Spinning Top Candlestick Pattern
Spinning top candle stick pattern me candle ki body ki nisbat uper and down aik bara saya (shadow) hota hai. Candle stick ki body saye (shadow) k center me hota hai, yani jitna saya oper (uper) hota, utna hi down side pe bhi hota hai.
Spinning top candle stick pattern ko pattern k lehaz se do qismen hen:
1. Bullish Spining Top
2. Bearish Spinning Top
2. Bearish Spinning Top
Bullish Spinning Top
Bullish Spinning top candle stick me candle ki close position open se bari hoti hai, lekin candle ki overall range se choti hoti hai. Candle ki pori real body uper aur lower shadow k lambaye k majmoe se lazmi choti honi chaheye.
Bullish Spining Top Candle ki Tafseel
Ye aik bullish candle hogi, q k is ka close position open se ziada hota hai. Spinning top candle market ki be-yaqeeni ko zahir karti hai, aur is ko aam tawar par sideways trend tasawar kia jata hai.
Agar ye kisi up-trend k bad banti hai to ye downtrend ki taraf ishara karti hai, lekin agar ye downtrend k bad banti hai to us sorat me ye bullish trend ki signal de rahi hoti hai.
Bearish Spinning Top
Bearish Spinning top candle me body overall shadow k length se kam hoti hai, lekin candle ki real body shodow k bulkul darmeyan me waqa hoti hai. Is ka opening position closing se nechay side (downward) hona chaheye.
Bearish Spinning Top Candle ki Tafseel
Ye aik bearish candle honi chaheye. Ye candle bullish aur bearish dono positions ko neutral kar deta hai aur is me kisi bhi aik side ko sabqat jaat hasil nahi hoti hai. Is k banne k bad market me gher yaqeeni soratehal hoti hai.
Agar Black Spinning top trending market me banti hai to ye market ki continuation ko zahir karti hai, lekin agar ye bullish market k bad banti hai to ye trend reversal ki taraf ishara karti hai. Bearish trend me banne k bad bhi ye trend ko reverse kara sakti hai.
Spinning Top Candlestick Pattern pe Trading
Spinning top candle stick pattern me color ki koi mane (importance) nahi hai, q k candle ki body k up aur down dono sides pe shadow same hen, jis ka matlab hai, k supply aur demand aik barabar hen. Candle stick ka color to ziada aham nahi hai lekin is ki position bohut aham (important) hai.
Agar Spinning top candle stick ( black or white) kisi trend me ban jati hai, to ye market k tasalsul ka signal de rahi hai, lekin agar ye bohut ziada high (rally) market me banti hai to ye market ki trend reversal ki taraf ishara karegi, lekin agar ye bohut ziada mand wali market me banti hai to ye bhi trend ki upside pe jane ka ishara de rahi hogi. Is waja se market k trend ko dekhte howe Spinning top candle stick pe trading karen. Koshash karen k market me agli candle kon si banti hai us se wazih ho jayega k market ab kis semat me jana chahti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим