Delibration Candlestick Pattern KeSath Trading

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Delibration Candlestick Pattern KeSath Trading
    Introduction

    Dosto forex trading main bahtar nataij ke liye koi na koi hikmat amli hona zarori hay ishe bat ko made nazar rakhte hoe hum aik ayse strategy ke bare main discus karne wale hain jis ko Delibration Candle Stick Pattern kaha jata hayDelibration candlestick pattern iski information hona bht zaruri hota hai is liye apko mehnat or hard work krna chahiye iski information nechy apke sath share krti hun

    Delibration Candlestick Pattern

    Dear members delibration candlestick pattern ek trend reversal candlestick pattern hai yh pattern three candles sy mil kar bana or iski candlestick bullish hoti hai or three ek hi form me hoti hai sequence me rehti ha is liye hum isko delibration candlestick pattern kehty hn.
    Click image for larger version

Name:	images (1).png
Views:	32
Size:	8.9 کلوبائٹ
ID:	12508111

    Identification Of Delibration Candlestick Pattern

    Dear members iski identification is ki jati hai is ko hum three candles sy mil kar bnata hai.

    1st Candle
    Dear members is pattern me first candle significant bullish hoti hai.

    2 nd Candle
    Dear members is pattern me second candle first candle k upr open hoti hai or previous candle k high above close ho jati ha.

    3 rd candle
    Dear members or yh last candle Small body hoti hai or yh previous k high point sy upr point tak ponch k close hoti hai or first or second candle long body ki honi chahiye.

    Trade With Delibration Candlestick Pattern

    Dear members delibration candlestick pattern me hum tab kamiyab ho skty hn jab ap k pas acha experience or information ho gi agar ap achi tarah leaning kren gye tabhi kamiyab hun gye hum isko study kren gye to faida milta hai yh pattern bullish trend k bad bnta hai is tarah is pattern k reverse chances bht zaida ho skty hn or three candles k bd apko sell ki trade active krni chahiye or iski confirmation hona bht zaruri hota hai 4th candle k bad apko confirmation ka wait krna
    chahiye or apko chahiye k safe trading kren uske liye apko stop loss or take profit lgana zaruri hota hai tabhi apko faida milta hai or ap kamiyab hoty hn.
    Click image for larger version

Name:	images (2).png
Views:	15
Size:	22.9 کلوبائٹ
ID:	12508112
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Delibration Candlestick Pattern KeSath Trading

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Deliberation Candlestick Pattern


    Deliberation candlestick pattern aik bearish trend reversal pattern hai, jo prices k top par ya ziada buying k baad market main buyers k control ki kamzori ko zahir kia jata hai. Ye pattern teen bullish ya white candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli, dosri aur teesri teeno candles bullish candles hoti hai. Ye candles lagatar higher high par close hoti hai. Pattern ki pehli aur dosri candles strong bullish candles hoti hai, jab k teesri candle aik small real body wali ya Spinning top bullish candle hoti hai. Spinning top candle dosri candle k qareeb ya gap dono tarah se ho sakti hai, jo k top trend ko mazeed bullish jane main rukawat banti hai.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20230124_080543.jpg
Views:	4
Size:	57.6 کلوبائٹ
ID:	12446309

    Candles Formation


    Deliberation candlestick pattern main shamil teeno candles ka bullish hone k bawajood bhi ye pattern aik bearish trend reversal pattern hai. Ye pattern prices k top par banta hai, jiss se prices teezi k sath bearish jati hai. Pattern k teeno bullish candles ki formation darjazel tarah se hoti hai:

    Click image for larger version

Name:	images (54).png
Views:	5
Size:	3.2 کلوبائٹ
ID:	12446310

    1. First Candle: Deliberation candlestick pattern ki pehli candle aik strong ya long real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai, jo k bullish trend ki mazboti dekhati hai. Ye candle shadow samet ya bagher upper aur lower shadow ki bhi ho sakti hai.

    2. Second Candle: Deliberation candlestick pattern main shamil dosri candle bhi pehli candle ki trah same bullish candle hoti hai, jiss ka upper aur lower side par ziada tar koi wick ya shadow nahi hota hai, lekin small si wick ho sakti hai. Ye candle pehli candle k barabar ho sakti hai. Ye candle bhi white ya green color main hoti hai, jo pehli candle k top par close hoti hai.

    3. Third Candle: Deliberation candlestick pattern main teesri candle same white ya green color wali candle hoti hai, lekin ye candle aik small real body wali hoti hai. Ziada tar ye candle aik Spinning top candle hoti hai, jo k dosri candle se gap main ya uss k qareeb top par banti hai. Ye candle strong body main na hone ki waja se trend reversal ka sabab banti hai.

    Explanation

    Deliberation candlestick pattern aghaz main strong buyers pressure ki waja se banta hai, jiss main shamil teeno candles bullish hoti hai. Pattern ki pehli aur dosri candles ziada tar bagher wick ya shadow ki hoti hai, lekin teesri candle small size main bullish Spinning top candle hoti hai. Deliberation candlestick pattern prices k top par ya bullish trend main banne k baad prices ko teezi k sath downward ki taraf pressurized karti hai. Iss pattern main pehli aur dosri candles teesri candle ki nisbat real body main bari hoti hai. Pattern k aghaz main prices teezi k sath bullish move karti hai, lekin baad main buyers ki adam dilchaspi ki waja se pattern k top par aik Spinning top candle banti hai, jo k prices ko mazeed bullish jane se rokhti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (26).png
Views:	15
Size:	9.5 کلوبائٹ
ID:	12446308

    Trading

    Deliberation candlestick pattern teen bullish candles hone k bawajood bhi bearish trend reversal pattern hai, jiss par traders market main sell ki entry kar sakte hen. Pattern k baad confirmation candle ka hona zarori hai, jo k indicator se bhi asani se trend confirmation ki ja sakti hai. Confirmation candle ka bearish real body main hona chaheye, jab k CCI oscillator aur Stochastics oscillator main value overbought zone main hon to uss waqat ye pattern ziada payedar k sell k signals de sakta hai. Pattern k baad white candles banne se iss k asarat mutasir ho sakte hen. Stop Loss pattern k sab se top side ya teesri candle k high se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	Fkv9fWRaAAI1Ch-.jpg
Views:	3
Size:	51.8 کلوبائٹ
ID:	12446307

    اب آن لائن

    Working...
    X