Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Engulfing Pattern
Price chart par jab prices sellers k bohut ziada pressure ki waja se bearish jati hai, to wahan par aksar iss ko reversal honne k imkanat hote hen, jiss main aksar kuch aise pattern hote hen, jo prices ko teezi k sath bullish push karti hen jaise, bullish engulfing pattern karta hai. Bullish engulfing candlestick pattern prices k bottom par ya bearish trend main banta hai, jo k do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik small real body wali bearish candle hoti hai, jiss k baad aik long bullish candle hoti hai, jo k pehli candle k apne andar cover karti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k bottom gap main open ho kar ussi k top close hoti hai. Pattern ki dosri candle prices ko aik to mazeed bearish jane se rokti haia ur dosra ye candle aik bullish hone ki waja se trend reversal ka kaam karti hai.
Candles Formation
Bullish engulfing candlestick pattern prices k bottom par do mukhtalif candles ka aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle bearish aur dosri bullish hoti hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish engulfing candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo prices k bottom par ya bearish trend ki continuation ka kaam karti hai, q k ye aik real body wali candle hoti hai. Ye candle aik black ya red color ki candle hoti hai.
2. Second Candle: Bullish engulfing Candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle aik long candle hoti hai, jo k open pehli candle k bottom par gap main hoti hai, jab k close pehli candle se above hoti hai. Bullish candle white ya green color main hoti hai, jo k prices ko mazeed bearish jane se rokti hai.
Explaination
Bullish Engulfing Candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jo k do candles par mushtamil hota hai. Ye pattern prices k bottom par ya bearish trend main banne ki waja se prices ko mazeed lower jane se rokti hai. Ye pattern same to same dekhne main ulta "Bullish Harami Candlestick Pattern" ki tarah hota hai, lekin dosri candle ki real body long candle banti hai. Bullish engulfing pattern ki dosri candle aik bari real body wali hoti hai jo k pehli candle ki real body se bottom par gap main open ho kar top gap main close hoti hai. Bullish engulfing pattern ki dosri candle strong banne ki waja se prices reverse hoti hai, aur bullish trend reversal ka sabab banti hai.
Trading

Bullish engulfing candlestick pattern trend reversal ka pattern hai, jiss se market main sell ki entry karte hen. Pattern k bottom par buyers ziada active ho jate hen. Trend reversal pattern par trading trend continuation patterns ki nisbat ziada riski hoti hai, iss waja se pattern par trading se pehle market main aik bullish ya white candle ka hona zarori hai. Jiss ki real body honi chaheye, jiss main open aur close same point par na ho. Agar pattern k baad bearish candle banti hai, to ye pattern invalid ho jayega, jiss par entry nahi karni chaheye. Stop Loss pattern k sab se bottom position ya dosri candle k open point se two pips below select karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим