Forex Trading me Bullish Breakaway candlestick pattern par trading ka tareeqay kar

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading me Bullish Breakaway candlestick pattern par trading ka tareeqay kar
    Bullish Breakaway Three New Price Botttom Pattern


    Introduction:

    Bullish breakaway three new price botttom pattern panch (5) candles par mushtamil aik bullish reversal pattern hai, jis me shamil pehle chaar (4) candles black ya bearish hote hen, jab k last pe banni wali candle aik white ya bullish candle hoti hai, jo k current market k trend ko reverse karwa dete hai. Pattern ki khas baat ye hai k is me 2nd number pe banne wali black candle 1st candle se thore se gap se open hoti hai aur aik small real body se low position pe close hoti hai. Is pattern me banne wali pehle charon black candles aik dosre k sath lower-low (pehli candle k close position k baad agli candle open hoti hai) banati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1259).png
Views:	10
Size:	4.3 کلوبائٹ
ID:	12510971

    Pattern k Pehchan ka Qayeda:
    1. Bullish breakaway pattern chonkeh aik bullish trend reversal pattern hai, is waja se qeematon ka pehle se trend bearish ya downward hona chaheye.
    2. Pattern panch (5) candles par mushtamil hai, jis me 1st candle aik bari black candle hoti hai, jo k bearish trend ki mazboti ki alamat hoti hai.
    3. Pattern me 2nd banni wali black candle 1st candle se hora sa gap me open hoti hai, lekin real body me thori si choti hoti hai.
    4. Pattern me banni wali 3rd aur 4rth black candles bhi small candle hoti hai, jo k aik dosre k lower-low pe banti hai.
    5. Pattern me 1st candle lazmi black honi chaheye, jab k 2nd, 3rd aur 4rth candle k leye zarori nahi k lazmi black ho, magar black hona pattern k leye ziada maozon hen.
    6. Pattern me banne wali 5th candle aik bari real body wali white candle honi chaheye, jo k open to 4rth candle k baad hoti hai, lekin close teeno black (2nd,3rd aur 4rth) k highest price pe hoti hai.
    7. Pattern ki last white candle ko 2nd black candle k gap se above close nahi hona chaheye.


    Click image for larger version

Name:	images (376).jpeg
Views:	7
Size:	6.0 کلوبائٹ
ID:	12510972

    Pattern ki Tafseel:

    Bullish breakaway pattern low prices area ya bearish trend pe banta hai aur qeematon k maojoda rujhan ya trend ko badal deta hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jis me 1st candle aik bari black candle hoti hai, jo k current market ki mazboti ki akasi karti hai. Pattern me 2nd number pe banne wali black candle 1st candle se thore se gap me lower side pe open hoti aur aik chote se real body k sath close ho jati hai. Pattern me 3rd aur 4rth candle bhi small real body k sath banti hai. 2nd, 3rd aur 4rth candle aik dosre k lower-low (apne se pehle candle k close price k baad open hoti hai) banate hen. 5th number pe banne wali candle lazmi white honi chaheye aur yahi candle trend k reversal k leye zarori hai. 5th candle apne se pehle banne wali teeno black candles se real body me bari hoti hai, lekin is ka close point 1st aur 2nd candle k darmeyan banne wale gap se uper (above) nahi hona chaheye. 2nd, 3rd aur 4rth candles k leye zarori nahi k ye lazmi black hi hongi, lekin pattern k leye is ka black hona ziada maozon hen.

    Click image for larger version

Name:	images (375).jpeg
Views:	10
Size:	10.9 کلوبائٹ
ID:	12510973

    Trading ka Amal:

    Bullish breakaway pattern me 5th white candle agar aik bari real body k sath ban jati hai, to ye traders k leye buy ki signal deta hai. Pattern k leye confirmation candle ki zarorat nahi hai, agar ye pattern low price area ya bearish trend (khas kar oversold zone) meiy banta hai. Stop loss k leye pattern ka sab se lowest position hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1260).png
Views:	2
Size:	1.5 کلوبائٹ
ID:	12510970
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex Trading me Bullish Breakaway candlestick pattern par trading ka tareeqay ka

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Breakaway Candlestick Pattern


    Japanese candlesticks patterns main candles ki tadad jitni ziada hoti hai aur jitna ziada timeframe hota hai, utna hi ye aik reliable aur achah leading indicators sabit hote hen. Breakaway candlestick pattern main bhi ziada candles hone ki waja se aik behtar result dene wala pattern hai. Bullish breakaway candlestick pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss main shamil pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss k baad teen small candles bearish candles bante hen, jo k pehli candle se nechay gap main tarteeb k hisab se bante hen. Pattern ki akhari candle aik bullish candle hoti hai, jo k fourth bearish candle k baad open ho kar pehli aur dosri candle k gap main close hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1268).png
Views:	12
Size:	1.5 کلوبائٹ
ID:	12374703

    Candles Formation


    Bullish breakaway candlestick pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli chaar candles bearish hoti hai, jab k pattern ki akhari candle aik strong bullish candle banti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai pattern main shamil candles ki formation darjazel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (4) (475).jpeg
Views:	2
Size:	9.9 کلوبائٹ
ID:	12374704

    1. First Candle: Bullish breakaway candlestick pattern ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, ye candle prices k sabeqa bearish trend ki mazboti dekhati hai. Ye candle color main black ya red hoti hai, jo k shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.

    2. Second Candle: Bullish breakaway candlestick pattern ki dosri candle bhi same ziada tar bearish hoti hai lekin zarrori nahi hai q k ye kabhi kabhi bullish bhi hoti hai. Ye candle pehli candle se lower side par gap main banti hai, jo k aik small real body wali candle hoti hai. Ye candle pehli candle se below aik wazih gap main banti hai.

    3. Third Candle: Bullish breakaway candlestick pattern ki teesri candle bhi dosri candle ki tarah aik small real body main banti hai, jo k bullish ya bearish dono tarah se ho sakti hai. Ye candle bhi shadow ya bagher shadow ki ho sakti hai, jo k dosri candle k baad banti hai.

    4. Fourth Candle: Bullish breakaway candlestick pattern ki fourth candle bhi ziada tar bearish candle hoti hai, lekin zarori nahi hai q k ye baaz dafa bullish bhi ho sakti hai. Ye candle bhi small real main body main ho sakti hai, jo k teesri candle k baad banti hai.

    5. Fifth Candle: Bullish breakaway candlestick pattern ki fifth ya akhari candle aik bullish candle hoti hai, jo k aik long real body main banti hai. Ye candle chothi bearish candle k baad open ho kar dosri candle k top par close hoti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai, lekin iss candle ka close point pehli aur dosri candle k darmeyan banne wale gap ko cover nahi karna chaheye.

    Explaination

    Bullish breakaway candlestick pattern prices k bottom main banta hai, jo k Ladder Bottom aur Concealing Baby Swallow Pattern se melta julta hai, lekin candles ki formation main thora sa difference hai. Iss pattern main panch candles hote hen, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai. Pattern ki baad main banne wali teen candles small real body main hoti hai, jo k bearish aur bullish dono tarah se hpti hai. Ye candles pehli candle se nechay gap main banti hai, lekin small real body ki waja se prices k bearish jane main rukawat dalti hai. Pattern ki akhari candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k small candles k baad open ho kar pehli aur dosri candle k darmeyan banne wale gap main close hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1267).png
Views:	1
Size:	5.4 کلوبائٹ
ID:	12374705

    Trading

    Bullish breakaway candlestick pattern k aghaz main sellers market main bohut ziada strong hote hen, q k pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai. Pattern ki agli teen candles small hone ki waja se prices ko mazeed bearish jane main dushwaree ka samna karna parta hai. Jab k last candle trend reversal ka sabab banti hai. Pattern k akhari candle k baad aik trend confirmation wali bullish candle ki zarorat hoti hai, jo k real body main honi chaheye. Trend confirmation CCI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss ka value oversold zone main indication hona chaheye. Jab k confirmation candle ka ka trend k mutabiq na banne par ye pattern zaya ho jayega. Pattern ka Stop Loss sab lower point par se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (1266).png
Views:	1
Size:	12.9 کلوبائٹ
ID:	12374702

    اب آن لائن

    Working...
    X