tar bullish hoti hai, jab k pattern ki akhari candle aik strong bearish candle banti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai pattern main shamil candles ki formation darjazel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish breakaway candlestick pattern ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, ye candle prices k sabeqa bullish trend ki mazboti dekhati hai. Ye candle color main white ya green hoti hai, jo k shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.
2. Second Candle: Bearish breakaway candlestick pattern ki dosri candle bhi same ziada tar bullish hoti hai lekin zarrori nahi hai q k ye kabhi kabhi bearish bhi hoti hai. Ye candle pehli candle se upper side par gap main banti hai, jo k aik small real body wali candle hoti hai. Ye candle pehli candle se above aik wazih gap main banti hai.
3. Third Candle: Bearish breakaway candlestick pattern ki teesri candle bhi dosri candle ki tarah aik small real body main banti hai, jo k bullish ya bearish dono tarah se ho sakti hai. Ye candle bhi shadow ya bagher shadow ki ho sakti hai, jo k dosri candle k baad banti hai.
4. Fourth Candle: Bearish breakaway candlestick pattern ki fourth candle bhi ziada tar bullish candle hoti hai, lekin zarori nahi hai q k ye baaz dafa bearish bhi ho sakti hai. Ye candle bhi small real main body main ho sakti hai, jo k teesri candle k baad banti hai.
5. Fifth Candle: Bearish breakaway candlestick pattern ki fifth ya akhari candle aik bearish candle hoti hai, jo k aik long real body main banti hai. Ye candle chothi bullish candle k baad open ho kar dosri candle k bottom par close hoti hai. Ye candle color main black ya red hoti hai, lekin iss candle ka close point pehli aur dosri candle k darmeyan banne wale gap ko cover nahi karna chaheye.
Explaination
Bearish breakaway candlestick pattern prices k top main banta hai, jo k Ladder Top aur Concealing Baby Swallow Pattern se melta julta hai, lekin candles ki formation main thora sa difference hai. Iss pattern main panch candles hote hen, jiss main pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai. Pattern ki baad main banne wali teen candles small real body main hoti hai, jo k bearish aur bullish dono tarah se hpti hai. Ye candles pehli candle se above gap main banti hai, lekin small real body ki waja se prices k bullish jane main rukawat dalti hai. Pattern ki akhari candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k small candles k baad open ho kar pehli aur dosri candle k darmeyan banne wale gap main close hoti hai.
Trading
Bearish breakaway candlestick pattern prices k top main banta hai, jo k Ladder Top aur Concealing Baby Swallow Pattern se melta julta hai, lekin candles ki formation main thora sa difference hai. Iss pattern main panch candles hote hen, jiss main pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai. Pattern ki baad main banne wali teen candles small real body main hoti hai, jo k bearish aur bullish dono tarah se hpti hai. Ye candles pehli candle se above gap main banti hai, lekin small real body ki waja se prices k bullish jane main rukawat dalti hai. Pattern ki akhari candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k small candles k baad open ho kar pehli aur dosri candle k darmeyan banne wale gap main close hoti hai.
Trading
Bearish breakaway candlestick pattern k aghaz main buyers market main bohut ziada strong hote hen, q k pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai. Pattern ki agli teen candles small hone ki waja se prices ko mazeed bullish jane main dushwaree ka samna karna parta hai. Jab k last candle trend reversal ka sabab banti hai. Pattern k akhari candle k baad aik trend confirmation wali bearish candle ki zarorat hoti hai, jo k real body main honi chaheye. Trend confirmation CCI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss ka value overbought zone main indication hona chaheye. Jab k confirmation candle ka ka trend k mutabiq na banne par ye pattern zaya ho jayega. Pattern ka Stop Loss sab upper point par se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим