Bullish counterattack candle stick pattern ?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish counterattack candle stick pattern ?
    Bullish counterattack candle stick pattern
    Bullish counterattack candle stick pattern;

    Bullish couunterattack candle stick pattern ko bullish reversal pattern bhe kehtay hein j keh market kay downtrend mein es bat ko indicate karta hey keh ab anay walla trend bullish ho g yane keh up trend ho ga yeh candle stick pattern 2 bar pattern ke tarah hota hey j keh market mein kame honay ke wajah say indicate hota hey bullish counterattack kay ley darj zail sharait ka pora hona zaroore hota hey
    bullish counterattack kay ley market mein strong kame ka hona zarore hey
    1st candle stick mein hakeeke candle kay sath aik long black candle stick ka hona zaroore hey
    dosre candle stick bhe long hone chihay laken asal body kay sath aik white candle stick hone chihay dosre candle stick ko pehle candle stick kay kareeb close hona chihay
    Click image for larger version

Name:	images (13).jpeg
Views:	12
Size:	12.9 کلوبائٹ
ID:	12510507
    identification bullish counterattack candle stick pattern;

    Click image for larger version

Name:	images (22).png
Views:	2
Size:	21.1 کلوبائٹ
ID:	12510509
    jaisa keh ap opar de gai tasweer men daikh saktay hein keh bullish counterattack candle stick pattern mein dosre candle stick kay opan honay mein majodah up trend ke direction mein aik gap paida ho jata hey es kay bad gap ko close karnay kay ley opposite direction mein aik strong movement hote hey or prices dosre semat mein bhaije jate hein
    bullish counterattack ke lines kafe makhsos kesam ke hein or es ley candle stick chart par kasrat say nahe hote hein or aik kamyaab trade ke apni moshkallat ko zyada say zyada karnay technical analysis ke dosre shaklen or counterattack pattern lines ka pattern estamal karna chihay
    bohut say trader candle stick pattern kay sath aik confirmation pattern ka entazar kartay hein aik confirmation candle anay wallay pattern ke aik motwakay price ko indicate karte hey mesal kay tor par bullish kay reversal janay kay bad price mein ezafa ho ga es bat confirm kea jata h



  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bullish counterattack candle stick pattern ?

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Counterattack Line Candlestick Pattern


    Bullish counter attack line candlestick pattern main dosre din ki candle previous din ki candle k bottom par gap main open ho kar ussi k closing point par close hoti hai. Bullish counter attack line candlestick pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jab k dosre din ki candle aik bullish candle hoti hai. Pattern ki dosre din ki bullish candle pehli din ki bearish candle k current trend k asarat ko kam karti hai, ynni bullish candle bearish candle k lower side par gap main khulti hai, jab k close ussi k same closing point par hoti hai. Pattern ki bullish candle bearish candle se nechay gap main open hoti hai, lekin ye gap bullish candle ki real body se cover hota hai, jiss ka iss waja se andaza ya clear nazar nahi ata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (18).png
Views:	4
Size:	7.0 کلوبائٹ
ID:	12444021

    Candles Formation


    Bullish counter attack line candlestick pattern main shamil candles bearish aur bullish pattern ki hoti hai, jo k prices k bullish trend reversal k leye istemal hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k lower par open ho kar ussi k closing line par same close hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (19).png
Views:	23
Size:	1.3 کلوبائٹ
ID:	12444022

    1. First Candle: Bullish counter attack line candlestick pattern ki pehli candle market k current trend k mutabiq aik bearish trend hoti hai, jiss ka close price open price k se nechay hota hai. Bearish candle shadow samet ya uss k bagher ho sakti hai, jo k real body main hoti hai.

    2. Second Candle: Bullish counter attack line candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k bottom par gap main open ho kar ussi k higher par same close price par close hoti hai. Dosri candle lazmi real body main main honi chaheye aur pehli candle k close point se pehle ya baad main close nahi honi chaheye.

    Explanation

    Bullish counter attack line candlestick pattern price chart par uss waqat banti hai, jab bhi sellers market main dilchaspi lena kam kar dete hen. Ye pattern prices k bottom par ya bearish trend main ban kar market ka trend bullish reversal bana deta hai. Pattern main shamil dono candles real body main honi chaheye, jiss main dosri candle pehli candle se se nechay gap main open hoti hai. Pattern ki banne ki psychology kuch iss tarah se hai, jiss main sellers price ko pehle nechay push karte hen, jiss se bullish candle bearish candle se nechay gap main open hoti hai, lekin baad main sellers ki prices k bottom main mazeed dilchaspi nahi rehti hai, aur ussi waqat buyers market main ziada active ho jate hen. Baaz dafa ye pattern koi strong news release hone k baad prices k bottom
    main banta hai.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20230122_144212.png
Views:	3
Size:	20.4 کلوبائٹ
ID:	12444023

    Trading

    Bullish counter attack line candlestick pattern trading k leye aik strong bullish signal deta hai, jiss se buyers market main entry karte hen. Pattern k baad aik Bullish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main honne k sath sath dosri candle k top par close honi chaheye. Lekin bearish candle banne ki sorat main trade entre karne se parhez karen. Trend confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Pattern do candles ka hota hai, iss waja se stop loss ka istemal zarori hai. Stop Loss pattern k sab se lower position ya dosri candle k open price se two pips below par set karen.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220709_225458.jpg
Views:	4
Size:	109.7 کلوبائٹ
ID:	12444020

    اب آن لائن

    Working...
    X