Fibonacci Retracement
Fibonacci ratio dar-asal tadad ki aik series hai, jo neutral qeemato me izafay ko bayan karne me madad deti hai. Ye number aik riazidan (mathematician) Leonardo Fibonacci ne daryaft keye they. Fibonacci ratio k pechay basic maqsad ye hai k is ka istemal qeematon k support aur resistance level ko malom karne k leye kia jaye. Fibonacci ratio k zarye se un levels ya position ki nishandahi ki jaye jo traders k leye munafay ka bahis banti hai.
Jab market me qeematen aik trend k hisab se chal rahi hoti hai aur Fibonacci ratio bhi market ka sath de rahi ho to us sorat me qeematon ko tasalsul se chalne deya jaye. Trader trading plateforme software ki madad se Fibonacci Retracement k levels ka hisab laga sakta hai, jis se trader ko andaza ho jata hai k us ko kis level par apna munafa kamane ki zarorat hai. Forex trading me ziada tar traders apne technical analysis me Fibonacci Retracement levels par inhisar karti hai. Fibonacci retracement dar-asal pora aik forex trading ka package hai jis se trading analysis me madad li ja sakti hai.
Fabonacci retracement technical analysis me humen qeematon k support aur resistance ko malom karke trading k dowran take profit aur stop loss ki entry asani se kar sakte hen.
Fabonacci retracement har tarah k timeframe me istemal kia ja sakta hai, yani short term traders bhi same faida hasil kar sakta hai, jo long term k traders lete hen.
Fabonacci retracement ka samjhna aur is pe trading karna sab se asan hai, q k is pattern ki values ki calculation pehle se ho chuki hoti hai.
Fabonacci Retracement ki Tafseel
Fabonacci retracement ya levels ko hum wese bayan nahi kar sakte, is k leye zaroei hai k misal se wazahat karen. Mandarja-zel misal se wazih hota hai k fabonacci retracement ka concept kis tarah istemal kia jata hai. USD/CAD currency jore ka daily chart nechay deya gaya hai, chart ko dekhte howe andaza ho sakta hai k kam changes 0.9799 aur zida badlao 1.0313 par hai.
Chart k mutabiq USD/CAD ki darja-zel levels hen:
1.0116 (0.382 or 38.20%)
1.0056 (0.500 or 50.00%)
0.9996 (0.618 or 61.80%)
USD/CAD k Mandarja-bala chart bullish trend par hai lekin currency jore ne nechay (downward) side pe movement shoro ki hai q k 1.0313 currency jore ki peak point hai. Traders is intezar me hai k currency jore ki ye qeematen fabonacci retracement k 0.382 (38.20%) par ruk jati hai to wo is pe apna reaction dengay. Aur jab bhi qeematen fabonacci retracement k 0.382 (38.20%) par pohunch jayegi to wo aik long-term trade (buy) open karengay, jahan se un ko bara munafa mel sakta hai. Aam tawar par qeematen in levels me se kisi aik par ruk jayegi, q k ferokht (sell) k orders qeematon k leye kafi madad peda karti hai. Agar volatility ki waja se qeematen fabonacci retracement k 0.382 (38.20%) k level ko thorne (break karne) me kamyab ho jati hai, pher traders 0.50 (50.00%) k level ka intezar karengay k aya ye level breakout hota hai k nahi. Agar nahi to traders yahan pe market me lambi entry le sakte hen, warna breakout ki sorat me un ko fabonacci retracement k agle 0.618 (61.80%) tak intezar karna parega, aur agar wo bhi breakout hota hai to ye market mazeed nechay jayegi.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим