Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Harami Candlestick Pattern
Bullish harami candlestick pattern prices k bottom main banta hai, jahan par sellers ki ziada selling ki waja se market main bohut low area main trade kar rahi hoti hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle ziada selling ki waja se bari black candle hoti hai. Pattern ki dosri candle aik small real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k real body main banti hai, yanni iss candle ka open aur close dono pehli candle k andar hote hen. Pattern ki dosri candle lazmi aik to bullish honi chaheye aur dosra ye candle real body main bhi honi chaheye.
Candles Formation
Bullish harami candlestick pattern two days candles par mushtamil hota hai, jo k bearish trend k baad prices ko bullish trend reversal main tabdeel karte hen. Ye pattern prices k bottom main banne par ziada asar dekhata hai, jiss main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish harami candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices main maojood bearish trend ki alamat hoti hai. Ye candle black ya red color main hoti hai, jiss ki aik long real body hoti hai. Bearish candle sellers ki mazboti dekhati hai.
2. Second Candle: Bullish harami candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, lekin ye candle aik small real body main hoti hai. Ye candle aik to bullish candle hoti hai, dosra ye candle pehli candle k andar open aur close hoti hai. Dosri candle ki real body white ya green color main hoti hai, jo k bearish trend reversal ka sabab banti hai.
Explaination
Bullish harami candlestick pattern price chart par selling k baad prices k bottom ya bearish trend k baad banne par bullish trend reversal ka kaam karta hai. Ye pattern dekhne main Homing Pigeon Pattern se melta julta hai, lekin dosri candle ki color ya format change hone ki waja se ye pattern uss se mukhtalif dekhta hai. Pattern two days ka mukhtalif colours par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k long real body main banti hai. Pattern ki dosri candle aik small real body main hoti hai, lekin ye candle bullish candle bhi hoti hai aur pehli candle k andar open aur close bhi hoti hai. Dosri candle ka open aur close same point par nahi hona chaheye, warna ye pattern bullish harami cross pattern ban sakta hai.
Trading

Bullish harami candlestick pattern par market main traders k leye buy k signals hote hen. Pattern par trading se pehle market main prices ka low area ya bearish trend main hona chaheye, jab k pattern k baad aik bullish confirmation candle ka hona bhi zarori hai. Pattern ki trend confirmation technical indicators jaise CCI aur Stochastics oscillator se bhi ki ja sakti hai, jo k oversold zonr main hona chaheye. Pattern k baad bearish ya black candle k baane se pattern pqr trading se ihtiat karen, q k prices trade k bar akas bhi move kar sakti hai. Stop Loss pattern k leye zarori hai, jo k pattern k sab se lowest ya pehli candle k bottom price se two pips below set karna chaheye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим