Currency Correlation
Mukhtalif currency joro ka apas me taluq (correlation) hota hai. Currency jore ki aik taraf k qeemat currency jore k dosre taraf ki qeemat par asar-andaz hoti hai. Correlation se murad hai, k do (two) mukhtalif jore waqat k sath sath kis tarah aik jaise (similar) ya mukhtalif (des-similar) chalte hen.
Correlation ko aam tawar par 1.00 aur 0.00 k darmeyan napa (measure kia) jata hai. 1.00 hone ka matlab hai k dono (two) currency jore apas me correlated hen. Jis ka matlab hai k jab aik currency jora uper jayega to dosra bhi uper jayega. Is k bar-aks 0.00 par dono currency joron ki movement aik dosre se mukhtalif hoti hai, jis ko non-correlation bhi kaha jata hai. Non-correlation me agar aik currency jora uper jata hai to dosra nechay ki taraf movement karta hai.
Kuch currency jore qudrati (naturally) correlated hote hen, aur isbki pehchan bohut asani se ho jati hen, jaisa k; EUR/CHF aur GBP/CHF etc. Correlation joro ki movement bohut smoth tareeqay se hoti hai,lekin waqat k sath sath us me dramaye tabdeeli ronuma hoti rehti hai.
Correlation ki madad se market ki analysis karna aur trading decision leya ja sakta hai. Q k agar aik currency jore ki analysis dosre currency jore k analysis se mutabiqat (similarity) rakhti hai. Misal k tawar par agar hum EUR/CHF ki analysis ko GBP/CHF pe aplly karen to is se hamara bohut sara waqat bach jata hai.
Positive Currency Correlation
Jab do (two) currency joron (pairs) k darmeyan correlation 1.00 ho, to is ka matlab hai k ye positive Correlation hai. Positive correlation me dono currency jore bayak waqat (same time) me uper (up) ya nechay (down) jayengay, jesay; EUR/USD aur GBP/USD.
Negative Currency Correlation
Agar do mukhtalif currency joron ka apas me value 0.00 ya us k qareeb ho, to is ka matlab hen k currency jore non-correlated hen, jab bhi aik currency pair agar upward move karega to dosra downward jayega. Non-correlated currency pairs me EUR/USD aur USD/JPY shamil hai.
Commodity-Currency aur Commodity-Commodity Correlation
Forex trading market me na sirf currency jore apas me correlated ya non-correlated nahi hote, bulke cuch commodities bhi currency pair k sath correlation ya non-correlation ka taluq rakhte hen. Misal k tawar par jab gold upward jata hai to USD donward move karta hai, isi tarah jab Gold upward jata hai to AUD bhi upward jata hai. Crude oil ka direct inhisar CAD pe hota hai, crude oil k upward ya downward movement se CAD ki movement bhi upward ya downward hoti hai.
Commodities ka bhi apas me correlation hota hai, jis tarah se currencies ka correlation hota hai. Misal k tawar par agar gold ki qeematen upward jati hai, to us k sath sath Copper, Silver aur dosre metals ki bhi price bullish move kar jati hai. Is k elawa Oil ki price bullish ya bearish jane se gas aur dosre energy products k bhi prices up ya down jate hen.
Cryptocurrency ki bhi correlation hoti hai, jab bhi Bitcoin upward jata hai, to us k sath sath dosre Crypto currencies bhi bullish jati hen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим