Assalamu Alaikum Dosto!
Matching High Candlestick Pattern
Japanese candlestick pattern baar chart aur line charts pattern ki nisbat ziada aur accurate information deti hai. Ye candles price chart par mukhtalif pattern k bante hen, jiss se analyst apne analysis k mutabiq results hasil karte hen. Kuch pattern same color k candles k hone k bawajood bhi trend reversal ka result dete hen, jaisa k Matching High aur Matching Low candlestick patterns. Matching High candlestick pattern two days candles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai, jiss main shamil dono candles same formate ya bullish trend k hote hen. Ye pattern pattern prices k top ya bullish trend main same bearish candles se mel kar banta hai, downtrend ki indications deta hai.
Candles Formation
Prices charts main shamil trend reversal pattern ka zarori nahi hai, k ye lazmi mukhtalif color k candles par mushtamil hoga, ya last candle ka lazmi trend reversal formate ka hona chaheye, bulkeh ye pattern same color k bhi ho sakte hen, jiss tarah k matching high pattern main do bullish candles hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Matching high candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, ye candle doji, small body, shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai, jo k prices k uptrend ya low prices ka ishara deti hai.
2. Second Candle: Matching high candlestick pattern ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah bullish hoti hai, jo k kisi bhi formate main ho sakti hai. Dosri candle ka high price same pehli candle k high price se match hona lazmi hai, jo k candle ka shadow bhi ho sakta hai. Ye candle bhi white ya green color main hoti hai.
Explaination
Matching high candlestick pattern ki two days k same bullish wala aik bearish trend reversal pattern hai, jis main candles ka high same point ya price par hota hai. Pattern main shamil candles ki real body kisi khas pattern ya shap main hona zarori nahi hai, ye candle doji candle, small real body, long shadow ya bagher shadow ki bhi ho sakti hai. Ye pattern same high point par banne wale tweezers top candlestick pattern ki tarah dekhta hai, jo same bearish trend reversal pattern hai lekin uss main shamil dosri candle bearish hoti hai. Matching high pattern main candles prices ka double high pattern banati hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.
Trading

Price chart par jab prices baar baar same price se baar baar reject ho jati hai, ye position support ya resistance level ban jata hai. Matching high pattern main bhi bullish candles same point ko double time touch karti hai, jo k prices k leye aik strong resistance level ban jata hai. Pattern par trading se pehle pattern ka long timeframes main hona zarori hai. Jab k trend confirmation black candle ka real body main bhi banna chaheye. Pattern k confirmation k leye CCI indicator aur Stochastic oscillator ka istemal karna chaheye, jiss par value overbought zonr main hona chaheye, jo k high prices ka indicayion hoga. Stop Loss pattern k sab se upper side ya dono candles k resistance level se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим