Assalamu Alaikum Dosto!
Ladder Top Candlestick Pattern
Ladder top candlesticks pattern panch candles par mushtamil aik strong bearish trend reversal pattern hai, jo k high price area main payya jatta hai. Ye pattern bearish trend k baad banta hai, jiss k market main kamyabi k chance taqreeban 38% se ziadda hotte hen, iss waja se ye aik kamyab trader tasawar hotta hai. Ladder top pattern main pehle teen candles bullish hotti hai, jo k three white soldier pattern banatti hai, jo k aik strong bullish trend ki alamat hotti hai. Pattern ki chothi candle aik "Hanging Man Candle" hptti hai, jiss ki small real body aur down side par aik long wick hotti hai. Pattern k last par aik strong real body wali bearish candle hotti hai, jiss k baad bearish trend shoro ho jatta hai.
Candles Formation
Ladder top pattern main shamil candles panch hotti hai, jo k ziadda tar to bullish hotti hai, lekin darmeyan main banne wali hanging main candle ki waja se bullish trend k kamzori ki alamat hotti hai, last bearish candle trend reversal ka sabbab bantti hai. Ladder top candlestick pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hotti hai;
1. First Candle: Ladder top candlestick pattern main pehli candle aik strong bulllish candle hotti hai, jo k bullish trend ki mazboti ki nashani hotti hai.
2. Second Candle: Ladder top candlestick pattern main dosree candle bhi same pehle cansle ki tarah bullish hotti hai, ye candle pehli candle k closing point k baad open hoti hai, aur upper ya high par real body bana kar close hotti hai.
3. Third Candle: Ladder top candlestick pattern ki teesri candle bhi pehle do candles ki tarah bullish formate ki hoti hai, jiss jo real body main banti hai. Ye candle dosri candle k closing price par open ho kar high par ja k close hoti hai.
4. Fourth Candle: Ladder top candlestick pattern ki chothi candle aik hanging main candle hotti hai, jo k shape main hammer candle jaise hoti hai, lekin prices k top par banne ki waja se ye candle hanging man candle ban jati hai. Ye candle small real body main lower side par aik long wick k sath hoti hai.
5. Fifth Candle: Ladder top candlestick pattern ki panchwen aur akhari candle aik strong bearish candle bantti hai, ye candle hanging main candle se lower side par banti hai jo k trend reversal main bohut kirdar ada karti hai.
Explaination
Ladder top candlesticks patterns high prices area ya bullish trend main bantta hai, jo k bearish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hotta hai, jiss main pehle teen candles white ya green yanni bullish candles hotti hai, jo k aik dosre k higher high bana kar open aur close hotti hai. Ye pehle teen candles "Three White Soldier Pattern" ki hi tarah ki hotti hai, lekin baad main banne wali chothi ya candle bullish trend ki kamzori ka sabbab banti hai. Ye candle aik hanging man candle hotti hai, jiss ka color black ya white koi bhi ho sakta hai,jiss ki small real body aur lower side par aik long wick hotti hai. Pattern ki akhari candle aik bearish strong real body wali candle hoti hai, jo k bearish trend reversal ka kaam karti hai.
Trading
Ladder top pattern bearish trend reversal ka aik kamyab pattern hai, jiss ki kamyabi k chances 38% se ziadda hotti hai. Ye pattern jitna ziadda high prices ya bullish trend main banta hai, utna hi ye ziada kamayab rehta hai.
Ladder top pattern par trading k leye zarorri hai, k jab tak aap ko trend reversal confirmation signal nahi melta tab tak aap ko trade open nahi karnna chaheye. Aggar pattern ki confirmation kisi reliable indicator ya agar price action se bhi hotta hai, tab bhi pattern sell entry k leye thek hai.
Pattern k last bearish candle k baad banne wali black candle k baad market main sell ki entry ki ja sakti hai, lekin aggar ye candle real body main banti hai to. Pattern k leye stop loss ka honna zarori hai. Stop Loss ko pattern k sab se top position ya high price par set karen, jo umoman hanging man candle ka top position banta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим