Assalamu Alaikum Dosto!
Upside Gap-Filled Pattern
Price chart k continuation pattern hamesha reversal pattern ki nisbat ziada reliable aurbkamyab rehte hen. Continuation patterns ki kamyabi ka tanasub bhi ziada hota hai, aur jab bhi ye new breakout area main bante hen to prices ko bohut teezi k sath ussi trend ki semat me le kar jate hen. Upside gap-filled pattern bhi aik trend continuation pattern hai jo k prices k bullish trend ya sideways trend main banne par prices ko uptrend main continue karwata hai.
Upside gap-filled pattern teen candles par mushtamil hota hai jiss main pehli candle aik real body wali bullish candle hoti hai, jiss k baad aik dosri candle pehli candle se upside par above gap main banti hai, ye bhi same bullish candle hoti hai, jab k last par aik bearish candle dosri candle k real body main open hoti hai aur pehli candle k real body main close hoti hai. Pehli aur dosri candle k darmeyan reh jane wala gap bearish candle filled karti hai. Bearish candle trend reversal ki nakam koshash karti hai, jiss se prices same bullish trend main chalti hai.
Candles Formation
Upside gap-filled pattern aik bullish continuation pattern hai, jiss main teen candles shamil hoti hai, jiss main pehli aur dosri candles bullish aur teesri candle aik bearish candle hoti hai. Upside gap-filled pattern ki teeno candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Upside gap-filled pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k prices k bullish trend ki information deti hai, ye candle bullish hone ki waja se white ya green color main hoti hai.
2. Second Candle: Upside gap-filled pattern ki dosri candle bhi same bullish pattern ki hoti hai lekin ye candle pehli bullish candle se top par gap main banti hai. Ye candle bhi bullish hone ki waja se white ya green color main hoti hai.
3. Third Candle: Upside gap-filled pattern ki teesri candle aik bearish candle hoti hai, jo k open to dosri bullish candle k real body main hoti hai, lekin close pehli candle k real body main hoti hai. Ye candle bearish pattern ki hone ki waja se black candle red color main hoti hai.
Explaination
Upside gap-filled pattern main pehli do candles bullish pattern ki hoti hai, jiss ka apas main pattern "Gap up" ka hota hai. Ye dono candles bullish trend ki mazboti ka ishara deti hai. Pattern ki last candle dosri bullish candle k real body main open ho kar pehli candle k real body main close hoti hai. Pattern ki teesri candle pehli aur dosri candle k darmeyan banne wala gap close fill karti hai. Pattern ki dilchasp baat ye hai k teesi candle k bearish attack bawajood bhi ye candle bearish trend ka khatma nahi kar pati hai. Upside gap-filled pattern new bullish breakout ya sideways trend main bohut teezi k sath prices ko uptrend main le kar jati hai. Ye aik continuation pattern hone ki waja se bohut relaible pattern hai. Upside gap-filled pattern dekhne "Upside Two Crows Pattern" se melta julta hai.
Trading

Upside gap-filled pattern market main bullish side par buy ki entry se hoga. Trades lagane se pehle pattern ki confirmation hona zarori hai q k aik to pattern k last par aik bearish candle banyi hai aur dosra ye bullish trend main hota hai, iss waja se confirmation candle se entry main asani rehti hai. Bearish candle k baad agar aik bullish candle banti hai to uss par market main buy k trades open ki ja sakte hen. Pattern k leye Stop Loss lagana zarori hai, jo k pattern k sab se down position ya pehli candle k low prices se do pips lower par set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим