Bid Price
Jab forex trading market ko aik makhsos (specific) currency k khareedne k leye tayar kia jata hai, to is ko bid price kaha jata hai. Is qeemat (price) pe trader currency jore k base currency ko bhej (sell kar) sakta hai. Base quote k left side pe hoti hai. Misal k tawar par (for example), USD/CHF 1.4527/32 quote me, bid price 1.4527 hai, is ka matlab hai k app aik American dollar (USD) ko 1.4527 Swiss Francs (CHF) me sell kar sakte hen.
Ask Price
Bid price k bar-aks Ask price me forex trading market ko aik makhsos currency k ferokht karne k leye tayar kia jata hai. Ask price ko "offer price" bhi kaha jata hai. Is qeemat (price) par tajir (trader) base currency khareedta (buy karta) hai. Is qoute k dayen (right) taraf dekhaya jata hai. Misal k tawar par, USD/CHF 1.4527/32 qoute me, ask price 1.4532 hai. Jis ka matlab hai k app 1.4532 Swiss Francs (CHF) me aik American dollar (USD) khareed (buy) kar sakte hen.
Bid-Ask Spread
Bid price aur ask price k darmeyan faraq ko Spread kaha jata hai. Spreads ko financial market me pipsbme count kia jata hai. Agar aik currency jore USD/JPY ki bid qeemat 110.50 aur ask qeemat 110.76 hai to ye 50 aur 76 k darmeyan faraq (pips) ko spread kehte hen. Spreads dar-asal brokers ki commission hoti hai, jo wo apne clients se trading k sahulat k badle le rahe hote hen. Aam tawar par brokers apne clients ko pehle teen digits me radu-badal nahi karte. Bulke wo sirf last 2 digits ka hi hawala pesh karte hen k 50 aur 75, yani bid price 50 hai aur ask price 75. Aaj kal forex market me 5 digits ki sahulat bhi muhaya ki jati hai. Is waja se market me bid aur ask ki trade lagane se pehle is ko baghawar tajzeya zarori hai.