What is currecncy correaltion ?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is currecncy correaltion ?
    Aslam u Alaikum!


    Dear members i hope ap sab kehriyat sy hon gay, or market main achi earning kar rhy hon gy. Dear agr ap market main kamyabi Hasil karna chahty hain to aapko Hamesha experience k satg kam karna hota hai aur apni learning ko perfect banana hota hai. Tab hi ap kamyabi hasil kar sakte hain.Forex trading mein agar aap successful trading karna chahte hain. To ap ko different factor par study karty hain to ap ko bhot zyda advantages available hoty hain aj main ap ko Reversal And Retracement k related important information share karna chahti hun umeed hai ap es ko achi tara samjhy gay.

    WHAT IS CORRELATIONS IN FOREX TRADING:

    Dear, mairay knowledge k mutabik jab forex market k chart main 2 curriencies ka aik dusray k sath correlation hota hai, jab chart pay 2 pairs same directions main run kartay hain to usay ham positive correlation kehtay hain, aur jab wahi pairs aik dusray k opposit run kartay hain tab ham unko negative correlation kehtay hain.Correlation basically currencies k adad wa shumar ki calculation hai, aur ye number mukhtalif currencies joron k darmeyan mojood taluqat ka andaza lagane me madad kar sakte hen. Correlation k zarye se hasil hone wale number trader apne sarmaye me tabdeeli, aik hi currency jore k elawa bhi wo apne trades ki tadad ko baraha sakte hen, aur ya sirf is baat ka andaza laga sakte hen k unki trading unhen kitna risk de rahi hai. Agar correlation ki sahi tareeqa se analysis ki jaye to ye tareeqa ziada se ziada fawayed hasil karne, waqat ki bachat aur loss wale trades se chutkara de sakta hai.



    HOW TO TRADE CURRENCY CORRELATION IN FOREX :

    Dear, mairay knowledge k mutabik world ki curriencies ka correlation bilkul normal hai, for example ham candial doller (CAD) ki baat kartay hain jiska correlation oil prices say hai, Astralian doller (AUD) ka correlation Newzeland (NZD) say hai aur usk sath sath gold aur cruide bhi is say related hain. Ab yeh sab aik traders pay depend karta hai k us nay kasiay in correlations ko apnay mined main rkahtay hwauy market k chart main Jesa keh aap is chart main daikh sakty hain keh kese yeah do pairs ek dosry k sath negative correlation main ,or kar rahy hain. trading kartay hwuay losses say bachna hai aur kaisay profit ko hasil karna hai.


    PROCESSES:

    Dear, mairay knowledge k mutabik agar ham trading correlation ka acha knowledge hasil kartay hain to hamain market main kaam kartay hwauy double faida hasil ho skata hai qk jahan pay curriencies ka correlation hai wahi pay ham unko hedging kartay hwuay apnay orders ko long term k liye wait aur hold say acha faida hasil kar saktay hain, qk jab market main supply aur demand k time pay ham hedging k douraan cut kartay hain to next hamara order profit hasil karna start kar daiga jis say ham hedging positions say acha benefit hasil kar skatay hain.
    Agar two currency pair ka correlation zero hai tou it means k wo apas mein independent hein and aik pair ki movement sey dusry pair ki movement par asar nae parta aur dono ki movement random hoti hai . Correlation In ko two currencies k bech statistical measure ko kehty hein .

    CURRENCIES AND COMMODITIES KA CORRELATION :

    Dear Currencies joron ki tarah currencies ka commodities ya commodities ka apas me bhi correlation hota hai. Jiase agar market me kham (crude) oil ki qeematon me jab izafa hota hai, to Canadian Dollar (CAD) ki value me bhi izafa hota hai, lekin dosri taraf Crude oil ka American dollar k sath correlation negative hai. Gold ka taluq USD k sath negative correlation la hai lekin Australian dollar k sath ye taluq positive hai.Commodity ka apas me bhi correlation kisi had tak mumkin hai, jaisa k agar jab Gold ki qeematon me izafa hota hai, to Silver, Copper aur dosre metal ki value me bhi izafa hota hai. Isi tarah se oils aur gases ka bhi apas me positive correlation hai.

    ......Forum is a great place for traders talk.......
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is currecncy correaltion ?

    Forex Trading Correlation



    Forex trading market me har cheez kisi na kisi had tak aik dosre se taluq rakhti hai, jab humen us k direction aur us ki mazboti ka pata lag jaye k ye kis had tak strong hai to ye humen bohut faida de sakti hai, ye hamari leye aik acha trading tool bhi ban sakta hai. Asal baat ye k aik trader kabhi bhi aik currency pair pe trade nahi karta, ye baat hamare leye bohut faidamand sabit ho sakti hai, jab humen ye pata chale ga k currency pairs apas me kis tarah chalte hen. Is k leye hum correlation analysis karte hen.
    Correlation ka hisab (calculation) pricing data k zarye se hoti hai, aur ye number mukhtalif currency joron k darmeyan taluqat ka andaza lagane me madad kar sakti hai. Correlation k numbers kisi trader k leye bohut madadgar sabit ho sakte hen, aur us ki analysis asan bana sakti hai. Agar currency correlation ka sahi istemal kia jaye to ye waqat ki bachat, achi karkardagi aur training me karkard sabit hogi.

    Click image for larger version

Name:	images (288).jpeg
Views:	1
Size:	63.2 کلوبائٹ
ID:	12371417

    Correlation me 1, 0 aur -1 number



    Correlation me high mutabiqat k 1 aur kam k leye zero ka istemal kia jata hai. Yani agar do mukhtalif currencies jore apas me bohut ziada qareeb taluq (positive correlated) ho to wo ya to 1 aur ya 1 k bohut qareeb hongi. Lekin agar do currency pair k darmeyan akhtelaf (negative correlation) hen to wo -1 ya -1 k bohut ziada qareeb hongi. Zero (0) yahan pe neutral ka kaam karta hai. Yani dono currency joron ka taluq acha bhi hai aur nahi bhi hai.

    Positive Correlation



    Agar do currency joro ka correlation apas me 1 ya us k qareeb hai to ye positive correlation hoga. 1 correlation hone ka maqsad hai k ye dono jore apas me 100% correlated hen, aik currency pair k up jane se dosra bhi lazmi up jayega. 1 correlation hona aik ideal baat hai, real me aisa mumkin nahi hai. NZD/USD aur AUD/USD apas me positive correlated hen jab k USD/CAD aur USD /CHF apas me positive correlated (taqreeban 0.95) hen.


    Negative Correlation



    Jab correlation ratio do currencies joron k darmeyan -1 ya -1 k qareeb hon to ye negative correlation ban jata hai. Negative correlation me bhi aik pair ka correlation mukamal -1 nahi hota, q k ye aik ideal number hai jis ka matlab hai k 100% correlated hona. GBP/USD ajr EUR/GBP ka strong negative correlation (taqreeban -90) hai.

    Currency pairs and Commodities Correlation



    Currencies pairs to bohut ziada apas me positive ya negative correlated hote hen, lekin financial market me currency ka commodities k sath bhi positive aur negative correlation ka taluq rehta hai. For example; agar gold ki market uper jati hai to AUD/USD currency jore ki qeematen bhi up jana shoro karti hai, yani Australian dollar ka gold k sath strong positive correlation hai. Lekin us k bar-aks American dollar ki value me kami waqea hoti hai, yani gold ka USD k sath negative correlation hai. Isi tarah agar Crude oil ki qeematen up jati hai to EUR/CAD currency pair down jana shoro karta hai, q k Crude oil ka CAD k sath positive correlation hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X