What is Support and resistance?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Support and resistance?
    INTRODUCTION:


    Dear is market mein agar aapane jab Tak es ke related proper learning aur knowledge Hasil nahin karenge aapko ismein benefit nahin ho sakta. isliye is market ke bare mein proper study Karen aur apna knowledge jyada se jyada increase Karen. Trading ko samajhne ke liye aapko experience or knowledge ki jarurat padati hai. isliye isko proper time de aur mehnat Karen trading mein support and resistance ke bare mein study karna bahut jaruri hai.

    WHAT IS SUPPORT AND RESISTANCE:

    Resistance:


    Dear jb market up movement Karen aur Market mein ek aisi jaga aaye jisko market break itni aasani se nahin kar sakte usko resistance kahate Hain.Dear market uptrend mein movement karte hue kisi aise point per ruk jaaye Jahan per market ki movement slow Ho jaaye aur jhana market bahut jyada candles banana start kar de usko resistance kaha jata hai. jab market kisi resistance ko uptrend mein break krti hai to uski resistance support mein convert Ho jaati hai.



    SUPPORT:


    Dear downtrend mein market mein aise point Jahan se market ko nechy jaane mein mushkil Ho usko support kaha jata hai. Dear jab market down trend mein movement kar rahi hoti hai aur Market mein aise point aate Hain Jahan market ko down hone mein ya phr usko break karne mein time lagta hai usko support kaha jata hai.support se market ya tou wapci up Trend Ho jaati hai hi yah Agar usko break karen to previous support uski resistance Ban jaati hai.



    ROLE OF SUPPORT AND RESISTANCE:


    Forex market mein support and resistance ka bahut important role play ho raha hota hai. aap eat samajhne ki market support and resistance ke base per hi move kar rahy hoti hai.jab aap technical analysis ko perform Karen aate Hain to ismein aap ko support and resistance ko mind mein rakhna hota hai aur uski base per aap ko apni trade lagani hoti hai. isliye support and resistance ke bare mein apni study ko complete Karen aur is ki acche se trading practis Karen aapko is bahut jyada fayda trading market se mil sakta hai.

    SUPPORT AND RESISTANCE TRADING STRATEGIES:

    BREAKOUT STRATEGY:

    Dear jaise ke main aapko bataya ki market kisi bhi support ya resistance ko break krti hai to uski next target next support ya resistance hota hai .agar market kisi resistance ko up Trend mein break karegi to uska next target next resistance hoga aur Agar kisi support ko break karegi to uska next target next support hoga aur uski previous support resistance mein convert ho jayegi. Pullback usi ko kaha jata hai jab market break karti hai aur support ya resistance to uske bad jab usko retest ke liye aati hai to usko aap pullback kahate Hain. jab market break krti hai kisi bhi resistance ya support ko to usmein Jo trade lagai jaati hai usko break out trade kaha jata hai.



    RANGE TRADING:

    Dear range trading mein ap market Jahan range bana rahi hoti hai is ki support aur resistance per aap trade karte hain. Dear jb Market in range bana rahi hoti hai jaise ki support per aati hai aur wapas resistance per chali jaati hai iske bad dobara support per a jaati hai ,Jahan market support or resistance ke darmiyaan range bana rahi hoti hai .yahan per traders support py buy karte hain aur resistance sy sell kar k trade open karte Hain. jab tak kisi bhi side market usko break nahin karti usmein aap pending order ka istemal karte hain aur ismein stop loss ka istemal lazmi Karen.



    TRADING STRATEGY:

    Dear ismein Ham trendline Ko support and resistance ke tor per use karte hain aur use per trade karte hain .Dear trendline strategy mein aapane market ke trend ke according trade karni hoti hai. jab market uptrend mein movement kar rahi hoti hai to aapko market ki support sy buy ki trade lagani hoti hai ya phr market jab trendline ko touch karti hai to aap usmein buy ki trade lagate Hain. ISI tarah downtrend mein sell ki trade lagani hoti hai jab tak trend continues rahata hai aap Is tarah sell trade karte rahte hain. Dear market ke trend ko dekhte hue trend line draw karne aur use per aasani se trade Karen.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Support and Resistance Levels
    Support aur Resistance technical analysis ki do sab se ahem concepts hain. Support aik price level hai jahan buyers ziyada tadaad me market me dakhil ho jatay hain aur price ke mazeed girne se roktay hain. Resistance aik price level hai jahan sellers ziyada tadaad me market me dakhil ho jatay hain aur price ke mazeed barhne se roktay hain. Support aur resistance levels supply aur demand ki interaction se bante hain. Jab price support level tak pohanchta hai, to yeh is baat ka ishara hai ke market me buyers sellers se ziyada hain. Iska matlab hai ke buyers ko yeh lagta hai ke price is level se ziyada girna mushkil hai. Isi tarah, jab price resistance level tak pohanchta hai, to yeh ishara hai ke market me sellers buyers se ziyada hain. Iska matlab hai ke sellers ko yeh lagta hai ke price is level se ziyada barhna mushkil hai.
    How Support & Resistance Works
    Support aur resistance kaam isliye karte hain kyunki yeh traders ke liye psychological significance ke areas hote hain. Jab price support level tak pohanchta hai, to buyers market me dakhil ho jatay hain kyunki unko yeh lagta hai ke price is level se ziyada girna mushkil hai. Isi tarah, jab price resistance level tak pohanchta hai, to sellers market me dakhil ho jatay hain kyunki unko yeh lagta hai ke price is level se ziyada barhna mushkil hai. Yeh isliye hota hai kyunki traders price ke barhne ya girne ke chances ke baare me jaan'na chahtay hain. Jab unko lagta hai ke price barhay ga, to woh ziyada tar khareedna chahtay hain, aur jab unko lagta hai ke price giray ga, to woh ziyada tar bechna chahtay hain. Isi tarah, support aur resistance levels price ke liye magnets ki tarah kaam karte hain, jinhain price attract karta hai aur buyers aur sellers ko un levels tak khinchta hai.
    Support and Resistance levels ka Istemal
    Support aur resistance ko trades ke potential entry aur exit points ke liye pehchanne ke liye istemal kiya ja sakta hai. Jaise ki agar kisi trader ko lagta hai ki keemat badhne ki sambhavna hai toh woh support level par kharidna chahega. Isi tarah, agar kisi trader ko lagta hai ki keemat ghatne ki sambhavna hai toh woh resistance level par bechna chahega. Support aur resistance ka istemal karne ke liye, bas chart par support aur resistance levels ko pehchanein aur phir un levels par trades ke entry aur exit points ke liye mauke dhundein. Jaise ki agar aapko lagta hai ki keemat badhne ki sambhavna hai toh aap support level par kharid sakte hai. Jab keemat support level se guzar jaaye, tab aap resistance level par trade se bahar nikal sakte hai.
    Advantages & Disadvantages
    Support aur resistance potential entry aur exit points ke liye pehchanne ke liye ek saral aur prabhavi tarika hai. Ye istemal karna bhi asaan hai aur kai tarah ke assets ke analysis ke liye istemal kiya jaa sakta hai. Lekin support aur resistance bilkul perfect nahi hai aur kabhi kabhi toot jaate hai. Iske saath hi, support aur resistance market ki volatility ke parivartan ke saath bahut hi sensitive hote hai, jiske karan ye volatile markets mein istemal karna mushkil ho sakta hai. Yahaan kuch support aur resistance ka istemal karne ke fayde hai:
    • Support & resistance levels potential entry aur exit points ke liye pehchanne ke liye ek saral aur prabhavi tarika hai.
    • Ye istemal karna asaan hai aur kai tarah ke assets ke analysis ke liye istemal kiya jaa sakta hai.
    • Ye dusre technical analysis indicators ko confirm karne ke liye istemal kiya jaa sakta hai.
    Yahaan kuch support aur resistance ka istemal karne ke nuksaan hai:
    • Support & resistance levels bilkul perfect nahi hai aur kabhi kabhi toot jaate hai.
    • Ye market ki volatility ke parivartan ke saath bahut hi sensitive hote hai.
    • Ye volatile markets mein istemal karna mushkil ho sakta hai.
    Yun toh support aur resistance traders ke liye potential entry aur exit points ke liye pehchanne ke liye ek mahatvapoorn tool hai. Ye istemal karna asaan hai aur kai tarah ke assets ke analysis ke liye istemal kiya jaa sakta hai. Lekin yaad rakhein ki support aur resistance bilkul perfect nahi hai aur kabhi kabhi toot jaate hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X