Bearish Belt Hold Candlestick Pattern main trade kase karn...?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Belt Hold Candlestick Pattern main trade kase karn...?
    Forex trading main technical analysis buht zarori hai. Tab hi trading Mein successful ho sakte hain. Technical analysis karny k liye candlestick aur chart pattern ap ki buht help krty hain. In candlesticks main, bearish belt hold candlestick, aik buht important pattern hai. Ager ap is candlestick ko apny technical analysis main include kr laity hain to ap ko buht advantage milta hai. Aaj main ap say bearish belt hold candlestick pattern ka knowledge share krna chata hoon. Agar aap is analysis ko apni learning Mein shamil karenge to aap bhi forex trading per acchi trade kar sakenge.

    Bearish Belt Hold Candlestick kiya ha?

    Dear members, yah bahut important candlestick hai. Yah aik trend reversal pattern hai. Yah aik strong uptrend k bad resistance level per banta hai. Jab kisi trend main resistance level per yah candle banti hai to is ka matlb hota hai k uptrend khtum hony wala hai aur downtrend start hony wala hai. Is candlestick ko identify krna buht asan hai. Agar aap chat par dekhen to aap isko easily identify kar sakte hain.

    Bearish Belt Hold Candlestick Pattern ki identification:


    Click image for larger version

Name:	images (32).png
Views:	23
Size:	24.5 کلوبائٹ
ID:	12507049

    Dear members, agar aap chart ko dekhen to isko attendify karna bahut aasan hota hai. Is ki candle strong bearish hoti hai. Jis ki upside pay wick ni hoti aur downside pay wick bilkul na hony k barber hoti hai.

    Bearish Belt Hold Candlestick Pattern main trade kase karn:

    Is candlestick ko daikhny k bad ap ko sell ki trade lagana chaiy kiyon k ye market main jab yah candlestick banti hai to yah show krti hai k market main uptrend khtum hony wala hai aur downtrend start hony wala hai. Ager ap ko yah candlestick kisi resistance level, ya Fibbonacci level per mily to yah buht powerful signal hota hai. Ik professional trader apna analyses complete karne ke bad hi trade karta hai hai tab hi wo successful hota hai

    Chart mai explanation:

    Dear members, main ap k sat chart share kr raha hoon. Bearish Belt Hold Candlestick Pattern ko identify kr k ap boht achi trade kr sakte hain. Ye trading main boht helpful ho gi Is say ap mazeed asani k sath is pattern ko samjh sakty hain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bearish Belt-Hold Line Candlestick Pattern
    Bearish belt-hold line candlestick pattern price chart par aik leading indicator k tawar par kamm karne wala two days ka aik bearish trend reversal pattern hai, jo k bullish trend k dowran prices k semat k change hone se pehle hi trend reversal ka signal de deta hai. Pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k sabeqa trend k mutabiq hoti hai, jab k dosre din ki candle aik bearish candle hoti hai, jo open pehli candle k lower gap main hoti hai, lekin close ussi k darmeyan ya midpoint se kam par hoti hai. Ye candle prices k higher position yanni bullish trend k dowran aik strong prices ki pullback karti hai, jiss se market ka maojoda trend khatam ho jata hai. Pattern ki dosri candle ka lazmi pehli candle k real body main midpoint se below close honi chaheye, yanni dosri candle ko pehli candle k high price ya open price se below close nahi honi chaheye.
    Candles Formation
    Bearish belt-hold line candlestick pattern ki dosri candle k bearish hone k baad market main investor trend badalne par majbor hote hen. Jiss se prices new semat bearish trend ko follow karna shoro karti hai. Pattern main shamil dono candles mukhtalif pattern ki hoti hai, jiss mein pehli candle bullish aur dosri bearish hoti hai, jiss ki tafseel darjazel tarah se hoti hai:
    1. First Candle: Bearish belt-hold line candlestick pattern main pehli candle aik bullish candle hoti hai, ye candle price k uptrend ko show kar rahi hoti hai, jo k white ya green color ki candle hoti hai. Ye candle aik strong real body main banti hai, yanni candle ki real body shadow se ziada hoti hai.
    2. Second Candle: Bearish belt-hold line candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k open to pehli candle k top par gap main hoti hai, lekin close pehli candle k real body k darmeyan se nechay hoti hai. Ye candle color main black ya red hoti hai, jo k bullish trend ko khatam karti hai, aur prices k bearish trend reversal ka sabab banti hai.
    Explaination
    Bearish belt-hold line candlestick pattern main two days candlestick ki pehli bullish candle ke baad, agli candle, jo k wazih tawar par aik bearish candle hoti hai, se gap main open hoti hai, yanni pehli candle se ooper open hoti hai, aur phir pichli candle ke 50% retracement ya darmeyan ke nechay wapas band ho jati hai. Yeh pattern price chart par talaash karna bohat aasaan hai, bunyadi tor par yeh chart patteren hamaray liye jis cheez ko jo ziada numaya kar raha hai, woh market k jazbaat mein aik bearish tabdeeli hai. lehaza, hum jantay hain ke ibtidayi tor par buyers walay control mein thay, jis ki wajah se bullish candle ke douran price higher jati hai, lekin agli candle bearish banne se prices mazeed ooper jane se ruk jati hai.
    Trading
    Bearish belt-hold line candlestick pattern wese to bazate-khud aik bearish signal deta hai, lekin dosre indicators jaise RSI, CCI, MACD indicator aur stochastic oscillator k sath yakja karke istemal karne par aik achah result deta hai. Pattern price action k tawar par bullish trend ya high price area main sell ka signal deta hai, jiss k leye indicators par overbought zone ya aik confirmation candle ka hona zarori hai. Confirmation candle bearish real body main honi chaheye aur dosri candle k bottom par close honi chaheye. Lekin agar pattern k baad bullish candle banti hai, to uss sorat main trade entry nahi karni chaheye. Stop Loss pattern k sab se higher ya dosri candle k top se two pips above set kia ja sakta hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X