How To Use Technical Analysis..

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How To Use Technical Analysis..
    How To Use Technical Analysis..
    Assalamu Alaikum member, umeed hai k ap sb thek hn gygyen or forex market ko achy sy enjoy kr rhay hn gywn aj main ap k sath apna knowledge and experience share krny ja rhe hn forex trading krny k liye phely study krna bht zaruri hota hai tak humy km krny main asani ho or hum ziyada acha profit increase kr skty hain or ek achy trader bhi tb he kamyab hota hai jb wo trading krny main successful ho..
    Brief Overview:
    Technical analysis market price ko study krny ko kehty hain jo price history py mushtamil hoty hain ye analysis ais liye kiye jety hain k price pattern k shanakhtt k jye or mustaqill main market k harrkat k peshgoil k jye or ais k liye technical study krna indicator ko dkhna or un k istemal krna or 2osry analysis tools k istemal kiya jeta hai..
    Technical analysis k 2 maqasid hoty hain..
    1:Trend ko identify krna..
    2:Price charts use kr k support/Resistance ko identify krna..
    Market sirf teen cheezin show krti hai move up krna move down krna ya sideways movement krti hai..
    Market kbhi bhi direct oper nechy ek damm sy ni ni jeti balky ek wave bna kr zig zag tareeqy sy jati hai jis k nateejy main 2 cheezin jo ho skti hain..
    Trend:
    Jb market up jati hai ya down jati hai ek he simat main..
    Rang:
    Jb market sideways move krti hai..
    Click image for larger version

Name:	images (23).jpeg
Views:	32
Size:	37.3 کلوبائٹ
ID:	12511148


    How To Use Technical Analysis:
    Jesy k ap ko malloom hai k market k direction kis sy ko bhi confirm maloom ni hoti hai k kis simat main jye gya ya agly market k move kiya hogya lekn ek bt confirm hai k price k movement random ni hoti market main kuch patterns bnty hain or market un ko follow krti hai jb ap ko pta hota hai k koi bhi predictions100%ni hoti or market ap ki against ja skti hain to ais k best tareeka ye hota hai k ap ktna loss krty ho or ktna usy k mukably main gain krty ho ais main apny dkhna hota hai k ap ki entry py apko loss or profit ktna ho skta hai kahn pr loss ko stop krna hai or kahn pr profit ko lock krna hai so apni risk reward ratio ko lazmi dehyan main rkhen ais bt ko ek br phr zehan nasheen kr lyen k ap hr br market k correct predictions ni kr skty us k liye ap ko ek behhtar strategy py km krna ho gya jo ap k account ko safe rkhy..

  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: How To Use Technical Analysis..

    Technical Analysis


    Financial market me kaam karne k leye hamesha traders markets ki supply aur demand ko made nazar rakh kaam karte hen. Jab bhi kisi stock ya assets ki demand barh jati hai, to us se prices me izafa hota hai, aur us k bar akas jab supply ziada hoti hai, to us waqat price kam ho jati hia.
    Prices ka kam hona aur ziada hote rehna ye waqat k sath sath jari rehta hai, lekin jab baat ati hen, assets par trading ka, jiss se munafa kamana ho to uss sorat me bagher kisi khas techniques k trading ka amal karna bohut riski hai, q k iss amal k diwran hum virtual assets hi khareed rahe hote hen, actual item ya assets hone par agar prices ger bhi jayen to bhi assets hamare pass hone chaheye, lekin virtual me hargez aisa nahi hota hai, iss me sarmaye se mukamal hath dhoya ja sakta hai.
    Assets ki prediction aur mustaqil bhi uss ki qeematon me uthar ya charao k semat ko malom karnek leye analysis ki jati hai, ye analysis teen aqsaam par mushtamil hoti hai, jiss me aik fundamental analysis hai, jiss me economy me kami wa beshi se assets asar andaz hote hen, jab k dosre ko technical analysis kaha jata hai, jiss main asasajat ko technical base par historical data ki madad se study kia jata hai, jab k last par aik sentimental analysis ki jati hai, jo trader k mind set up k mutabiq hoti hai.
    Technical analysis sab se mushkil aur ziada knowledge par munhasir hoti hai, jiss me trader technical toolsbka istemal karte howe prices ki mustaqbil ki prediction karta hai. Technical Analysis main istemal hone wale tools me do aqsam ziada aham hen, jiss se ye analysis sar anjam de jati hai, aik hai technical indicators aur dosra hai, prices chart patterns ya candlestick patterns.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220303_215223.png
Views:	1
Size:	142.0 کلوبائٹ
ID:	12374855

    Technical Indicators

    Technical indicators trading k dowran traders ki prices ki historical data ki calculation ku madad se kulyaat ka istemal karte howe mukhtalif qisam k results muhaya karta hai, jiss se traders kisi currency jore ya assets ki agli mumkina harkat ka nateeja ahaz karta hai. Technical analysis short term ki trading hoti hai, jo k ziada se ziada aik week aur uss se kam waqat par muhasir hoti hai, ye indicators bhi mukhtalif timeframes ka istemal karte howe data ki analysis karke apne formulas k mutabiq results deta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1289).png
Views:	5
Size:	12.9 کلوبائٹ
ID:	12374857

    Price Chart Pattern


    Technical analysis main price charts pattern ka istemal bhi bohut had tak kia jata hai, jiss main wo charts ziada successful rehte hen, jin ka timeframes ziada waqfay par muheet hota hai. Prices charts pattern ko do hiso, candlestick pattern aur charts pattern main taqseem kia gaya hai. Candlestick patterns aik ya aik se ziada candles par mushtamil hota hai, jiss main ziada se ziada candles ki tadad 10 tak ho sakti hai, jab k charts pattern main ye tadad bohut ziada hoti hai, jo k 10 se ziada aur 50 ya 100 tak bhi ho sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (384).jpeg
Views:	7
Size:	40.8 کلوبائٹ
ID:	12374856

    اب آن لائن

    Working...
    X