Leading & Lagging Indicator
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Leading & Lagging Indicator
    Assalam alaikum dear members!
    umeed karta hun aap sb khairiat se hn gy or apki trading bahut achii jaa rahi ho ge.
    Dear members forex indicators trading main kafi helpful hoty hain agr hum inko achy se smjh kr yrade karen to ye kafi faida mand ho skty hain.
    esi lye hun aj indicators ko study karen gy.


    what is indicator?

    Dear members jesa k naam se wazeh ha k indicator ka mtlb ishara deny wala forex main indicators hame market ki movement k bary main btaty hain.
    Q k indicators market main different value ko use kr k market k trend or possible support & resistance k bary main information dety hain.
    es lye indicators ko technical analysis main istmal kia jata ha.
    laikin in indicators ki 2 types hain.

    Leading Indicator
    Lagging Indicator

    in dono types ko nechy tafseel se bayan kiya gaya ha.


    What is Leading Indicators?

    Leading indicators k naam se saaf zahir hai, k ye indicators qeematon k movements ka pehle se hi andaza laga dete hen. In indicators ko momentum oscillators bhi kaha jata hai, aur ye market ki guzarne wali haleya qeematen aur us movement ki raftar humen batati hai. Ye indicators market ki kami taazi ya asal jazbaat ki pemayesh karte hen. Ye market ki mazi ki muqarara istemal karte hen. Misal k tawar par agar hum RSI k 14-days ki baat karen to is me RSI indicator me sirf guzeshta 14 dino ki price action hogi, is k elawa baqi qeematon k tamam trends ko khatam kar deya jata hai.
    Leading indicators ki kuch aam misalon me Commodity Channel Index (CCI), Relative Strength Index (RSI), Stochastic Oscillator, aur Williams %R shamil hain.



    Dear members forex trading mai Leading indicator wo indicator hai. Jo market ma new trend or reversal time sy phly indicate krty hen. Ye indicator information dety hen k next level pr prices kis side pr move krny wali hen. Leading indicator ki help sy he hum overbought or oversold state ki depict krty hen. Jb market overbought state pr pohnch jati hai. To is k bounce back hony k chances barah jaty hain.

    Pros & Cons of Leading Indicators:

    Leading indicators ka pehle se zikar ho chuka hai, k ye market me pehle hi qeematon ki agli movement bata dete hen, khas kar sideways market me. Ye indicators sideways market me traders ko bohut zyada trading opportunities deti hen k wo pehle se hi market me entry ya exit karen.
    Advance ya early signal ka faida to hai k humen ziada trading k muqa melta hai, jis se ziada munafa mumkin hai, lekin dosri taraf is me risk bhi bohut zyada hai. Aksar awqat trending market me khamaya jane wala ziada tar munafa whipsaws, overtrading, aur brokerage commissions me zaya ho jata hai.


    What is Lagging Indicator?

    Dear forum members Lagging Indicator asay indicators hoty hain Jo k market ka signal tb dety hain. Jb market apna trend change kr chuki hoti hai. Ye indicator ye show krta hai k market ka trend start ho chuka hai. Or hum ny boat miss kr dia hai.
    Lagging Indicator market k long trend mai boht help full hoty hain. Q k agr hum bad ma b apni trade ki entry lety hain to is sy hamen kuch na kuch profit earn ho jata ha. In indicators ka ak disadvantage ye hota ha k ye indicators advance ma market ki prices k bary mai information nai dety.



    Lagging indicators market ki maojoda qeematon ko read karke agale movement ki prediction karte hen. Forex trading ki aik mashahoor kahawat hai keh "trend is your friend". Trend ko malom karne k leye hamesha lagging indicators ka istemal kia jata hai. Lagging indicators humen market me qeematen kisi aik side k trend (bullish ya bearish trend) pe move ho jane k baad batate hen, jis tarah jab bhi qeematen aik dafa trend me chal parti hai to moving average us ko sahi direction deti hen (Moving average ka istemal us waqat nahi karna chaheye, jab bhi qeematen high price ya lower price area me hon).
    Moving Averages (M.A), Moving Averages Convergence Divergence (MACD), Consumers Price Index (CPI) waghea Lagging indicators ki misalen hen.

    Pros & Cons of Lagging Indicators:

    Lagging indicators market prediction market k bulkul mutabiq hoti hai. Ye indicators bohut kam hi humen loss de jate hen. Ye Indicators chonkeh market ka trend shoro hone k baad hi humen signal dete hen is waja se is me nakami k chances bhi bohut kam hote hen.
    Lagging indicators hum short term trading k leyw istemal nahi kar sajte, q k trend shoro hone k baad humen bohut kam munafa melta hai. Aksar ziada tar indicators trend khatam hone pe bhi trend ko continue dekha rahe hote hen, jis se loss hone k chances hoty hain

    THANK YOU GUYS ! :1f60a:
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Leading &amp; Lagging Indicator

    Dear jo bhi banda ais market mai kaam kar raha hai wo ye dekhta hai k aus ki zarort ki kai cheaz hai jis se wo help le k ais market mai kaam kar sakta hai ais market mai 2 tarha k indicator hai

    Leading Indicator
    Dear ais tarha k jitny bhi indicator hai wo sary aisy hai jo market se advance ap ko bata dety hai k market ne kaha tak jana hai ain mai ye hota hai k kai dafa ain ki prediction ghalt bhi ho jati hai magar ain mai achi trades mil jati hai, ain mai sab se acha Fibo indicator hai jis ki madad se hum phly se market ka andaza laga sakty hai
    Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	3
Size:	4.1 کلوبائٹ
ID:	12372648

    Lagging Indicator
    Dear ye sary aisy indicator hai jo market ki moment ko dekh k trend bana rahy hoty hai aor ye market se thora pechy hoty hai kun k ais mai ye hota hai k market kai dafa trend change kar jati hai aor ye kafi baad mai ja k bataty hai ain mai sab se zayda acha indicator moving avrage hai jis par hum trade kar sakty hai
    Click image for larger version

Name:	download (1).png
Views:	7
Size:	7.5 کلوبائٹ
ID:	12372649

    leading indicators ko lagging indicators sa best consider kia jata ha kiun kay ye hmain price moment ki occuring sa pehlay indication daitay hain, lakin in ka drawback ye ha kay inki is predictive nature ki waja sa accuracy ya validity ma kami hoti ha, kuch indicators zero line sa above aur below oscillate kartay hain aur kuch trend ki guidance daitay hain, kuch indicators momentum aur kuch market ki volatility ya strength ka bhi btatay hain, is liay in kay ye different functions hotay hain jo traders kay liay kafi supportive role play kartay hain, kuch indicators trending market kay liay suitable hotay hain jab kay kuch non trending ya ranging market ma mufeed hotay hain
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Leading &amp; Lagging Indicator

      what are leading and lagging indicator

      Dear member aj ham leading and lagging indicator ky bary mai bat karty hain or dakhty hain k ham es sy kaisy benefit hasil kar sakty hain dear leading and lagging indicator hamari help karta hain leader understand karty hain buisness condition and trends ko woh matrics hain jo manager ko btaty hain k woh apny enterprises ky ahdaf or maqasid ko pora karny ky rasty py hain

      Leading indicator

      Dear member sar karda ishary bazoqat input ky ishary ky tor per biyan kiya jaty hain woh es bat ki wazaht karty hain k qable pamaish ky result ky sath ahdaf ko hasil karny ky liye kn c iqdamat zarori hain ye karobari maqasid ko pora karny mai lead karty hain es liye inhain leading kaha jata hai
      Leading indicator stake holder ko pochny ki tagheeb dety hain .
      1-apny maqsad mai kamyab hony ky liye hamen knsa process use karna chahea taky ham apny goals ko achieve kar saken .
      2- matloba result ko achieve karny ky liye hamen team ki maharto ko behter tariky istamaal karty hain .

      3- product development ko taiz karny ky liye iqdamat kiya ja sakty hain



      Click image for larger version

Name:	download (2).png
Views:	4
Size:	8.9 کلوبائٹ
ID:	12372704

      Lagging indicator

      Agar leading indicator inform karta hai buisness leader ko k ham apna desired result ko kaisy hasil kar sakty hain .Lagging indicator sy ham measure karty hain current production and performances .hala k leading indicator dynamic hai lakin measure karny mai thoda difficult hai ,lagging indicator measure karny mai thoda easy hai lakin hard change hai .ye opposite hain and such as lagging indicator compared to outputs matrice.

      Lagging indicator measure outputs .

      1- profit
      2-expenses
      3- customer participation
      4- Renewals rate
      5- Revenue


      Click image for larger version

Name:	download.jpg
Views:	5
Size:	5.9 کلوبائٹ
ID:	12372705
      Last edited by ; 27-02-2022, 08:31 PM.

      اب آن لائن

      Working...
      X