Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Mat-Hold Pattern
Bullish mat hold pattern price chart par sabeqa bullish trend ko apni semat main agay ki taraf barhate hen. Pattern panch candles ka aik majmoa hai, jiss main pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jiss se pechle bullish trend ki information melti hai, aur ye candle aik long real body main hoti hai. Pattern ki agli teen candles small real body main bearish hoti hai, jiss main pattern ki dosri pehli bullish candle k top side par gap main open hoti hai, lekin close ussi k real body main hoti hai. Pattern ki teesri aur chothi candles pehli candle k real body main aur close dono hote hen. Pattern ki small real body wali candles se prices bullish side par mazeed upward jane se thora sa rok jati hai. Jab k last candle wapis bullish trend karwati q k ye aik long real body wali bullish candle hoti hai.
Candles Formation
Bullish mat-hold pattern main shamil panch candles up aur down dono patterns k hote hen. Ye candles bullish trend ko waqti tawar par kuch lamhe k leye rok to leti hai, lekin last candle ki waja se prices wapis same sabeqa trend par chalti hai;
1. First Candle: Bullish mat hold pattern ki pehli candle aik lobg real body wali bullish candle hoti hai, jo k sabeqa bullish trend ki akasi karti hai. Pattern ki ye candle white ya green color main hoti hai, jo k ziada tar bagher long shadow k hoti hai.
2. Second Candle: Bullish mat hold pattern ki dosri candle aik small bearish candle hoti hai, jiss ka open to pehli bearish candle se above gap main hota hai, lekin close pehli candle ki real body main hota hai. Ye candle black ya red color main hoti hai.
3. Third Candle: Bullish mat hold pattern ki teesri candle bhi small real body main hoti hai, jo k aksar to bearish candle hoti hai lekin ye bullish bhi ho sakti hai. Ye candle bhi pehli candle ki real body main banti hai.
4. Fourth Candle: Bullish mat hold pattern ki chothi candle same small bearish candles ki tarah banti hai, aur ye bhi white ya green main hoti hai. Ye candle bhi pehli candle ki real body main open aur close hoti hai, lekin teesri candle k top par banti hai.
5. Fifth Candle: Bullish mat hold pattern ki last aur fifth candle aik long real body main hoti hai, jo k chothi candle k baad top par open ho kar teeno small candles k lower par close hoti hai. Ye candle white ya green hoti hai, jo ziada tar bagher long shadow k hoti hai.
Explaination
Bullish mat hold pattern dekhne main "Rising Three Methods Pattern" aur Three line strike pattern se melta julta pattern hai, jo bullish trend main banta hai, jo trend continuation k leye jana jata hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bullish candle hota hai, jiss k baad small real body main teen bearish candles hote hen. Small dosri bearish candles pehli candle ki real body main open ho kar uss k real body main close hoti hai. Jab k teesri aur chothi small candles open aur close pehli candle ki real body main hoti hai. Pattern ki akhari candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo teeno small bearish candles k bottom par open ho kar uss k above close hoti hai.
Trading

Bullish Mat hold pattern prices k leye buyers k market main ziada positive dilchaspi ki waja se banta hai, lekin kuch waqfay k leye market main gap banta hai, jiss k leye sarmayakar soch rahe hote hen, k aya same trend par prices ko continue hona chaheye ya trend reversal hona chaheye, lekin akher main faisala trend continuation k haq main hota hai. Bullish mat hold pattern k leye bullish candle k baad market main buy ki entry hoti hai, jo k confirmation candle k leye ziada achah result deta hai. Stop Loss pattern k sab se lower ya bottom par hona chaheye, jahan par pehli bullish candle open hoti hai, se taqreeban two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим