Point & Figure 《 P&F 》 Chart in forex Market
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Point & Figure 《 P&F 》 Chart in forex Market
    Focus point

    Assalam O Alikum
    Dear aaj hum jis strategy ke bare main bat karne wale hain woh dakhne main zara different types ke hay magar aik ache hikmat amli hay trading main profit ke hawale se is ke zarye Agar Ham acchi tarike se market ki movement ko samajh Lete Hain To Hamen market Mein entry Lene mein bhi aasani hoti hai aur uske sath sath Hamara Lagaya Jaane wala order bhi Hamen success deta hai. Isiliye Hamen points and figures chart ko samajhna aur uske motabik kam karna bahut zaruri haytoo ayye dost ic chart ko detail ke sath samajhne ke koshish karte hain

    Point And Figure (P&F) Chart:

    Friends ye ik bahut he behtreen chart hay jis main ham time ki passage kay baghair he chart per hony wali different types kay pairs ki price moment ko check karty hain. P&F chart baqi charts say hat kar price moment ko represent karti hay. Yeh price moment ko X and O kay marks say colums main zaihir karti hay. Rising price ko X say jab keh price falling ko O say zahir karty hain. Jab keh P&F charts per prices ko visualize karny kay liye support and resistance levels kay sath baqi patterns bhi better defined hoty hain. Jab keh P&F chart per breakout clearly defined hota hay q keh false breakout ko zahir nai karta.
    Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	2
Size:	8.3 کلوبائٹ
ID:	12507591


    Setting Of P&F Chart

    friends P&F chart main calculation ko zaroorat to nai hoti laikin is main kam az kam two variables set kiye jaty hain. ik variable box size hota hay jisko ham kisi bhi symbol ya sign say indicate karty hain. Iskay ilawah hamain ismain reversal amount bhi daina hoti hah jo normal say 3 guna ziadah hoti hay. Maslan ager box size 1 % hay to ham reversal size 3% set karain gay. Iskay ilawah ham is main low aur high prices kay liye bhi variables use kar sakty hain laikin is kay liye phir chart per mazeed Xs aur Os banty rahain gay.

    Trading With P&F Chart.

    friends P&F chart ka use bhi baqi he charts yani candlesticks ki tarah kia jata hay. Laikin iska aik aur faidah ye hay keh traders breakouts ki confirmation kay liye isko use karty hain. Iska aik aur main feature yeh hay keh jab box ka size exceed ho jata hay to same column main new box create ho jata hay jo price kay mazeed rising continuation ka batata hay. Is tarah ham yahan per aik buy ki trade open kar sakty hain. Isi tarah O and X boxes reversal and price falling main bhi help karty hain.
    Click image for larger version

Name:	Point-Figure-Chart-Explained.jpg
Views:	1
Size:	177.4 کلوبائٹ
ID:	12507592
    Chart main dakhai gai chand movemint jin ke zarye P&F strategy ko bahtar samjha ja sake


    Limitations:

    friends Yeh chart bahut slow react karta hay. Maslan baz dafa jab yeh breakout ka signal daita hay to tab tak price main again reversal a rahi hoti hay jis waja say yeh signal karamad nai rehta.

    Conclusion:

    friends agar aap points and figure chart ko Samne rakhte hue apni trading activities complete Karti Hai To Uske acche advantages aap ko milati hai. isiliye Iske bare mein knowledge Hasil Karen aur Iske mutabik apni working quality ko improve karne ki koshish karne wala trader he Forex trading business Mein successful ho sakta hai
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Point &amp; Figure 《 P&amp;F 》 Chart in forex Market

    What is p& F chart

    Assalaam .o .Alikum dear forex member umeed karta hun k ap theek hun gay or achy tariqy sy apna kaam perform kar rhy hun gay dear aj ham p& f chart ko discuss karty hain k ye forex mai kaisy kaam karta hai sab sy pehly ham es ko define karty hain point and figure chart ko ham long term investment ky liye designed karty hain or es ko ham aik solid entry and exit pint ky liye istamaal karty hain ye aik simplest system hota hai ye charting system monitor karta hai supply and demand ky her issue per aye hoti hain or ye developing trend per bhi nazar rakhta hai point and figure ko jo chez munfrid bnati hai woh ye hai k woh waqt ki guzarny ky mujrid ka hissab nhi rakhty jo k different types ky chart apny x- exis ky sath karty hain



    Click image for larger version

Name:	images (2).jpg
Views:	1
Size:	8.0 کلوبائٹ
ID:	12371724


    Constructing p& f chart

    Dear member Conventional technical analysis chart open ,close ,high and low chart hoty hain jo k waqt ky sath sath price ki movement ki mansooba bandi karty hain or kehty hain k day by day p& f chart ki creation mai kise shomary ki band price per zoor dia jata hai p& f chart ky developers rujhan nassho noma mai interested hoty hain es liye woh daily ki choti ya bari movement ko opar ya nechy hony ki fikar nhi karty balky es bat ki fikar karty hain rasd or talab ky nukta -e- nazar bari picture kis trha samny ati hai .


    Click image for larger version

Name:	images (6).png
Views:	1
Size:	7.8 کلوبائٹ
ID:	12371725


    Reading P&F chart

    Dear member ab ham dakhty hain k p& F chart kaisy bnaya jaye next question ye hota hai k es ko kaisy parha jaye P& F chart mai expert ki taraf sy samjhaya jata hai k talab or rasd ka qanoon stock ki price ko determined karta hai agar masla price mai barh rha hai or hamary pass 3 x ka ki price ka rujhan hai tu ham samjhty hain k talab ny rasd per control kar liya hai
    Ulta jab woh chart hamen three 0 deta hai es bad ki nishan dahi karta hai rasd ny talab per control kar liya hai p& F chart hamen reversal trend ,demand and supply ky issue ko show karta hai

    Support level in P&f chart

    Dear member support level aik aisa level hai jis ko trader and investor dakhty hain believe karty hain price higher move karti hai after hitting the support mark


    Click image for larger version

Name:	images (3).jpg
Views:	1
Size:	6.2 کلوبائٹ
ID:	12371726
    Last edited by ; 23-02-2022, 07:56 AM.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Point &amp; Figure 《 P&amp;F 》 Chart in forex Market

      Point and Figure Chart.
      Friends, bar, line and candlesticks say hat kar yeh bhi aik chart type hay jo traders price action ko understand karny kay liye use karty hain. Is liye keh point and figure chart hamain time kay guzarny kay baghair he price action ki representation dikhata hay. Jo traders ko up trend ya down trend samjhny main help daita hay. Yeh chart hamain trend ki strength and reversal ko support and resistance levels per indicate karta hay. Point and figure chart ki yeh khasoosiat hay keh yeh support and resistance level ki bahut accurate breakout daita hay aur yeh false breakout ko kabhi display nai karta.

      Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220223-075203_1.jpg
Views:	1
Size:	123.0 کلوبائٹ
ID:	12371723

      Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220223-075219_1.jpg
Views:	1
Size:	104.8 کلوبائٹ
ID:	12371722

      How to use and understand point and figure chart.
      Dosto point and figure chart main line ya candlestick nai banti balkeh price rising main hamain X box milta hay aur price falling O box say indicate hoti hay. Is main yeh do variables yani X and O use hoty hain. Jab X ko O ya O ko X fallow kary yani yeh cross ho jayain to yeh price ki reversal ki show karty hain. Ab ham is ko use karny kay liye box ka size set karty gain. Q keh X and O donon he variables hain. Bus ap youn samjh lain keh X and O kay through hamain high price aur low price ki aik range set karna hoti hay jo hamary liye support, resistance aur breakout ya trend reversal kay all signals generation ka bais banti hay. Yeh ranges he darasal point and figure chart ki base hoti hay jis per yeh mazeed work karta hay, iskay ilawah iski koi calculation nai hoti.

      Trading Psychology on using Point and Figure chart.
      Bazahair point and figure chart vertically he kam karta hay yani price rising and falling ko display karta hay. Laikin traders ka point and figure chart ko use karny ka main maqsad confirmation laina hota hay. Yani ager candlestick chart ya koi aur technical oscillator ya indicator inko breakout ka bata raha hay to point and figure main variables ki setting ki waja say yeh isko more accuracy say show karta hay keh yeh breakout ho rahi hay ya nai. Youn traders ko yahan say breakout ki confirmation mil jati hay jis say woh further trading execution karty hain.

      اب آن لائن

      Working...
      X