Japanese candlestick Charts pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Japanese candlestick Charts pattern
    Japanese candlestick :


    Har time frame ma ik candle banti ha jasa ka 5 mint ka time frame ma har 5 mint ka bad nayi candle banti ha . ik ghanta ka time frame ma har ghanta ka bad nayi candle banti ha . daily time frame ma har roz ik candle banti ha
    Agr price upr jati ha to green colour wali khali candle banti ha . agr price down jati ha to white colour wali candle banti hai kuch platforms par agr price upr jay o waha par complete greeny yellow colour ki candle waziya hoti ha aur neechay jana ki surat ma ya candle red colour ki ho jati ha
    Candle ka shadow ham log ko important information wagra dta ha agr bara shadow bara ha to is ka mtlb hai ki strong up trend ha hya to strong downtrend ha . agr is chota size ka shadow ha to ya choti trades wagra ko zahr karta ha
    ap logo ko koi be trade wagraa lagna sa pehla is candle ka through trend wagra ko lazmi check karna chayia aur is sa ham logo ko market ki next movement ko predict karke nex trade wagra lagni chayia tay ka ham logo ki trade profit ma jaya kar ik khawab trade ban sakya aur ham is sa profit earn kar sakya .


    Is tyra k ham logo ko shadows nazar aata hai candlestick maa aur agr ya long shadow ho to is ka mtlb hota ha market strong kisi be trend ma move kar rhi ha ya to ya rend up yaa down ha wo ham log ko is ka colour dekhna ke baad pata chal jata ha aur chota shadow means ka market thora move kiya hai
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Japanese candlestick Charts pattern

    Japanese Market Basic Price Charts


    Technical analysis currencies, stocks, futures aur market k degar mukhtalif cheezon me qeematon aur trend ki tabdeeli ka mutalea (study) hai. Qeematon me tabdeeleyon ka bunyadi tawar par mukhtalif indicators, oscillators ya trading techniques k zarye se se jayeza leya jata hai, takeh trader ko trading me ziada se ziada asani ho aur wo kamyab rahe. Technical analysis kisi bhi tarah se aik mukamal science nahi hai, lekin us me kuch hososeyat, patterns ya indicators hote hen jo baar baar duhraye ja sakte hen. Technical analyst in qeematon aur qeematon me tabdeeleyon ko chart par muratab (draw) karte hen, aur mukhtalif indicators kibmadad se supply aur demand area, trade setups, profit (take profit) aur stop loss ki position ka pata lagate hen.

    Click image for larger version

Name:	images (313).jpeg
Views:	1
Size:	28.7 کلوبائٹ
ID:	12372032

    Technical analyst ne chart par market data ko pesh katne k leye mukhtalif tareeqay banaye hen. In charts me sab se ziada istemal hone wale charts "bar chart", "line chart" aur "candlestick chart" hen. Is k elawa bhi kuch degar chart hen, jaise; Kagi, Renko, point and figure chart aur Range bar charts, lekin us k istemal bohut kam hota hai.
    Technical analysis me istemal hone wale basic charts simple Cartesian structure (X&Y axis) ko follow karte hen. X-axis horizontally waqat (time) ko show kia jata hai, jab k Y-axis Vertically par wo qeemat ko show kia jata hai. Koi bhi indicator jo waqat aur qeemat se akhaz kia jata hai, ya to khud us ko chart par show karwaya jata hai aur ya us k nechay alehda se dosre chart pe waqat aur qeemat (time and price) k mutabiq graph pe plot kia jata hai. Kuch traders X-axis pe volume ko bhi plot karte hen.
    Charts ka mathematics sebara aham reshta hai, charts ko arithmetic, log ya semi log ki madad se banaye jate hen. Arithmetic charts me qeematon k darmeyan same wahi fasela hota hai, jahan log ya semi log charts me mutanasib qeematon ki movements k leye mutaghayer (variable) fasela hota hai.
    Technical ya charts ki analysis bohut sare points ko samajhne aur experience hasil karne k leye hote hen. Qeemat, volume aur waqat market ki teen bunyadi juzz hen. Bohut sare kamyab trader paisa kamane k leye sirf price action ka mutalea (study) karte hen. Kuch dosre trader analysis karne aur market ki movement ko dekhne k leye pecheeda mathematically theories aur tez-tareen computer technologies ka istemal karte hen. Bahar-hal qeemat k amal ho samajhna market me sab me sab se bari kamyabi hai, ye mushkil mathematics theories ya analysis se sab se behtar hai. Is k elawa sahi moqa se faida uthana aur market me apni entry aur exit ko darust karna bhi aham pehlo hai. Expert trader hamesha market theories, market psychology & dynamics aur money management ki bohut zyada experience rakhte hen, aur in ki waja se wo market me successful bhi rehte hen.
    Charts, patterns, indicators aur software sirf market k basic tools me shumar hote hen. Kamyab trader in ko sirf tools k tawar par dekhte hen, aur istemal ko samajhte hen. Wo trader theory banate hen aur aik strong money management k sath trading karte hen.

    Market Basic Charts:


    Financial markets ya forex trading me sab se ziada istemal hone wale charts darja-zel hen;

    Click image for larger version

Name:	images (314).jpeg
Views:	8
Size:	19.6 کلوبائٹ
ID:	12372033

    Bar Chart:

    "Bar" chart sab se easy hai, har time-frame me, aik vertically "bar" ko ko plot kia jata hai, jo us time-frame me qeematon ki range dekhaye jati hai. Har "bar" me aik left side pe "tick" hoti hai, jo k us ki opening qeemat hoti hai, jab k aik "tick" right side pe hoti hai, jo k us ki closing qeemat hoti hai. "bar" ka sab se uper hisa us time-frame k duran sab se bari qeemat hoti hai, jab k sab se nechay hisa us time-frame ka sab se kam qeemat hoti hai. "bar" ka time-frame 1 tick, 1 minute, 1 day, 3-days, 1 week, 1 month or 3-months aur ya koi bhi mehdod mudad ho dakti hai. Traders k sentiments aur nafseyaat (psychology) trading sessions k duran "bar" k opening qeemat (left tick) aur closing qeemat (right tick) k darmeyan taluq se hoti hai.

    Line Chart:

    "Line" chart dosre charts k muqabele me sab se saaf aur aik hi qeemat yani "closing price" par mushtamil hota hai. Line chart me open price area nahi hota hai, bas ye market me mojoda qeemat ko dekhati hai. Line chart ko high, low, open ya pivot price k leye plot kia ja sakta hai, lekin pore chart me sirf aik hi value honi chaheye. Line charts ko aam tawar par us waqat banaye jate hen, jab market me instruments k darmeyan muwazena karna ho, jaise; spread charts, comparison charts aur relative strength charts k darmeyan muazena kia jata hai. Is k elawa line charts ko chote trends ko dekhane k leye bhi istemal kia jata hai. Ziada tar indicators ko line charts ko dekh kar hi banaye jate hen, jsise ; RSI aur Stochastics.

    Candlestick Chart:

    Financial market me aur khas tawar par forex trading market me sab se ziada istemal hone wale chart me Candlestick chart hen. Candlestick chart ka aghaz Japan me 1600 me howa tha, jo wo rice k karobar me behtari k leye istemal karte the. Candlestick chart ko open aur close price k darmeyan taluq par banaya gaya hai. Aik candlestick aik timeframe ko show karti hai. Candlestick ki real body open aur close qeematon k darmeyan had (range) batati hai, agar candle ki closing price opening price se kam ho to us ki real body ko white color deya jata hai, jab k close price open pori se kam hone pe real body ko black colour deya jata hai. Candlestick k dono atraaf (sides) par "wicks" us candlestick ki timeframe k dowran sab se ziada ya sab se kam qeemat ko zahir karti hai. Candlestick k mukhtalif patterns hote hen, jo k supply aur demand k base pe hote hen. Taqreeban tamam traders line chart aur bar charts ki nisbat candlestick pe trading ko ziada tarjeeh dete hen aur market me istemal hone wale indicators jaise ; moving averrages, trend lines aur RSI ka istemal candlestick chart k sath karte hen.

    اب آن لائن

    Working...
    X