Bid price aur ask price kia hain....?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bid price aur ask price kia hain....?
    Bid Price


    Jab forex trading market ko aik makhsos (specific) currency k khareedne k leye tayar kia jata hai, to is ko bid price kaha jata hai. Is qeemat (price) pe trader currency jore k base currency ko bhej (sell kar) sakta hai. Base quote k left side pe hoti hai. Misal k tawar par (for example), USD/CHF 1.4527/32 quote me, bid price 1.4527 hai, is ka matlab hai k app aik American dollar (USD) ko 1.4527 Swiss Francs (CHF) me ferokht kar sakte hen.

    Ask Price


    Bid price k bar-aks Ask price me forex trading market ko aik makhsos currency k ferokht karne k leye tayar kia jata hai. Ask price ko "offer price" bhi kaha jata hai. Is qeemat (price) par tajir (trader) base currency khareedta (buy karta) hai. Is qoute k dayen (right) taraf dekhaya jata hai. Misal k tawar par, USD/CHF 1.4527/32 qoute me, ask price 1.4532 hai. Jis ka matlab hai k app 1.4532 Swiss Francs (CHF) me aik American dollar (USD) khareed (buy) kar sakte hen.

    Bid-Ask Spread


    Bid price aur ask price k darmeyan faraq ko Spread kaha jata hai. Spreads ko financial market me pipsbme count kia jata hai. Agar aik currency jore USD/JPY ki bid qeemat 110.50 aur ask qeemat 110.75 hai to ye 50 aur 75 k darmeyan faraq (pips) ko spread kehte hen. Spreads dar-asal brokers ki commission hoti hai, jo wo apne clients se trading k sahulat k badle le rahe hote hen. Aam tawar par brokers apne clients ko pehle teen digits me radu-badal nahi karte. Bulke wo sirf last 2 digits ka hi hawala pesh karte hen k 50 aur 75, yani bid price 50 hai aur ask price 75. Aaj kal forex market me 5 digits ki sahulat bhi muhaya ki jati hai. Is waja se market me bid aur ask ki trade lagane se pehle is ko baghawar tajzeya zarori hai.

    Click image for larger version

Name:	images (50).png
Views:	19
Size:	8.4 کلوبائٹ
ID:	12510922

اب آن لائن

Working...
X