Bearish engulfing pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish engulfing pattern
    Assalamu Alaikum
    Dear forex member ummid krti hain sub kharyt sy hn gy or mahnat say apna work krrhy hn gy hmy kamyabi Hasil krny k ly mahnt sy kam krna hota h or hmy chye apna knowledge ko increase kry jitna zeda knowledge ho ga itna hi hm kamyab ho skty hai
    dear member jaisa ki aap jante Hain k candlestick patteren takneeki tijarat mein ahem tools hain un ko samjhna taajiron ko market ke mumkina rujhanaat ki tashreeh karne aur un qiyasaat se faislay karne ki ijazat deta hai candlestick patteren ki mukhtalif kismain hain In mein sy bearish engulfing candlestick pattern ko discuss krty hen

    Definition






    Bearish Engulfing Candlestick Pattern prices k top par banne wala aik strong two days candlestick pattern hai, jo k prices ko Bearish trend reversal main badal detta hai. Bearish engulfing pattern main shmail pehlee candle aik real body wali bullish candle hotti hai, jo k prices k top trend ki mazzbotti ki alammat hotti hai, lekin dosre din ki candle aik long real body wali bearish candle hotti hai, jo open to pehlee candle se top par hotti hai, lekin close uss se below hotti hai. Pehlee bullish candle dosree Bearish candle k real body k lapait main a jatti
    hai, jis ko "Engulfing" kaha jatta hai.Candel formation
    Dosre aam two days candle stick pattern ki tarrah Bearish engulfing candlestick pattern bhi two days candles par mushtamil hotta hai, jiss main pehlee candle bullish jab k dosree candle bearish pattern ki hotti hai, bearish engulfing candlestick pattern main candles ki formation darjazzel tarrah se hotti hai;



    1 first candle





    : Bearish Engulfing Candlestick Pattern ki pehlee candle aik real body main bullish candle hotti hai, jo k market k mutabbiq white ya green color main bantti hai.

    2. Second Candle: Bearish Engulfing Candlestick Pattern ki dosree candle aik strong real body main bantti hai, jo k pehlee candle se size main ziadda hotti hai. Ye candle color main black ya red hotti hai, jo k pehlee candle ko apnne lapait main le letti hai.
    Explains

    Chart ki misaal teen bearish engulfing pattern ko dikhati hai jo forex market mein paish aaye pehla bearish engulfing pattern barray neechay ke rujhan mein oopar ki taraf pull back ke douran hota hai pattern ke baad qeemat kam hoti hai Majmoi tasweer ko dekhte hue aglay do engulfing pattern kam ahem hain ghair mulki currency ke jore ki qeemat ki had tang hona shuru ho rahi hai, jo ke katay hue trading ki nishandahi karti hai, aur pattern ban'nay se pehlay qeemat mein bohat kam izafah hota hai. agar ulatnay ke liye bohat kam hai to ulat pattern ka bohat kam istemaal hota hai hudood aur katay hue baazaaron ke andar ghairay hue pattern aksar hotay rahen ge lekin aam tor par achay tijarti signal nahi hotay hain



    TRADING this pattern




    Bearish Engulfing pattern sell signal ki alamat hoti hai. Kuch trader bearish engulfing pattern banne k bad confirmation signal ka intezar nahi karte aur market me sell ki entry kar jate hen. Jab k muhtat traders mazeed ehteyat se kaam lete howe 3rd candle ka intezar karte hen, agar 3rd candle 2nd black candle k closing point se below ja k band hoti hai to ye sell signal ko confirm kar deti hai
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bearish engulfing pattern

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Engulfing Pattern Pattern


    Bearish engulfing candlestick pattern jab bhi aik bullish trend ya high prices area main two days candles bante hai, to ye aik bearish trend reversal ka kaam karta hai. Ye pattern risk reward ratio main sab se best pattern hai. Pattern ki dono candles main dosri candle pehli candle se shape main ya length main lazmi bari hoti hai, jiss main pehli candle ka open aur close price pechli candle k open aur close price se ziada hota hai. Traders iss pattern ko sellers ki pressure k tawar par dekhte hen, jiss se prices mazeed bearish ja sakti hai. Ye chart pattern bullish trend k ikhtetam aur buyers se sellers main market k cotrol k mutaqeli ka ishara deta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (692).png
Views:	57
Size:	9.7 کلوبائٹ
ID:	12416025

    Candles Formation


    Bearish engulfing candlestick pattern main shamil candles bearish aur bullish pattern ki hoti hai, jo k prices k bearish trend reversal k leye istemal hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle ko apne andar ger leti hai, jiss ko engulfing kaha jata hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (3) (694).png
Views:	8
Size:	4.5 کلوبائٹ
ID:	12416026

    1. First Candle: Bearish engulfing candlestick pattern ki pehli candle market k current trend k mutabiq aik bullish trend hoti hai, jiss ka close price open price k se ooper hota hai. Bullish candle shadow samet ya uss k bagher ho sakti hai, jo k real body main hoti hai.

    2. Second Candle: Bearish engulfing candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k muqabele main long real body main hoti hai, jo pehli candle k top par open ho kar ussi k bottom par close hoti hai. Dosri candle lazmi real body main main honi chaheye aur pehli candle ussi k real body k andar honi chaheye.

    Explaination


    Bearish engulfing pattern aik strong bearish trend reversal pattern hai jo k bullish trend main banta hai, jo semat ki tabdeeli ki nishan-dahi karta hai. Ye pattern do candles par mushtamil hai, jiss main dosri candle pehli candle k top par open ho kar ussi k bottom par below close hoti hai. Ye pattern wese bagher confirmation bhi aik strong bearish signal deta hai, k ab bearish trend reversal hone wala hai. Pattern ki dosri candle pehle candle se size main bari hoti hai, jiss se pattern ki mazboti ka pata chal jata hai, k market sellers k control main hai. Ye pattern wese resistance zone k qareeb ziada banta hai, jiss se prices support levels ki taraf harkat karna shoro karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (693).png
Views:	24
Size:	3.1 کلوبائٹ
ID:	12416027

    Trading


    Bearish engulfing candlestick pattern price chart k top par banne se aik strong message melta hai, k ab market mazeed ooper jane muatahamel nahi ho sakta hai. Iss waja se ye pattern jab bhi bullish trend ya high price main banta hai, to ye bearish trend reversal ka aik strong signal deta hai. Yahan par market main sellers active hone ki koshash kartte hen. Trading k leye beariah trend ki continuation aur bearish trend reversal dono main prices bohut teezi k sath bearish jati hai. Pattern main trade open karne se pehle trend confirmation ka indicator se zarror karen, q k aksar ziada peak value par market main entry bare loss ka bhi sabbab bantti hai. Pattern ki trend confirmation price action yanni aik aur bearish candle se bhi ho saktti hai. Stop Loss ko dosri candle k higher point ye candle k open price se k high price se two pips above par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (695).png
Views:	18
Size:	4.8 کلوبائٹ
ID:	12416024

    اب آن لائن

    Working...
    X