Descending Hawk Pattern
Descending Hawk pattern do (2) candles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai, jab ye bullish trend ya high price area me paya jata hai. Ye pattern bullish trend continuation (tasalsul) ka bhi kaam karta hai, agar ye pattern market k qeematon k darmeyan me paya jaye to. Pattern me shamil dono candles white hoti hai, jis me 1st candle aik bari real body wali hoti hai, jab k 2nd candle aik small real body wali hoti hai. Pattern ki khas baat ye hai k is me 2nd candle 1st candle k real body k bulkul mid (center) me banti hai.
Pattern ki Pehchan k Rules:
- Descending Hawk Pattern aik bearish reversal pattern hoga agar ye pattern high price area ya bullish trend k baad banta hai.
- Pattern agar market k qeematon k darmeyan me banta hai to ye bullish trend continuation pattern ka kaam karega.
- Pattern do (2) white candles par mushtamil hota hai.
- Pattern ki 1st candle aik bari white real body wali bari candle hoti hai.
- Pattern ki waja 2nd candle small white real body wali hoti hai.
- Pattern ki 2nd small white candle 1st black candle k bulkul midpoint (center) me banti hai.
Pattern ki Tafseel:
Descending Hawk Pattern aik aisa pattern hai, jo k trend reversal ka kaam bhi karta hai aur trend continuation ka bhi. Agar ye pattern high price me banta hai to ye bearish trend reverse rsal ka kaam karta hai, jab k qeematon k darmeyan me banne par ye bullish trend k tasalsul ka kaam karta hai.
Descending Hawk Pattern me do black candles hoti hai, jis me shamil 1st white candle aik bari real body wali hoti hai, aur us k baad banni wali 2nd white candle aik small real body wali hoti hai. 2nd white candle ki open aur close 1st black candle ki open aur close se kam hoti hai. Yani 2nd black candle 1st black candle k real body me open bhi hoti hai aur close bhi. Isi tarah se 2nd white candle ki high aur low price bhi 1st white candle k high aur low price se kam hota hai.
Pattern pe Trading:
Descending Hawk Pattern pattern pe dono (buy aur sell) tarah se trading ho sakti hai. Pattern pe trading se pehle humen is pattern ki market me position malom karni hogi. Agar Descending Hawk pattern market ki darmeyan me banta hai to ye bearish trend k continuation ka kaam karega, is waja se traders ko yahan pe "sell" ki entry karni chaheye, lekin agar ye pattern low price area me banta hai to is position pe traders ko "sell" ki entry karni chaheye.
Pattern pe trading se pehle confirmation signal ka hona zarori hai, is waja se traders ko 3rd candle ka intezar karna chaheye. Market me buy ki entry k leye 3rd candle "white" hogi, jab k sell ki entry k leye 3rd candle "white" hogi. Sell signal pe stop loss 1st white candle k highest side pe hoga, jab k sell ki entry k lye 1st white candle k lowest price pe hoga.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим