Technical Analysis Ka Istamal
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Technical Analysis Ka Istamal
    Point Of View

    Friends analysis Krny k liye hmary pas knowledge ka Hona bht zaruri hy.agr hmary pas knowledge ho ga to easily market ke movement ko study kr skty Hain. knowledge hasil Krny k liye Hmain demo account pr zyada Sy zyada practice krni chaheay.jitna zyada knowledge ho ga itna he hmary liye kaam krna easy ho Jata Hy.

    What is technical analysis:


    Market ke price ko study Krny ko technical analysis kehty Hain. Technical analysis Ko Krny k liye ap ko different factors pr apni learning Ko complete krna hota hy or us sy faida Hasil krna hota hy. Agr ap market Mein kamyabi Hasil krna chahty hain to es mein ap ko technical analysis pr bahut zyada focus krna hota hy or es ko achi trha smjh Kr apni trading Mein shamil krna hota hy. Technical analysis ko smjhny ke liye ap ko es ke proper study krni chaheay.
    Click image for larger version

Name:	images.jpeg
Views:	2
Size:	38.9 کلوبائٹ
ID:	12506646

    Trading with technical analysis:


    Dear members Agr ap forex mein successful trading krna chahty hain to ap ko Technical analysis kr k Market mein achi entry leni chahye ta k ap acha Profit hasil kr skein , or es k elwa ap apny technical analysis ki learning Ko mukammal krna chahty hain to es mein ap Forex form pr b learning hasil kr sakte hain or es k sath social media k through b knowledge hasil Kiya ja skta hy. jo ap ke technical analysis ko bahut zyada perfect bna skta hy. Agr ap market Mein technical analysis ki basis pr entry lety Hain to es k sath sath ap ko fundamental analysis ko bhi strong bnana hota Hy ,tb he hm successful trading Kr skty Hain.
    Click image for larger version

Name:	images (1).jpeg
Views:	32
Size:	37.3 کلوبائٹ
ID:	12506647

    Use of technical analysis:


    Technical analysis ke kuch requirements hoti hain or es ke aik proper study or calculation hoti Hy market mein sometime technical analysis totally ignore Ho jaty hain, lekin Jb ap market ko technically understand kr lty hain to es k bd ap ke trading maximum safety level pr depend kr sakti hy or ap apne account ki safety level ko bahut Acha bna skty hain ap ko hmesha technical analysis ke basis pr he apni trading karni chaheay, Kun k technical analysis Ek asy important factor hoty hain jo ap ko maximum profit k sath ap k account ke safety level ko bhi increase kr rahy Hoty hain.Technical analysis Krny k liye hm different indicators ko b use krty hain,jo analysis Krny mein bht help Krty Hain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Technical Analysis Ka Istamal

    Technical Analysis


    Technical analysis me traders mukhtalif qisam k technical tools ka istemal karte hen, jo humen forex trading plateforme se me mel jate hen. Technical tools qeematon k sabeqa movement ko mojoda movement k sath mushabehat karte hen, jis se wo market k agli situation k bare me batate hen. Market me qeematen hamesha aik khas trend ya aik khas rules k mutabiq movement karti hai, is waja se technical analysis bohut zyada successful rehte hen.
    Technical analysis na sirf traders ko market ki soratehal se agah karte hen, bulke ye traders ko market me entry aur exit ki bhi pori information dete hen. Trading me trading plan k mutabiq take profit aur stop loss ki munasib position k bare me batate hen.
    Technical analysis me traders ya analyst qeematon ki bunyadi harkat (movement) ka mutalea (study) karte hen. Analysis k dowran traders qeematon ki pehle movements ko mojoda trading soratehal k sath muwazena karte hen, aur mustaqbil ki movement ka tayun (prediction) karte hen.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220216_091042.jpg
Views:	1
Size:	129.1 کلوبائٹ
ID:	12370544

    Technical Analysis me Istemal hone wale Tools:


    Technical analysis aik candle par bhi mumkin hai aur long pattern k chart pattern par bhi muheet ho sakte hen. Is waja se technical analysis karne k leye traders mukhtalif qisam k tools ka sahar lete hen, jin ki tafseel darja-zel hai;

    Candlestick Pattern


    Candle stick pattern mukhtalif shape aur pattern k hote hen, jis me candles ki tadad mukhtalif hoti hai. Candle stick pattern aik candle k bhi ho sakte hen, jaise; doji candle Marubozu candle, Hammer candle waghera. Candlestick ka normal market me ziada amal dakhal nahi hota, lekin agar ye high price area jaise bullish trend ya low price area jaise beariah trend k baad bante hen, tab in ki ahmeyat barhti hai. Candle stick pattern do ya do se ziada candles ho sakti hai, haise bullish and bearish Kicking Pattern, bullish and bearish harami candles, bullish and bearish baby abandoned waghra, shamil hen.

    Chart Patterns


    Technical analysis me chart pattern ka bhi istemal bohut zyada hota hai, aur aksar ye chart pattern long term k traders istemal karte hen, jo k un k leye bohut profitable bhi hote hen. Chart pattern me kafi ziada candles hoti hen, aur in pattern ko malom karna thora mushkil zaror hota hai, lekin ye pattern trading me payedar hote hen. Chart patterns me, bullish and bearish symmetrical triangle pattern, bullish and bearish Pennants pattern, flag pattern, diamond pattern waghera shamil hen.

    Technical Indicators ka Istemal


    Technical analysis k leye sab se ziada technical indicators ka istemal kia jata hai. Wese normal dekhne me to ye indicators itne ziada mushkil dekhaye nahi dete, lekin is ko trading k mutabiq mukamal seekhna thora mushkil zaror ho sakta hai. Technical indicators market ki sabeqa qeematon ko janchte hen aur un se aik khas qisam k result lete hen aur pher us ki bunyad pe humen agli movement k bare me information dete hen. Technical indicator me pehle se mathematically sare formule mojood hote hen, jin hamare asane k leye tarteeb deye hote hen.

    Indicator aur Chart Pattern ka Combined Istemal


    Technical analysis me ziada tar analyst candlestick chart pattern aur technical indicator ka combined karke istemal kia jata hai, jis se analyst behtar result hasil karte hen. Technical indicator k sath price action aur candle pattern market ki movement ka sahi semat batati hai. Ye humen breakout ya breakdown k soratehal se behtar waqif kawati hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X