Assalamu Alaikum Dosto!
Dragonfly Doji Candle
Price chart pattern par baaz awqat single candles bhi dosre candlestick charts pattern ki tarah k asarat rakhte hen, jab bhi ye candles prices k top ya bottom par bante hen. Dragonfly doji candle bhi aik single candle pattern hai, jo k prices k bottom ya bearish trend main banti hai. Dragonfly doji candle k bagher real body wali candle hoti hai, jiss ka lower side par aik long shadow banta hai. Ye shadow Dragonfly doji candle ki lower side par bohut ziada hota hai. Dragonfly doji candle ki real body k upper side par koi wick ya shadow nahi banta hai, yanni candle ki real body ki high aur candle ka opan aur close same point par hota hai.
Candles Formation
Dragonfly doji single candle bagher real body hone ki waja se price chart par sirf black lines dekhaye deti hai. Ye candle bearish trend main ya low price main banti hai, jis ki information darjazzel tarah se hoti hai;
Dragonfly Candle: Dragonfly doji candle prices k bottom ya bearish trend main banti hai, jiss k baad ziada tar bullish trend reversal hota hai, doji candle honne ki waja se candle ka open aur close same point par hota hai, jiss se candle bagher kisi pattern ya color ki hoti hai.
Explaination
Dragonfly doji candle jo k prices k bottom aur bearish trend k baad banne par bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai, doji family se taluq rakhni wali aik single pattern candle hai. Ye candle bagher real body, jiss ka open aur close same point par hota hai, k sath lower side par aik long shadow rakhti hai. Candle ka shadow open aur close price se nechay kafi lamba hota hai. Candle k real body k upper side par aik small si wick to acceptable hai, lekin ziada lengthi nahi hona chaheye, jiss se candle ki hososeyat par faraq par jata ho, lekin bagher upper shadow ki ye candle ziada perfect hoti hai. Dragonfly doji candle ki real body na hone ki waja se ye candle bullish aur bearish dono tarah ki hososeyat ki hamil ho sakti hai, issi waja se candle k leye color ka hona zarori nahi hai, lekin iss ki position ziada zarori aur aham hai.
Trading

Dragonfly doji candle jo dekhne main aik T jaise lagti hai, prices k bottom ya bearish trend main banne par bullish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Ye candle bullish trend ya top prices par banne wali Gravestone doji candle ki tarah hi hoti hai, lekin prices ki position aur pattern opposite hota hai. Dragonfly doji candle par trade entry se pehle iss ki bearish trend ya bottom prices position ka hona bohut ziada zarori hai. Ye aik single pattern candle hone ki waja se trade k leye bohut riski hai, iss waja se aik bullish confirmation candle ka hona zarori hai, trader next bullish candle k sath indicator CCI oscillator aur Stochastics oscillator bhi oversold zone par market main buy ki entry kar sakte hen. Stop Loss candle ki sab se lower position ya candle ki shadow k bottom se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим