pin bar candlestick pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    pin bar candlestick pattern
    assalium o alekum
    dear forex
    member umed krti hun ap sb kharyt s hun gy or mahnat s apna work krrhy hn gy hmy chaye k apna knowladge increase kry jitna knowledge hoga itna hi hm kamyab ho skyy hai jesa k ap janty hai k hmy weekly bounce hasil krny k ly daily three post share krni hoti jitni achi or knowledge hoga itni hm kamyab ho skty hai chlty h aj k topic ki trf

    pin bar defination
    baar aik mom batii hai jis ka aik chhota sa jism hota hai aur bazaar ki simt ke lehaaz se oopar ya neechay ki taraf aik lamba spike ya wick hota hai .
    Click image for larger version

Name:	Pin-bar-on-the-chart.jpg
Views:	1
Size:	37.4 کلوبائٹ
ID:	12510860
    meaning of pin bar on the chart
    un logon ke liye jo candle stuck tajzia ki pairwi karte hain, yeh patteren mustaqbil ke rujhan ke ulat jane ka aik mazboot ishara hai agar pan baar ki wick oopar ki taraf ishara karti hai to qeemat ke neechay jane ki paish goi ki jati hai .





    ideal pin bar


    ▪️pan baar ki body aur pichli ikhtitami qeemat tajir aik misali makoos pan baar ko aik mom batii par ghhor karte hain

    ▪️jis mein do taqabli laazmi mayarat hotay hain pan Baraz khulay hotay hain aur close levels pichlle Baraz mein se kisi aik ke paas oopar ya neechay pan baar ke khulay aur band level ke qareeb rakhay jatay hain .

    ▪️pichli baar ke andar rakhay jatay hain jisay baen aankh kaha jata hai

    how to you trade with pin bar
    pan baar ki tijarat karte waqt taajiron ke liye dakhlay ke kuch mukhtalif option hotay hain jin mein pehla aur shayad sab se ziyada maqbool pan baar trade mein daakhil hona hai" market mein" is ka seedha matlab hai ke aap mojooda market ki qeemat par tijarat mein daakhil hotay hain, note karen ke pan baar ka patteren band hona zaroori hai .
    is ki bunyaad par market mein daakhil honay se pehlay jab tak baar ko pan baar patteren ke tor par band nahi kya jata hai yeh waqai mein pan baar nahi hai pan baar trading signal ke liye indraaj ka dosra option, pan baar ke 50 % rates par daakhil ho raha hai. dosray lafzon mein, aap poori pan baar ki oonchai se le kar nichli had tak ya is ki" 50 % satah" ke taqreeban adhay rastay tak qeemat wapas jane ka intzaar karen ge, jahan aap ne pehlay hi aik had indraaj order day rakha hoga

    Click image for larger version

Name:	pinbar2.png
Views:	8
Size:	15.9 کلوبائٹ
ID:	12510858

  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: pin bar candlestick pattern

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Pin Bar


    Asal Pin bar bazzat-e-khud ek long upper ya lower "shadow" "tail" "wick" ya "dum" aur bohut small "body" ya "real body" k sath ek bar hai, jo umomman bohut ziadda high price ya bohut low price main ban jatti hai. Pin bar ki tashkeel eik price action reversal pattern hai, jo zahir kartta hai, k market main aik khas sattah ya qeemat point ko mustarrad kar deyya gaya hai. Pin bar k banne se waqif honne k baad, ye kisi bhi qeemat ko chart k dekhne se zahir hotta hai, k ye pattern kitnna munafa-bakhash ho saktta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (469).jpeg
Views:	14
Size:	15.7 کلوبائٹ
ID:	12374661

    Candle Formation


    Pin bar candle ziadda tar news ya kisi events ki wajja se bannti hai, is waja se is pin bar candle bullish trend yanni top of the price ya bearish trend yanni lower of the price main bhi bann saktti hai. Bullish aur bearish pin bar ki taffseel darjazzel hai;

    Click image for larger version

Name:	images (4) (472).jpeg
Views:	9
Size:	17.7 کلوبائٹ
ID:	12374662

    Bullish Reversal Pin Bar candle bearish prices ya downtrend main bantti, jahan se prices bullish trend reversal main badal jatti hai. Bullish reversal pin bar main candle ki aik long tail downward side par bantti hai, jo k maojoodda qeemat k ley support ka kaam bhi kartti hai aur lower prices rejection ka kaam bhi kartti hai. Yahan se qeematten ziadda tar upward jatti hai.

    Bearish Reversal Pin Bar candle prices muntakhib karrda timeframes main upward side par aik long tail banatti hai. Ye pin bar prices ka mazzeed bullish movement ko reject kartti hai aur qeematon k leye yahan par aik resistance position bhi bantta hai. Prices yahann se bearish trend reversal main baddal jatti hai.

    Explaination

    Pin bar upper ya lower side par banne wali ek long tail candle hotti hai, aur is tail ko "wick" ya "shadow" bhi kaha jata hai, In sab ka matlab aik hi hotta hai. Ye pin bar ka aik nukdaar hisa hotta hai, jo aik tail ki tarah dekhaye detta hai, jo k false breakout ya rejection k bare main batatti hai.
    Pin bar k open aur close k darmeyan hessey ko "body" ya "real body" kaha jata hai. Jab bhi open close se ziadda hotta hai to ye black ya red color main bantta hai, jab k close ka open se ziadda hone ki sorrat memain ye white ya green color ka hotta hai. Pin bar ka open aur close aik dosre k barabbar (aik hi price hona chaheye) hona chaheye, ya aggar jittna ye aik dosre k qareeb hongay utna behttar hogga. Pin bar main open aur close agar aik sere k bohut qarreeb honne chaheye, aggar ye bulkul aik side k end pe hongay to uttna hi behttar hogga.
    Pin bar candle ki tail ya shadow dosre candle se bahar honi chaheye, jitnna ye ziadda ya long hogi utnni hi ye behtar hai, lekin kam az kam apne aas pass k candles se ziadda hona chaheye.
    Pin bar candle ka aik aam rule ye hai k is candle ki tail ya shadow candle k "two third" hona chaheye, ya kam az kam real body k muqabele main tail double honni chaheye. Shadow k opposite side pe aggar candle ki koi chotti si wick ya shadow bannti hai to uss ko "nose" kaha jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (471).jpeg
Views:	4
Size:	13.5 کلوبائٹ
ID:	12374663

    Trading

    Pin bar support aur resistance confirmation k sath forex trading k moasar strategy main se aik hai, lekin aggar trading k leye dosra koi achah technique na ho. Pin bar technical tools main price action k leye sab se ziadda istemal honne wale tools main se aik hai. Ye ziadda tar support aur resistance levels par bantte hen. Aggar pin bar ko mazzbot support aur resistance levels k sath melaya jatta hai, to ye aik behtareen aur accurate trading signal detta hai.
    Pin bar candle par market entry bhi ki ja saktti hai aur pending orders bhi set keye ja saktte hen. Bullish pin baar pe market me entry k leye pin bar k baad wali candle par buy ki entry set karen, aur Stop Loss pin bar candle k lower side par set karen. Bearish oin bar par entry k leye pin bar k baad banne walee candle par sell ki entry laggayen aur stop loss pin bar k wick k top par set karen. Aggar pin ki wick bohut ziadda long ho to us sorrat main stop loss midpoint ya mazzbot support / resistance levels pe set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (473).jpeg
Views:	25
Size:	33.8 کلوبائٹ
ID:	12374660

    اب آن لائن

    Working...
    X