Assalamu Alaikum Dosto!
Three White Soldier Pattern
Three white soldier pattern aik strong bullish trend reversal pattern hai, jo prices k bottom par ya ziada selling k baad market main buyers k control ko zahir kia jata hai. Ye pattern teen bullish ya white candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli, dosri aur teesri teeno candles bullish candles hoti hai. Ye candles lagatar higher high par close hoti hai. Ye teeno candles market k bottom par ban kar prices ko teezi se upper push karti hai. Teeno bullish candles ki upper aur lower sides par koi wick ya shadow nahi hona chaheye, lekin agar ban bhi jaye to ye pattern se mutabeqat rakhti hai, lekin shadow ya wick ziada lamba nahi hona chaheye.
Candles Formation
Three white soldier pattern main shamil teeno candles ka bullish hona prices par buyers k control ko zahir kia jata hai. Ye pattern prices k bottom par banta hai, jiss se prices teezi k sath upper jati hai. Pattern k teeno bullish candles ki formation darjazel tarah se hoti hai:
1. First Candle: Three white soldier pattern ki pehli candle aik strong ya long real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle cor main white ya green hoti hai, jo k bearish trend k akhari bearish k baad open ho kar up par close hoti hai. Ye candle bagher upper aur lower shadow ki hoti hai.
2. Second Candle: Three white soldier pattern main shamil dosri candle bhi pehli candle ki trah same bullish candle hoti hai, jiss ka upper aur lower side par koi wick ya shadow nahi hota hai. Ye candle pehli candle ki nisbat thori se bari bhi ho sakti hai. Ye candle bhi white ya green color main hoti hai.
3. Third Candle: Three white soldier pattern main teesri candle same white ya green color wali candle hoti hai, jo k dosri candle k upper ya body main open ho kar upper close hoti hai. Ye candle bhi ziada tar bagher wick ya shadow hoti hai.
Explaination
Three white soldier pattern aik strong buyers pressure ka pattern hai, jiss main shamil teeno candles bullish hoti hai. Ye candles ziada tar bagher wick ya shadow ki hoti hai, lekin small size main shadow ya wick acceptable hai. Three white soldier pattern prices k bottom par ya bearish trend main banne k baad prices ko teezi k sath upper ki taraf pressurized karti hai. Iss pattern main pehli candle dosri aur teessri candle ki nisbat real body main thori si kam hoti hai. Three white soldier pattern bullish trend main banne wale three black crows pattern ka opposite hota hai, aur mukhalif semat main banta hai.
Trading

Three white soldier pattern aik strong bullish trend reversal pattern hai, jiss par traders market main buy ki entry kar sakte hen. Pattern k baad confirmation k leye candle se nahi indicator se ziada asani se trend ko malom kia ja sakta hai. Agar CCI oscillator aur Stochastics oscillator main value oversold zone main hon to uss waqat ye pattern ziada moasar buy ki signals de sakta hai. Pattern k baad black candles banne se iss k asarat mutasir ho sakte hen. Stop Loss pattern k sab se lower side ya pehli candle k bottom se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим