What is Concept of Lot Size and it's Major Types in Trading.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Concept of Lot Size and it's Major Types in Trading.
    Aslam u Alaikum!


    Dear members mujy umeed hai ap sab kehriyat sy hon gay, or market main achi kam kar rhy hon gy. agr ap market main successful hona chahty hain to ap ko Hamesha experience k sath kam karna hota hai aur apni learning ko perfect banana hota hai. Tab hi ap kamyabi hasil kar sakte hain.Forex trading main agar ap successful trading karna chahte hain. To ap ko different factor par study karty hain to ap ko bhot zyda advantages available hoty hain market mein lot size aik bahut hi important factor hota hai, jisko carefully study karna aapke liye zarori hota hai, kunk aap agar is factor ko properly study nahin krty Hain, tu definitely ismein aap Kay liye difficulties ho sakti hain, or aapki effective trading possible nahin hoti hai.

    LOT SIZE:

    Dear Lot size basically aik international standard Kay mutabik aik eisi quantity hoti hai, jiski basis per aap market mein entry laty huy is quantity ko select krty Hain, is ki basis par ap ko par PIP movement par profit / loss ho sakhta hai.



    TYPES :

    Dear Forex trading market mein ap ko following mentioned lot sizes available ho sakte hain, Jin ko aap apni trading activities main include kar sakhty Hain.

    USE OF STANDARD LOT:

    Dear Standard lot basically 100,000 USD units per include hoti hai, jisko aap mathematically 1.0 sa show krty Hain. Iska matlab hota hai ap market main 100,000 units ki basis par Trading Kar rhy hain. No doubt Forex trading market mein ya sb sa zyda risky lot size hoti hai, is main aap ko maximum advantages or losses hony Kay chances ho sakhty Hain. Agr ap soch samjh kar kam krty hain to ap ko bhot zyda advantages available hoty hain. Agr ap market main jaldbazi krain gay to ap ko es main loss b ho sakhta hai. Is liye aapko hamesha standard lot size ki selection aik acchi entry or experience ki basis per krni hoti hai. Isko utilise krny Kay liye aapko pas definitely account balance bhi acha hona cheye.

    USE OF MINI LOT:

    Dear members Forex trading market mein jab aap mini lot size ki selection karte Hain, tu ismein aapko 10,000 USD dollers Units ki basis per apni trading activities ko complete karna hota hai, or aap is lot size ko denote krny Kay liye 0.10 ki selection krty Hain. Maximum traders is lot size ki selection karte Hain, kunk is main risk as compared to standards lot bahut Kam hota hai.

    USE OF MICRO LOT:

    Micro lot size ki study karte Hain, to aap ko yah idea milta hai, Kay basically ya lot size 1000 USD units per mushtamil hoti hai. Or isko aap show krny Kay liye 0.01 sign use krty Hain.es main ap ko lot size ki selection soch samjh kar lagani ho gi, Ya bahot hi save trading krny main bahut zyda helpful hoti hai. Ismein aapko hamesha bahut hi minimum profit or nuksan ho raha hota hai.

    OTHER DETAILS :

    Dear market main jab ap kam karty hain to ap different candlestick k proper information honi chahye jab ap k analysis strong hon gay to ap ko fayda ho ga es ki further details main ap sy chart main share krun gi or ap jab apni lot size ki selection apny account k k hisab sy lagty hai to ap mo es main achaa fayda bhi hota hai or es k against loss b ho sakhtahai es liye ap ko risk leny sy pehly market ko achi tara judgement karna chahye ta k ap successful trading kar sakyn..

    ......Forum is a great place for traders talk.......
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is Concept of Lot Size and it's Major Types in Trading.

    Lot Size


    Financial market me trading k leye jo bhi position open ki jati hai, wo lot aize ki madad se hi ki jati hai. Lot size ka kam ya ziada hona trading account main maojood balance, leverage, assets (currencies pairs ya commodities) spreads aur margin par munhasir hota hai. Lot size k ziada ur kam hona nafa aur nuqsan par bhi asar andaz hota hai. Lot size forez trading k leye basic main aik hai jiss ka janna har aik trader k leye bohut hi ziada zarori aur aham hai. Lot size ka risk reward ratio, risk management, money management se bar agehra taluq hai, jiss se trading bohut asar andaz hoti hai.
    Lot size ki selection sab se pehle account k balance par muhasir hota hai, k agar aik trader k account main balance ziada hoga to wo ziada lots k trades ka ahal hpta hai. Jab k uss k baad account ka leverage ata hai. Leverage se bhi trading lot par asarat hote hen, q k ziada leverage se ziada lot size k trades open ho sakte hen, jab k kam leverage se kam trades open hote hen. Spreads ya commission jin assets ka ziada hota hai, uss par bhi trades k lot size kam open hote hen, jab k kam spreads ya commission wale assets par ziada trades lots open hote hen. Margin ziada hone se lot sizes barh sakte hen, jab k kam hone se lot sizes bhi kam trades hote hen.
    Lot sizes nafa aur nuqsan bhi asar andaz hote hen, kion keh ziada lots ya bare lot se trades open karne par uss par munafa ki sorat main achi amount to mel sakti hai lekin loss ki sorat main nuqsan bhi ziada hota hai. Aksar bare lot size se hi jaldi account wash hote hen, yani account ka mukamal safaya ho jata hai. Risk management se lot size ko control main rakha jata hai jiss se trader apne account k mutabiq muhtat tareeqay se lot size ka intekhab karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (237).jpeg
Views:	14
Size:	25.7 کلوبائٹ
ID:	12368444

    Standard Lot Size

    Standard lot size aik broker k trading k leye faraham karda sab se ziada mumkina muahede ka size hai. Standard lot size me 100,000 units hote hen. Yani agar EURUSD ka current rate 1.23456 ho to 1 standard lot size k mutabiq 100,000 EUR khareedne k leye 123456 USD ki zarorat paregi. Standard lot size ko mazeed chote sizes me taqseem kia jata hai, jo k mini, micro aur nano lot size ban jate hen. Forex trading me sab se ziada 100 standard lot size tak hi aik trade open ki ja sakti hai.
    Maximum lot aik transaction k leye lots ki maximum tadad hai,
    Misal k tawar par, 5 standard lots 5 × 10 = 50 oil barrel jab k 5 mini lot 5 × 1 = 5 oil barrel hongay.

    Mini Lot Size


    Aik mini lot (minilot) standard lot k 0.1 ya 10,000 base currency unit hote hen. Mini lot size standard lot k 10% k barabar hota hai, jis me traders 10,000 base currency units ki trading karte hen, is waja se is k leye kam volume ki zarorat hoti hai.


    Micro Lot Size


    Aik micro lot size (microlot) me standard lot k 0.01 ya 1,000 base currency units hote hen. Micro lot size mini lot size ka 10% jab k standard lot size ka 1% banta hai. Is me trader 1,000 base currency units me trading kar sakta hai,is waja se is k leye mini lot se bhi kam volum ki zarorat hoti hai.

    Nano Lot Size


    Aik nano lot size (nanolot) me standard lot k 0.001 ya 100 base currency units hote hen. Nano lot size micro lot size ka 10%, mini lot size ka 1% jab k standard lot size ka 0.1% banta hai. Ye sab se small lot size hai, is waja se is k leye sab se ziada kam sarmaye ki zarorat hoti hai. Nano lot size me 100 base currency units me trade ki ja sakti hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X