Exponential Moving Average Indicator Trading Strategy

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Exponential Moving Average Indicator Trading Strategy
    Exponential Moving Average (EMA)

    Dear Friend, exponential moving average aik technical indicator ha jis ko Patrick Mulloy na develop kia, is ma hm 2 exponential moving averages ko use kartay hain, ye price changes par quick responce daita ha jis ka mtlab ye ha k day traders aur swing traders in sa acha faida hasil kar saktay hain, is indicator k zariay hm price ki uptrend aur downtrend ma strength ko b maloom kar saktay hain, ye hmain support aur resistance k baray ma b achi infirmatiin daita ha,

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-02-12T085740.317.png
Views:	12
Size:	19.8 کلوبائٹ
ID:	12504131

    Working Mathod of EMA

    Exponential Moving Average indicator range bounded markets ki bjay trending markets ma behtar results faraham kartay hain, is ma crossover signals bht commonly use hotay hain jis ma hmain exponential moving average ki line ko price bars sa cross karnay ka wait karna parta ha, ya short term EMA ko long term EMA ki crossing par depend karna parta ha jis sa trend ma change zahir hoti ha, ye crossovers normal EMA's sa jaldi respond kartay hain, jis sa hmain trend reversal ka jaldi pata chal jata ha, isko hm dusray signals ya anaylisis techniques k sath combine kar k yse karnay sa achay results hasil kar saktay hain,

    Click image for larger version

Name:	images (6) - 2022-02-12T085734.793.jpeg
Views:	1
Size:	41.6 کلوبائٹ
ID:	12504132

    Average Calculation

    Exponential Moving Average ki calculation k liay hmain pehlay step ma simple moving average maloom karna parta ha, 2nd step ma exponential moving average find kartay hain aur final step ma hasil shuda exponential moving average ko 2 sa multiply kar k us ma sa smooth moving average ko minus kar daitay hain, EMA divergence ko b identify karnay ma helpfull ha ye Hull moving average k similar ha, jb b 2 EMA crossover kartay hain prices ki moment reverse ho jati ha.

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-02-12T085754.999.png
Views:	3
Size:	30.0 کلوبائٹ
ID:	12504133

    Good Points About Exponential Moving Average

    Trader or investor EMA ko market analysis k lae use karty hain. Moving average ko widely technical analysis tool ki sorat ma use kiya jata hai. Ye technique market k long term trend ko find or analyze karny k lae use kiya jata hai. Agr moving average ko observe kiya jae to ye lagging indicator hai. Ye market ka bhot quicker or responseable indicator hai. DEMA investor or trader ko long term trend ko find karny ma help karty hain. Bhot sary tradet DEMA ko use karty hain market reversal ko find karny ma b help karta hai. So eski help sy he trader ko buying or selling oppertunities mel jati hai. Trader ko but kisi b strategy ko blindly follow ni karna chahe balky esk sath apna experience b use karna chahe. Kiu k market ki state bhot complex hoti hai or ye kisi b indicator ko ya strategy ko 100 percent follow ni karti balky ye hae move ma new spots ko pick karti hai or trader wo he es ma kamyab ho sakta hai jis k pass experience acha ho. Jis trader k pass acha experience ni ho ga wo market ma bhot suffer kary ga. Kiu k experience usko market sy deal karny ma bhot help karta hai. Trader ko loss ho ya profit wo apni experience sy better account management kar sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (6) - 2022-02-12T085728.771.jpeg
Views:	10
Size:	30.8 کلوبائٹ
ID:	12504134
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Exponential Moving Average Indicator Trading Strategy

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Exponential Moving Average


    Exponential Moving Average basic "Morning Average" ka aik pechida shakal hai, jo kisi makhsos timeframe k average ki calculation karte waqat sab se latest data point ko made nazar rakhti hai. EMA iss baat ki zamanat deta hai, k porane data points aur duhraye jane wale data points ka indicator par wahi asar nahi parega, jaisa k taza tareen deta points ka hota hai. Simple moving average main sare data ko same value k hisab se calculate kia jata hai lekin EMA ki calculation haleya data point par ziada focus ki waja se uss se mukhtalif hai.
    Simple moving average main aik nuqas ye hai k iss main pechle data k aham points par bulkul bhi focus nahi kia jata hai, jiss ki waja se bohut sare halat main ye value darust sabit nahi hoti hai. Misal k tawar par agar aik compney ka data uss k stock exchange data se ziada behtar sabit hota hai, to simple moving average uss ko focus nahi karta hai, aur iss ko zahir karne main kafi time lag sakta hai.
    Exponential moving averages iss k bar akas maojooda trends par zoor de kar iss qisam ki adjustment ko behtar banata hai. Baqi ye traders par depend karta hai, k wo haleya data ko kitna zarori aur aham samajhta hai, to wo uss k hisab se apni adjustment kar sakta hai. Iss bunuad par EMAs simple moving average se ziada moasar aur behtar sabit hote hen.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (275).jpeg
Views:	2
Size:	40.8 کلوبائٹ
ID:	12368285


    EMAs Calculation


    EMAs ki calculation bhi SMAs se mukhtalif hai, yanni calculation k tareeqay kar main thora sa difference hai. SMAs ki calculation bohut asaan hai. Misal k tawar par, agar aik 20 dino ki SMAs ki calculation karni hoti hai, to iss main yotal closing price ko total days par divid kia jata hai, jiss se 20 dino ka total SMAs calculate ho jata hai, jo k sare price k leye aik jaisa hota hai.
    EMAs iss se thora sa mukhtalif hai, iss main haleya data ko ziada focus kia jata hai, jab k SMAs main sab ki calculation same hoti hai, agar 10 days SMAs ka EMAs malom karna ho to18.18% (Traders ki apni marzi par depend karta hai) se zarab deya jata hai, lekin issi tarah se 20 days EMAs ka result 9.52% ata hai, yani ye calculation aseets k value par depend karta hai. EMAs ki calculation main closing price ki bajaye open, high, low aur medium price par ki jati hai.

    EMA = Closing price multiplied by multiplier + EMA (prior day) multiplied by multiplier (1-multiplier)



    Explaination and Usage of EMAs

    12 aur 26 days k Exponential Moving Average ka aksar istemal kia jata hai, jo k short term k trading k elye bhi bohut ziada istemal kia jata hai. Kuch indicators jaise moving average convergence divergence (MACD) bulkeh sath hi sath percentage price oscillator bhi 12 aur 26 days EMAs k base par banaye gaye hen. Iss k elawa 50 days aur 200 days k moving averages ko long term trading k leye design keye hen, jab bhi kisi assets ki prices 200 EMAs tak jati hai to yahan par trend reversal hone k pake chances hote hen.
    Moving averages ka istemal agar munasib tareeqay se technical analysis main ki jati hai to ye traders k leye bohut ziada faida mand sabit hote hen. Lekin inn indicators ka ghalat istemal bohut bare pemane par losses ka sabab bhi ban sakten hen, jinn ka janna aik trader k leyw bohut zarori hai. Moving averages k sare indicator jo technical analysis main istemal hote hen wo lagging indicator main shamil hote hen.
    EMAs simple moving average ki nisbat ziada fast signals deta hai, q k ye indicator taza tareen data ki analysis karta hai, jab k simple moving average sare data ko yaksan ahmeyat deta hai, jiss ki waja se SMAs thora sa lagging indicator sabit hota hai, jab k single k base par EMAs ziada tez hai.

    Trading

    Trading k leye traders moving averages k bagher analysis nahi kar sakte hen, EMAs traders k leye market main entry aur kuch had tak exit ka signal bhi deta hai. Lekin koi bhi indicator akele bohut ziada accurate signal tab tak nahi de sakta hai, jab tak uss k sath dosre indicators ya prices action ko sath shamil nahi kia jata hai. Moving average k line tak prices pohunchne par aksar yahan se trend reversal hone knchances hote hen, jo k long term k trading k leye ziada perfect signal dete hen. Traders ko dosre indicators k base par market main entry aur exit k sath take profit k sahi position ka intekhab karna chaheye.

    اب آن لائن

    Working...
    X