Bearish sqeez alert candle stick pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish sqeez alert candle stick pattern
    Assalamualukum dost aj ham bat karein ga bearish sqeez alert candle stick pattern ka bara btau ga, ya candle stock ka hi ek pattern ha ya 3 lafzo sa mil. Kar bana ha, bearish, sqeez or alert, bearish lafz ka. Matlab to. Ap janta hain, yani mandi sqees lafz ka. Matlab hota ha ni hona, or alert lafz ka Matlab hota ha, sambhal ka, iska nam Japan ka logo na signal Dana ka upr dakha ha Ya downtrend ko btana wala candle stick pattern ha, isma. Pahli candle long bullish candle stick hoti ha, ya green candle stick hoti ha, or dusri candle. Small bearish candle, Stick hoti ha ya lal rang ki hoti ha, or 3rd candle bi dosto small bearish candle stick hi hoti ha ya kahei ka red color Ki Hoti ha ha, ya chart ma. Lambi tezi ka bad banta ha, ya kahei ka ya chart ka top par banta ha is candle stick patterns ka bana ka bad tezi khata hojati ha conformation milna ka bad faida zarur hoga.

    Iska banana ma Kin baton ka khas dihan rkhna ha?


    Is candle stick pattern ma Jo pahli candle hoti ha wo long bullish candle honi chaye, iska bad dusri candle ha wo pahli candle ka close price sa ne ha khukni chaye, ya khae ga gap down open hona chaye, or pahli candle ki body ka bech ma hi trade karna chaye, iska bad jab yha dusri candle close ho to ya pahli candle ka bara bar ya us ka upar ja kar band hona chaye, sedha alfazo ma kahei to Jo body ha wo pahli candle ka bech ma hi honi chaye yaha dusri candle candle small bearish candlstick hona chaye, iska bad Jo 3rd candle ha wo 2sri candle ki body ha uska bech ma achi tezi ka sath khul a chaye, ya kahei ka gapupopen hona chaye, iska jab jab yha 3rd candle close ho us wakt 3rd candle 2nd candle ka bara bar ya us sa upar ja kar band hona chaye, yaha 3rd candle bi small bearish candle Stick hona chaye, usma size ka koi itna role nahi ha, isma zaruri dihan rkhna wlai bat yha ha ka pahli 2 candle bearish harami candle hoti ha, isma volume ka itna lana Dana nahi ha, or isma pahli candle bullish marubizu bi hosakti haTo dosto is tarah sa ham bearish sqeez alert candle stick pattern ki pahchan kr sakta hain.

    Click image for larger version

Name:	bearish.png
Views:	1
Size:	161.3 کلوبائٹ
ID:	12507657
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bearish sqeez alert candle stick pattern

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Squeeze Alert Pattern


    Bearish squeeze alert pattern teen candles par mushtamil aik unique pattern hai, jo bullish trend main ya high prices area bearish trend reversal ka sabab banta hai. Pattern ki khas baat ye hai k iss main shamil pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss ka baad do small real body wali candles hoti hai, jo k kisi bhi pattern yanni color ki ho sakti hai, ye candles dono color main combine bhi ho sakti hai. Lekin ye dono candles pehli candle ki real body main open aur close hote hen, jiss katarah k bearish harami ya descending hawk pattern main hota hai. Pattern ki last candle sab se small real body wali hoti hai, jo k dosri candle ki real body main banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (668).png
Views:	13
Size:	1.2 کلوبائٹ
ID:	12415881

    Candles Formation


    Bearish squeeze alert pattern main shamil candles ki body tarteeb k hisab se kam hoti rehti hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss k baad banni wali small candles uss k real body main bante hen, jiss ki tafseel darjazzel hai;

    Click image for larger version

Name:	images (2) (314).jpeg
Views:	7
Size:	24.0 کلوبائٹ
ID:	12415882

    1. First Candle: Bearish squeeze alert pattern bullish trend main vanne ki waja se pattern ki pehli candle bhi bullish hoti hai. Ye candle aik long real body wali candle hoti hai, jo k bullish trend ki mazboti ki akasi karti hai. Ye candle color main white ya green banti hai.

    2. Second Candle: Bearish squeeze alert pattern ki dosri candle pehli candle se small real body wali candle hoti hai, jiss ka open aur close pehli candle k real body k andar hota hai. Ye candle zarori nahi k kisi khas pattern ki ho yani ye bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai.

    3. Third Candle: Bearish squeeze alert pattern ki teesri aur akhari candle sab se small candle hoti hai, jo k dosri candle k real body main banti hai. Ye candle bhi dosri candle ki tarah kisi bhi pattern ki ho sakti hai, jiss k leye bullish ya bearish ka hona zarori nahi hai.

    Explanation

    Bearish squeeze alert pattern high prices area main sellers k market main take over karne ka aik zarya banta hai. Pattern main teen candles aik aise tarteeb se bante hen, jiss main dosri candle pehli candle ki real body main banti hai, jab k teesri candle dosri candle ki real body main banti hai. Pattern ki pehli do candles aik descending hawk ya bearish harami pattern banate hen, jab k akahari do candles bhi same issi tarah ka behaviour rakhti hai, iss waja se agar iss pattern ko double bullish harami, ya double descending hawk pattern kehna bhi darust hai. Ye pattern bullish trend ki kamzori ka bahis banti hai, jiss k baad prices bearish trend reversal main badal jate hen.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (312).jpeg
Views:	8
Size:	3.5 کلوبائٹ
ID:	12415883

    Trading

    Bearish squeeze alert pattern bullish trend main kamzori ka zarya ban kar prices bearish trend reversal main badal deta hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik strong aur real body wali bullish candle hoti hai, lekin baad wali candles aik to small real body main banti hai, dosri unn ki hasseyat bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai. Bullish trend ki ye kamzori sellers k leye market main entry ka moqa deti hai. Market main entry karne se pehle trend confirmation candle ka hona zarori hai, jo k aik real body wali bearish candle honi chaheye. Technical indicators par bhi prices overbought zone main honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se highest point jo k pehli candle ka top ya close price banata hai, se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (313).jpeg
Views:	6
Size:	29.5 کلوبائٹ
ID:	12415880

    اب آن لائن

    Working...
    X