Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Gap Down Pattern
Bearish gap down ya simple "Gap Down" candlestick pattern two days candles par mushtamil aik bearish trend continuation pattern, jo k bearish trend ya bullish market aur sideways market k bearish side par breakout honne k baad banta hai. Pattern ki dono candles same colour main hoti hai, jiss main pehli candle strong real body main black, red ya bearish candle hotti hai, jab k baad main banne wali candle bhi same black, red ya aik bearish candle hotti hai, jo k pehli candle se gap main downward side par open hotti hai, aur lower low banate howe low price par close ho jatti hai. Aksar awqaat dono candles k darmeyan main banne wala gap weekend ya market k closing k time par switching k waqat banta hai. Jin brokers k morning opening timing late hotte hen, un k chart pattern main ye gaps ziada bante hen.
Candles Formation
Bearish gap down candlestick pattern main shamil dono candles same bearish hotti hen, yanni candles ka colour red ya black hota hai, jo k same bearish pattern main banta hai, aur bearish trend continuation pattern ka kaam karta hai. Bearish gap down pattern main shamil dono candles ki tafseel darjazzel hai;
1. First Candle: Bearish gap down pattern main pehli candle aik strong real body wali bearish candle hotti hai, jiss ka colour aam tawar par black ya red hota hai. Ye candle pechle trend yanni bearish trend k market main maojoodgi ki alamat hotti hai.
2. Second Candle: Bearish gap down pattern ki dosri candle bhi same pehli ki tarah se bearish candle ya color main black ya red hotti hai. Ye candle pehli candle se gap main below open aur low pe ja k close hoti hai.
Explaination
Bearish gap down pattern do candles par mushtamil hota hai, aur pattern ki dono candles strong bearish candles hoti hai. Ye pattern bearish trend ya newly prices ka bearish side par breakout k baad banta hai. Pattern ki pehli candle aik real body wali bearish hotti hai, jiss k baad banne wali bearish candle gap main below open ho kar low par close hoti hai. Pattern k dono candles k darmeyan aik wazih gap hotta hai, jiss main kisi bhi candle ki wick ya shadow nahi banta. Pattern main candles k darmeyan gap market main bearish pressure ki waja se hotta hai, jo aam tawar par kisi news ya events k release honne par banta hai.
Trading
Bearish gap down pattern aggar newly bearish trend main banta hai, to ye market main aik strong bearish continuation ka signal deta hai. Aksar awqat market k weekend ya daily open close k waqat candles k darmeyan ye gap banta hai, jo k kisi events ya news k release honne k baad hotta hai. Ye pattern aik strong bearish continuation ka signal detta hai.
Pattern par trading k leye zarorri nahi hai k confirmation candle lazmi ho, q k matket already bearish trend main hotta hai. Lekin aggar market ziada bearish trade kar rahi ho to uss sorat main confirmation candle ka intezar zaror karen. Dosra market main dosree candle k complete honne ka lazmi intezar karen aur candles ka timeframe long duration ka muntakhib karen.
Pattern k dosri candle k baad market main buy ki entry karen aur tak profit k leye support and resistance indicator, Pivot point ya fabonacci retracement levels main se kisi ka intekhab karen. Stop Loss pattern k sab se highest position, jo umoman pehli candle ka high banta hai, par set karen, aur trading k leye completely safe position istemal karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим