Types of Chart in Forex trading?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Types of Chart in Forex trading?
    Types of chart

    Charts ki 3 types hoti ha

    Line charts
    Bar chart

    Candle stick chart

    3 charts ma sa candle stick chart sab sa zada popular ha ku ka ya zada wazya hota ha
    Chart analysis bhetar tyraka sa hoti ha candlestick pattern sa price movement ko guess karna thora easy hota ha .

    Support and resistance
    Price upr jaya ya neechay seedhi line ma kabhi be nai chalti ha bilka ya upr neechay hoti ha . movement ka bad wapis ik special moqam sa wapis mur kar aya jati ha kuch dar yaha rukna ka bad dobra apna safar shuru kar dati ha is special muqam ko ham log support and resistances kahta ha neechay di gayi shakl sa ya baat waziya ho jaya gi .

    Ham logo ko chayia ka ham log ya support and resistances ki movement ko achi yra sa dekha raha aur in ko movements ko predic karna ki koshish karya aur ham logo ko koi be rade lagna sa pehla chayia ka hm log charts wagra ko be achi yra sa learn kar la aur ham log ko charts ma chayia ka ham log candle stick chart ko lazami samjaha aur is sa hi dek kar trade wagra karna koshish karya ku ka is ma joittni be movement hoti ha wo clear hoti ha aur ya bhot hi popular chart ha . support and resistance wgra ko be acha sa leran karna fir ham log in sab factors ko nazar ma rakhta howa ho trade wagra lagya is sa ham logo ki trade ka profit wagra ma jana ka chances be baqi trades wagra sa thora zada hota ha.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Types of Chart in Forex trading?

    Forex Price Chart Pattern



    Price chart financial market me assets ki past ki qeematon k movement k bare me information deti hai. Price charts ya price charts market k mutaqbil k technical analysis k leye zarori hote hen, q k ye market ki pori structure zahir kar rahi hoti hai. Ye market me aam dekhaye dene wali value hoti hai jis ko indicators ka istemal karne k bad apne matloba nataej hasil keye jate hen. Traders apne leye mukhtalif chrts aur mukhtalif timeframe k hisab se tarteeb de sakta hai. Long term traders apne leye daily, weekly ya monthly timeframe ka intekhab karte hen, jab k short term traders panch minutes se le kar one hours tak ki chart pattern select karta hai.


    Price Chart ki Aqsaam

    Price charts ko tarteeb dene k mukhtalif tareeqay hen jis me sab se ziaada Candlestick chart, Bar chart aur line chart ko qeematon k leye istemal kia jata hai. Traders apni analysis k mutabiq in charts ka istemal karte hen, jin se wo profit hasil karni ki koshash karte hen. Price charts pattern ki tafseel darjaze;

    Click image for larger version

Name:	images (587).png
Views:	3
Size:	2.8 کلوبائٹ
ID:	12415815

    Candlestick Charts



    Price charts candlestick chart analysis k leye sab se ziada istemal hone wala charts hai. Candlestick charts do se ziada candles par mushtamil hota hai, jis me aik candke ki qeemat ko do hison me taqseem karta hai, jis me aik hisa ko "body" aur dosre hese ko "wick" kaha jata hai, body aur wick k melane se ye shakal aik candle ki shakal banati hai, is chart ko is waja se candlestick chart ka naam deya gaya hai. Candlesticks ki body aur us k uper aur nechay aik line jese wick candle ki waqat k sath ziada se ziada aur kam se kam qeemat batati hai. Candle ki body yani candle ka mota hisa timeframe k hisab se open aur close position ko zahir karta hai. Candlestick k color trader khud badal sakta hai lekin aam tawar par agar candle ka rang (color) agar surkh (red/black) hai, to is ka matlab hai k close position open position se kam hai. Isi tarah agar candle ka rang sabaz (green/white) hai, to is sorat me close position ki value open position se ziada hogi. Yani open ki position se close price upper side par hota hai.
    Analysis k dowran candlestick ki body se traders do tarah ki results lete hen, aik sab se pehle candlestick ka size khareed-wa-ferokht ki shedat ko zahir karti hai. Candlestick ki body jitni lambi hogi us doran qeematon ki muntaqeeli ziada howi hogi. Choti body wali candle bata rahi hoti hai k opening aur closing qeematen aik jese ya aik dosre k bohut qareeb hai. Dosre tareeqay me candle ki wick jo body related hoti bohut zyada aham hen. Choti wick wali candle ka matlab hota hai k market me muntakhib karda timeframe me khareedari ya ferokht ka dabao ziada tha, is waja se candle ki wick choti hoti hai. Lekin lambi wick wali candle k asarat is se mukhtalif hote hen, lambi wick wali candle zahir karti hai k khareedari ya ferokht ka amal kuch waqat k leye to zyada tha lekin pore timeframe pe nahi tha. Candle k upper side ki wick ko high price jab k lower side k wick ko low price position kaha jata hai.
    Price chart par candles k leye timeframe ka hona bohut zarori hai. Har trader apne leye aik makhsos timeframe ka intekhab karte hen, jis pe unhon ne market ki analysis karni hoti hai. Candlestick ki timeframe 1 minute se le kar 1 month tak hoti hai, jis me har aik trader apne trading strategy k hisab se timeframe select karta hai. Aam tawar par short term traders aur day traders 1 hours se kam ka time frame select karte hen jab k long term traders ziada timeframe ka intkhab karte hen. Candlestick ka timeframe jitna ziada hota hai signal ki reliability bhi us hisab se achi hoti hai.

    Bar Chart



    Candlesticks chart se pehle Western countries bar chart ka istemal karte they. Bar chart bhi candlestick timeframe se melta julta hai lekin is ki shape aur candlestick ki shape me faraq hota hai. Baar chart ko OHLC baar (open-high-low-close) bhi kaha jata hai. Baar chart bhi candlestick ki tarah chaar qisam ka data deta hai, open, close high aur low. Baar chart me open price aik choti si horizontal line se zahir hoti hai jo k baar k left size pe ban jati hai. Jab k closing price baar k right size pe aik horizontal line se banti hai.
    Bar ka oper wala hisa (opening aur closing line se above) qeematon ki sab se high position aur baar ka nechay (opening aur closing line se) wala hisa qeematon ki sab se kam position ko zahir karti hai. Bar ko bhi candlestick ki tarah apni taraf se color deya ja sakta hai, lekin aam tawar par agar baar sabaz (green) hai to is ka matlab hai k qeematen oper gaye hen, lekin agar baar ka rang surakh (red) hai to ye qeematon ki nechay position batati hai. Bar ki timeframe bhi candlestick ki tarah mukhtalif hoti hai jis ko apni marzi se select kia ja sakta hai. Jo k one minutes se lekar months tak par muheet ho sakta hai.

    Line Chart


    Line chart me sirf market ki closing prices ko show kia jata hai. Line chart pehle do wale chart se bulkul mukhtalif hota hai. Line chart bhi mukhtalif time frame ka hota hai lekin is me sirf aik line hi show hoti hai, jis me humen sirf market ki qeematon ki last closing position zahir ho rahi hoti hai. Bahar hal long term trading k leye line chart ka istemal kia ja sakta hai. Line chart same aik moving averages ki tarah hota hai, jiss main lines prices k up jane par upper jata hai, jab k down side par jane se nechay ata hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X