Assalamu Alaikum Dosto!
Three Black Crows Pattern
Jab bhi aik bullish trend ya high prices area main teen black or green lagatar candles three black crows candlestick pattern banate hen. Ye pattern bearish trend reversal k leye jana jata hai, jo k bullish trend k akher main banta hai. Three black crows candlestick pattern risk reward ratio main sab se best pattern hai. Pattern ki teeno candles shape main ya length main taqreeban aik jaisi hoti hai, jiss main har agli candles ka open price pechli candle k open price se downward side par low hota hai. Traders iss pattern ko sellers ki pressure k tawar par dekhte hen, jiss se prices mazeed bearish ja sakti hai. Ye chart pattern bullish trend k ikhtetam aur buyers se sellers main market k cotrol k mutaqeli ka ishara deta hai.
Candles Formation
Three black crows candlestick main teen bearish candles aik dosre k bottom par open aur close hoti hai. Ye pattern top price pe bullish trend reversal aur bearish prices par bearish trend continuation ka kaam karta hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Three black crows candlestick main main pehlee candle aik strong aur real body wali bearish candle bantti hai. Jo k trend k main tasalsul ki alammat hai. Ye candle black ya red color main hotti hai.
2. Second Candle: Three black crows candlestick main dosree candle bhi pehlee candle ki tarrah aik strong aur real body wali bearish candle hotti hai, jo k color main black ya red main bantti hai.
3. Third Candle: Three black crows candlestick main teesree candle bhi same pehlee two days candles ki tarrah bearish candle hi hotti hai, jo k color main black ya red hotti hai. Ye candle bearish pattern ki mazbotti main mazzeed izzafa kartti hai.
Explaination
Three black crows candlestick aik strong bearish trend reversal pattern hai jo k bullish trend main banta hai, jo semat ki tabdeeli ki nishan-dahi karta hai. Ye pattern teen lagatar bearish candles par mushtamil hai jo aik dosre k low par open aur close hoti hai. Ye pattern wese bagher confirmation bhi aik strong bearish signal deta hai, k ab bearish trend reversal hone wala hai. Pattern ki dosri candle pehle candle se size main bari hoti hai, jab k dosri aur teesri candles size main taqreeban same hoti hai. Iss pattern k teeno candles k up aur down par wick nahi hoti, jiss se pattern ki mazboti ka pata chal jata hai, k market sellers k control main hai. Ye pattern wese resistance zone k qareeb ziada banta hai, jiss se prices support levels ki taraf harkat karna shoro karti hai.
Trading
Three black crows candlestick pattern price chart par bagher k banne se aik strong message melta hai, k ab market mazeed upper jane muatahamel nahi ho sakta hai. Iss waja se ye pattern jab bhi bullish trend ya high price main banta hai, to ye bearish trend reversal ka aik strong signal deta hai. Yahan par market main sellers active hone ki koshash kartte hen. Ye pattern sideways market main ban sakta hai, jiss ka rawaya same bearish trend ka hi hota hai.
Trading k leye bearish trend ki continuation aur bearish trend reversal dono main prices bohut teezi k sath bearish jati hai. Three White Soldiers pattern main trade open karne se pehle trend confirmation ka indicator se zarror karen, q k aksar ziadda peak value par market main entry bare loss ka bhi sabbab bantti hai. Pattern ki trend confirmation price action yanni aik aur bearish candle se bhi ho saktti hai. Stop Loss ko pehli candle k upper point ye aggar ye candle size main small ho yo dosri candle k top price par set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим