Assalamu Alaikum Dosto!
Incomplete Dark Cloud Cover Pattern
Incomplete dark cloud cover pattern main aik bullish candle bearish trend ki akhari candle par lower side se attack karke market main bearish trend ka khatma karne ki koshash karti hai, lekin kamyab nahi ho pati hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k qeematon ko downward push karti hai. Pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k open pehli candle se below gap main hoti hai, lekin close pehli candle k midpoint ya darmeyan se nechay ho jate hai. Ye position taqreeban ka 50% se below banta hai. Incomplete dark cloud cover pattern ka opposite side ya top price par thrusting line pattern banta hai, jo k bullish trend continuation pattern hai.
Candles Formation
Incomplete dark cloud cover pattern main prices bearish trend k khatme karne k leye aik strong bullish attack hoti hai, jo nakam ho kar bearish trend continuation ka sabab banta hai. Ye pattern bullish aur bearish candles par mushtamil hota hai, jiss ki formation darjazel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Incomplete dark cloud cover pattern main pehli candle aik bearish candle hoti hai, ye candle price k downtrend ko show kar rahi hoti hai, jo k black ya red color ki candle hoti hai. Ye candle aik strong real body main banti hai, yanni candle ki real body shadow se ziada hoti hai.
2. Second Candle: Incomplete dark cloud cover pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k open to pehli candle k bottom par gap main hoti hai lekin close pehli candle k real body main hoti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai, jo k bearish trend ka khatam karne ki nakami ki sorat me bearish trend continuation ka sabab banti hai.
Explaination
Incomplete dark cloud cover pattern two days candles ka aik bearish trend continuation pattern hai, jo k "Belt-Hold Line Pattern" se mushabehat rakhta hai. Lekin Belt-Hold Line Pattern k bar akas ye pattern trend continuation ka kaam karta hai. Pattern ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jiss ko aik bullish candle follow karti hai. Bullish candle bearish candle k bottom par gap main open ho kar ussi k real body k darmeyan se below close hoti hai. Second candle ki closing point pehli candle k midpoint point se above nahi hona chaheye. Ye candle bullish meet line pattern ka bhi hum shakal hai.
Trading

Incomplete dark cloud cover pattern sellers ki market main pressure ki waja se banti hai, jiss main market main buyers ki aarzi dabao ka khatma karke prices k bottom ko bearish trend main continuation karwa deti hai. Incomplete dark cloud cover pattern par trading se pehle aik confirmation black candle ka hona zarori hai, jo k dosri candle k baad real body main honi chaheye, jiss par sellers market main sell ki entry kar sakte hen. Aggar pattern k baad white candle banti hai to pattern ki reliability khatam ho jati hai. Stop Loss k leye pattern ka sab se above position muntakhib karen, jo k pehli candle ka top banega, se two pips above select karen.