Importance of hammer candlestick pattern:
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Importance of hammer candlestick pattern:
    Assalamualaikum dear members aj me ap logn ke sath hammer candlestick pattern ke bary m information share krny ja rhi hn umeed hai ap ko is topic se bhtt faida ho ga r ap ki knowledge me izafa ho ga ...forex me jb hm kam krty hen to hmy in sb cheezn ka dehan rakhna hota hai ke yh hmy trading me kam ati hen isi liye hmy inko samjhna zruri hota hai ...

    Hammer candlestick pattern;

    Hammer ek price pattern hahai candlestick charting me yh tb occur hota hai jb security trades apni opening se low hoti hen...lkn us period par relie krti hen jahan close hona hota hai opening k qareeb ..yh pattern hammer shape candlestick bnata hai is me lower shadow twice hota hai real body k size se...

    Is hammer candlestick pattern good;
    Hammer candlestick pattern downtrend ke bottom par bnta hai aur market me potential reversal ka signal deta hai... Jo most common hammer candle hai wo bullish hammer hai jis ki small candle body hoti hai aur extended lower wick hoti h aur lower prices ki rejection ko show krti h.,
    Click image for larger version

Name:	hammer-candlestick-pattern_body_Bullish_hammer_candle_EURUSD.png.full.png
Views:	17
Size:	4.1 کلوبائٹ
ID:	12508037Is hammer bullish or bearish:

    Hammer candlestick ek bullish trading pattern hai jo indicate krta hai ke stock apny bottom par ponch gya hai aur trend reversal ke liye positioned ho gya hai ...

    Click image for larger version

Name:	hammercandlestick-5c620b2ac9e77c0001566ce8.jpg
Views:	1
Size:	98.0 کلوبائٹ
ID:	12508036

    Can a hammer candle be red:

    Hammer candle red aur green appear hoti h aur iska most qualifying factor hai ke being shadow of body of candle...jo iska accepted standard hai among technical traders wo yeh hai ke jo wick hai candle ki body ke below at least 2 times long honi chaiye..

    How does hammer candlestick look like;


    Hammer ek bullish reversal candlestick pattern hai ..yh sirf ek candle se bna hua hota hai.. financial assets ke price chart m found hota hai ...yeh candle hammer ki tarah dikhai deti h q ke iski long lower wick hoti hai aur short real body hoti h aur upper wick little hoti hai ya ni hoti ...hammer body 3 times shorter hoti hai shadow se ...

    What is hammer chart pattern:

    Hammer chart pattern ek popular technical indicator hai jo candlestick charting m use hota hai ..hammer tb appear hota hai jb stock tumble krty hen during day phr bd m session ke dora. Strength find kr lety hen close ya Opening price ke nazdeek...

    Difference between hammer and hanging man


    Difference in dono ke drmiyan trend ke nature p depend krta hai jis m yh dono lie krty hen .. wo pattern jis m rising trend suggest kry bearish reversal ko usko hanging man kehty hen...agr pattern appear ho falling trend me aur bullish reversal indicate kry usko hammer candlestick pattern kehty hen....

  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Importance of hammer candlestick pattern:

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Hammer Candle


    Financial market main jab bhi kisi assets ki prices bearish trend k dawran aik candle din k aghaz se hi pehle bohut ziada downward jaye lekin din k ekhtetam tak wo wapis apni opening position k qareeb par jab close ho jate hen, to iss dowran jo candle banti hai, wo aik hammer candle banti hai. Hammer candle ki opening aur closing prices aik dosre k qareeb to hote hen, lekin candle k lower aik lamba shadow hota hai. Ye shadow candle k prices k intehaye kam satah ko zahir karti hai. Candle ki open aur close point aik dosre k qareeb hone ki waja se iss ki small real body banti hai. Hammer candle ki upper side par ya to shadow ya wick nahi hona chaheye, lekin agar ban jata hai, to bhi acceptable hai, lekin bohut ziada nahi hona chaheye, jiss se candle ki shape badalne ka hadsha ho.

    Click image for larger version

Name:	images (1115).png
Views:	83
Size:	5.2 کلوبائٹ
ID:	12372220

    Candles Formation


    Hammer candle main aik small real body hoti hai, yanni open aur close aik dosre k qareeb hote hai, lekin down side par aik long shadow hota hai. Ye candle prices main humen darjazzel tarah ki formation main ban kar ati hai;

    Click image for larger version

Name:	images (1116).png
Views:	12
Size:	6.4 کلوبائٹ
ID:	12372221

    Hammer Candle: Hammer candle ki aik small real body k sath lower side par long shadow k hoti hai. Candle k prices k bottom par banne ki waja se bullish trend wali hososeyat hoti hai, jab k prices k bottom par candle ki color ki koi ahmeyat nahi hoti hai.

    Explaination

    Hammer candle main aik din k dowran prices bohut ziada bearish ja kar wapis apni position k qareeb a jati hai. Ye aik single pattern color ki candle hai jiss ka open, close aur high price aik dosre k qareeb aik small real body hoti hai, lekin low price same nahi hoti. Dekhne main ye candle aik T jaisi hoti hai. Ye candle prices k bottom par banne wali dragonfly doji candle aur prices k top par banne wali hanging man candle se melti julti hai. Hammer candle prices k top par bearish reversal trend ka kaam karne wali banne wali candle shooting star candle ki opposite direction hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1114).png
Views:	65
Size:	20.5 کلوبائٹ
ID:	12372222

    Trading

    Hammer candle market main kisi assets ki prices ko aik bearish trend k dowran lower jane par rejection ka samna hota hai, jiss se prices wapis apne open price par close ho jati hai. Ye candle bearish trend k dowran ya low prices main banne ki waja se aik bullish trend reversal candle tasawar ki jati hai. Ye candle market main selling pressure ka khatme ka ishara hota hai, jiss se traders market main buy ki entry karte hen. Market main buy ki entry se pehle aik bullish trend confirmation candle ka hona zarori hai, q k ye aik single candle pattern hai. Bullish real body wali candle k bad market main buy ki entry karen. Stop Loss candle k sab se lower position ya candle k bottom se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (1113).png
Views:	12
Size:	13.3 کلوبائٹ
ID:	12372219

    اب آن لائن

    Working...
    X